Friday, May 22, 2015

Koi bataa de humein



aaj fir arse baad kalam ko haathon mein leke
kuch likhne baithaa main unko yaad karke
kore kaagaz par mujhe unki muskaan ko utaarnaa thaa
magar jaane kahaan se tap se ek boond paani kaa
shaayad meri aankhon se niklaa hogaa
mere likhe us kaagaz par aa giraa....

abhi to likhaa bhi nahi thaa kuch maine
bas unke ek naam ke siwaa
aur woh bereham boond paani kaa
mitaa gayaa unke naam ko us kaagaz se
haan thik usi tarhaa se jaise woh mitaa gaye the
hamaaraa naam kuch waqt pehle apni zindagi se...

naa, main yaad nahi kartaa unhe kabhi, magar
kabhi kabhi jab baaarish hoti hai mere shahar mein
jaane kahaan se yaad unki, aa hi jaati hai
aur kuch boond paani ke meri aankhon se
jaane kyun beh jaate hain...

kyaa rishtaa hai ab unse meraa, kisse poochhun
jo har rishtaa mujhse todke duur bahut duur chale gaye
itne duur ki main pahunch hi naa paaun wahaan tak
magar samjhaaun kaise mere is pagal dil ko main
jo ab bhi baatein kartaa rehtaa hai unki tasveer se....

baatein karte karte yunhi akele muskuraa detaa hoon
fir us tasveer ko kitaab ke panno mein chhipaa detaa hoon
kab tak, aakhir kab tak jude rahenge hum us se is tarhaa
kab tootegaa yeh bandhan unse meraa, koi bataa de humein...

koi to ho... jo yeh baat bata de humein...




No comments:

Post a Comment