Thursday, May 28, 2015

Hunar woh meraa thaa




jo neelaam huwaa baazaaron mein, ghar woh meraa thaa
jo barbaad huwaa toofaan mein, shahar woh meraa thaa

kissaa jo sunaayaa mehfil mein, dil ke toot jaane kaa
waah waah to khoob mili, kissaa magar woh meraa thaa

tamaashaa to bahut dekhaa hogaa, logo ne duniyaa mein
khud kaa tamaashaa banaane kaa, hunar woh meraa thaa

shikwaa kyaa karun gairon se, apno ne hi lootaa hai
jisne kiyaa fareb sangh mere, humsafar woh meraa thaa

humko koi dard kahaan, hum duniyaa se yeh kehte hain
takiyaa jiskaa geelaa rahaa, raat bhar woh meraa thaa


Tuesday, May 26, 2015

Kahin dhunwaa saa lagtaa hai


kahin par to hai aag lagi
kahin dhunwaa saa lagtaa hai
kahin par hai dil tootaa
dard huwaa saa lagtaa hai

resham si raahon par koi
chal kahaan tak paayaa hai
zindagi ke is khel mein ab
har pal juwaa saa lagtaa hai

kabhi khushi kabhi ghum yahaan
kabhi aansuon kaa saagar hai
kabhi kisi ko dekh kar hi
ishq huwaa saa lagtaa hai

kursiyon ki yahaan jung hai
netaa ban gayaa ab har koi
chhoti si ek haar se hi ab
apmaan huwaa saa lagtaa hai

bhaai bhaai kabhi lad pade
to shahar saaraa jal gayaa
kisi ghar mein hai aag lagi
kahin dhunwaa saa lagtaa hai

kahin par hai dil tootaa
dard huwaa saa lagtaa hai
kahin par to hai aag lagi
kahin dhunwaa saa lagtaa hai
Teraa naam le lete hain

tere har gunaah kaa apne sar ilzaam le lete hain
shaam hote hi haathon mein hum jaam le lete hain

bhool jaate hain aksar raastaa apne ghar kaa aur
maikhaane ki taraf ek mod har shaam le lete hain

yun to yaad karte nahi hum tujhe kabhi bhi lekin
apni har saans ke saath teraa naam le lete hain


Tujhko churaa lungaa

teri duniyaa khushiyon se sajaa dungaa
teri wafaa ke badley main wafaa dungaa

jo mehsoos kabhi khudko tu tanhaa kare
tujhe seene se apne main lagaa lungaa

koi poochhe agar jo kahin teri khabar
apne dil mien tujhe main chhipaa lungaa

kahaan dhundegi khud ko tu zamaane mein
jab tujhse hi tujhko main churaa lungaa


Duur jaaye kyun ho

jhooti si baatein tum banaate kyun ho
apnaa banaa ke fir duur jaate kyun ho

hai mohabbat agar to bataa do humein
yeh baat bhalaa tum chhipaate kyun ho

dil to tumhaaraa kuch samajhtaa nahi
bekaar use fir tum samjhaate kyun ho

keh do humse jo dil mein hai tumhaare
kehne se humse tum sharmaate kyun ho



Yun naa sitam kijiye

apni aankhon ko yun naa aap nam kijiye
le kar khushi humse humein gham dijiye

wajan bahaut hai yahaan aapke dard kaa
dekar humein aap ise thodaa kam kijiye

ashq moti ko aankhon se barsaa ke aap
naa is tarhaa hum par aap sitam kijiye


Monday, May 25, 2015

Humein dil mein basaa lijiye



yaa humein dil mein basaa lijiye
yaa fir humein aap bhulaa dijiye

aap yaa to humein apnaa lijiye
yaa fir humein koi sazaa dijiye

aapke bin hum to reh paate nahi
yun duur naa humse rahaa kijiye

aap rehte hain humse khafaa khafaa
aap thodi to humse wafaa kijiye

aap de dijiye humein thodaa zeher
yaa seene se humein ab lagaa lijiye







Sunday, May 24, 2015

Apni si kahaani dhundtaa hoon



main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


deewaaron se baatein karke akele hi muskuraa letaa hoon
koi dekh le kabhi to main unse aankhein churaa letaa hoon
log aksar deewaanaa keh dete hain mujhe aadatein dekhkar
chhat ke niche reh kar baarish kaa paani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


banaataa hoon ret kaa mahal, woh toot ke bikhar jaataa hai
lamha koi khushi kaa ho bas mujhe chhoo ke guzar jaataa hai
aadat nahi rahi ab to chain se ek pal bhi rehne ki meri
na mile kabhi pareshaani to main pareshaani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


yeh haal meraa pehle nahi thaa bas haal hi mein huwaa hai
log kehte hain ki haal nahi haal behaal meraa huwaa hai
mere bachche meri harqaton par haste hain jab kabhi main
unse nazar churaate huwe apni khoyi jawaani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


koi kissaa duniyaa ki bheed mein hi kho gayaa hai shaayad
har ehsaas mere dil kaa ab thak kar so gayaa hai shaayad
jab waqt miltaa hai kabhi to kuch panne palat_taa hoon main
kitaab ke panno mein apni cheez koi puraani dhundtaa hoon

main har ghazal mein ab apni si kahaani dhundtaa hoon
har kone mein main mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon


Friday, May 22, 2015



yahaan kaun kiskaa hai zamaane mein, kisne pehchaanaa hai
duniyaa ek baazaar hai, yahaan har kisi ko bik jaanaa hai

kyaa huwaa agar thode se ghum mil bhi gaye is duniyaa mein
dard ko sehte jaanaa hai hum sabko aur bas muskuraanaa hai
Koi bataa de humein



aaj fir arse baad kalam ko haathon mein leke
kuch likhne baithaa main unko yaad karke
kore kaagaz par mujhe unki muskaan ko utaarnaa thaa
magar jaane kahaan se tap se ek boond paani kaa
shaayad meri aankhon se niklaa hogaa
mere likhe us kaagaz par aa giraa....

