Main tujhe bhulaataa rahaa hoon
teri tasveer, apne seene se lagaata rahaa hoon
main kuch is tarhaa tujhe bhulaataa rahaa hoon
baarish ke paani mein main bheegaa hoon jab bhi
teri yaad mein, baahon ko failaataa rahaa hoon
paagal hawaaon mein mehsoos kiyaa bas tujhi ko
paagal is tarhaa se khud ko banaataa rahaa hoon
phoolon mein rehkar bhi main kaanton ko chhooke
dard ko main apne yun khud aazmaataa rahaa hoon
kab se teri hi yaadon ko main ghazal mein piroke
banaake kaagaz ki kashti main bahaataa rahaa hoon
meri kahin to hai manzil, mujhe kabhi to milegi
yahi sochkar main kadam bas badhaataa rahaa hoon
ek kasam di thi tu ne ki naa kabhi aansoo bahaaun
bas yahi ek wajah hai, main muskuraataa rahaa hoon
meraa tanhaa safar hai, humsafar tanhaaiyaan hain
bas tanhaa hi mohabbat ko main nibhaataa rahaa hoon
No comments:
Post a Comment