Monday, May 4, 2015

Mohabbat nibhaataa hoon main





ghum ko kuch is tarhaa se bhulaataa hoon main
dard seene mein dabaake muskuraataa hoon main

kabhi baatein kartaa rehtaa hoon tasveer se uski
kabhi tasveer ko hi seene se lagaataa hoon main

jaantaa hoon main, woh kabhi meri ho nahi sakti
jhooti baaton se apne dil ko behlataa hoon main

likhne jo baithun, kabhi kuch likh bhi naa paaun
khaali syaahi ko kaagaz par failaataa hoon main

kyaa paagal hoon main, yaa hai deewaanapan meraa
apne yaaron ko uske hi kisse sunaataa hoon main

jab bhi kabhi aati hai yaad us haseen chehre ki
geet koi puraanaa akele, gungunaataa hoon main

woh har saans hai meri, hai dhadkan bhi woh meri
yeh jaan apni bas usi par hi lutaataa hoon main

log kehte hain mujhko ki use mohabbat nahi hai
tab bhi, akele hi mohabbat nibhaataa hoon main



No comments:

Post a Comment