Sunday, May 24, 2015

Apni si kahaani dhundtaa hoon



main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


deewaaron se baatein karke akele hi muskuraa letaa hoon
koi dekh le kabhi to main unse aankhein churaa letaa hoon
log aksar deewaanaa keh dete hain mujhe aadatein dekhkar
chhat ke niche reh kar baarish kaa paani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


banaataa hoon ret kaa mahal, woh toot ke bikhar jaataa hai
lamha koi khushi kaa ho bas mujhe chhoo ke guzar jaataa hai
aadat nahi rahi ab to chain se ek pal bhi rehne ki meri
na mile kabhi pareshaani to main pareshaani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


yeh haal meraa pehle nahi thaa bas haal hi mein huwaa hai
log kehte hain ki haal nahi haal behaal meraa huwaa hai
mere bachche meri harqaton par haste hain jab kabhi main
unse nazar churaate huwe apni khoyi jawaani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


koi kissaa duniyaa ki bheed mein hi kho gayaa hai shaayad
har ehsaas mere dil kaa ab thak kar so gayaa hai shaayad
jab waqt miltaa hai kabhi to kuch panne palat_taa hoon main
kitaab ke panno mein apni cheez koi puraani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


No comments:

Post a Comment