abhi to likhaa bhi nahi thaa kuch maine
bas unke ek naam ke siwaa
aur woh bereham boond paani kaa
mitaa gayaa unke naam ko us kaagaz se
haan thik usi tarhaa se jaise woh mitaa gaye the
hamaaraa naam kuch waqt pehle apni zindagi se...

naa, main yaad nahi kartaa unhe kabhi, magar
kabhi kabhi jab baaarish hoti hai mere shahar mein
jaane kahaan se yaad unki, aa hi jaati hai
aur kuch boond paani ke meri aankhon se
jaane kyun beh jaate hain...

kyaa rishtaa hai ab unse meraa, kisse poochhun
jo har rishtaa mujhse todke duur bahut duur chale gaye
itne duur ki main pahunch hi naa paaun wahaan tak
magar samjhaaun kaise mere is pagal dil ko main
jo ab bhi baatein kartaa rehtaa hai unki tasveer se....

baatein karte karte yunhi akele muskuraa detaa hoon
fir us tasveer ko kitaab ke panno mein chhipaa detaa hoon
kab tak, aakhir kab tak jude rahenge hum us se is tarhaa
kab tootegaa yeh bandhan unse meraa, koi bataa de humein...

koi to ho... jo yeh baat bata de humein...




Jeewan kaa yahi afsaanaa hai


 dard bhari is duniyaa mein
kyaa teraa hai, kyaa meraa hai
socho kyaa lekar aaye the
kyaa lekar waapas jaanaa hai

koi apnaa nahi, koi sapnaa nahi
sapno ko toot hi jaanaa hai
jhooti mooti shaan-o-shaukat
sab yahin chhod ke jaanaa hai

jo saath rahaa woh saathi hai
jo door gayaa woh paraayaa hai
in jhoote moote rishto mein
kisko bandhke reh jaanaa hai

kyaa khonaa hai, kyaa paanaa hai
fir bhi chalte hi jaanaa hai
jeete hain bas yunhi hum sab
jeewan kaa yahi afsaanaa hai

koi paas nahi, koi khaas nahi
apnaa naa koi thikaanaa hai
mitti se hi hum aaye the aur
mitti mein hi mil jaanaa hai...



Thursday, May 21, 2015

 
 
laakh  anjaano  mein  ek aur anjaanaa niklaa
jise dost samjhaa,  woh  to  begaanaa niklaa
hum to haqeeqat samajhke jee rahe the use
woh  bhi auron ki  tarhaa  ek afsaanaa niklaa


Main musaafir hoon








hoon bas ek musaafir main
hai kaam meraa chalte jaanaa
ho ghum yaa chaahe khushi ho
bas hai mujhko muskuraanaa

kitne hi mushkilein aati rahein
chaahe kitne bhi ghum ho yahaan
ek waadaa hai khudse
ki hai bas yunhi jeete jaanaa

zindagi bas do pal ki hai
kabhi aansoo hain to kabhi hasi
dhundte hi jaannaaa hai
mujhe khush rehne kaa bahaanaa

kabhi yunhi chalte chalte
zindagi ki raahon mein
koi apnaa saa mil hi jaataa hai
thaam ke haath us ajnabi kaa
kuch pal hi sahi, magar
achcha lagtaa hai saath chalte jaanaa

woh apnaa saa lagne waalaa
chhod bhi jaaye bich raah mein agar
chalte hi jaanaa hai mujhe
aage aur bhi aage zindagi mein
kyunki hoon bas ek musaafir main
kaam hai meraa bas chalte jaanaa.....



Is yug ki kahaani






jo dafn ho gayaa zameen ke niche hamaaraa hi zameer rahaa
numaaish ke liye bachaa sirf insaan kaa nagn shareer rahaa

daulat ki daud mein aaj rishtey is tarhaa toot jaate hain
ki ek hi ghar mein ek bhaai gareeb to ek bhaai ameer rahaa


nafraton mein doobi is duniyaa mein mohabbat kahaan se ho
jahaan chhote chhote bachchon ke haath hi shamsheer rahaa

deewaaron ke pichhe ki baatein, sadkon tak aa hi jaati hain
gairon ko chhodiye, ghar mein rehne waalaa hi mukhbeer rahaa

ummeed to yahi thi ki bachche budhaape kaa sahaaraa banenge
bachchon ki khaatir apnaa sab kuch lutaake baap fakeer rahaa




Dil kahaan samajhtaa hai





bhar dijiye jaam aise ki chhalak jaaye paimaane se
pee len itnaa aaj ki guzar hi jaayen is zamaane se

unki yaadein hain jo jal rahi hain mere seene mein
yeh to woh aag hai jo badhti jaati hai bujhaane se

dil to paagal hai yeh bas paagal saa hi rehtaa hai
kahaan samajhtaa hai yeh kisi ke bhi samjhaane se

kahaan asar thaa aisaa maikhaane mein sharaab mein
hawaa bhi behek jaati thi bas unko chhooke aane se

dard mein doobe ho yaa khoye ho kisi ghum mein hum
khush ho jaate they hum to sirf unke muskuraane se

dard bhi woh the aur har dawaa bhi bas woh hi mere
sukun mil jaataa thaa bas unko seene se lagaane se

ek unke jaane se jaise sab kuch kho diyaa ho humne
log ab kehte hain ki ab hum lagte hain deewaane se


Tuesday, May 19, 2015

Main gunaah dhundtaa hoon




nafraton ki is duniyaa mein chaah dhundta hoon
main aaj bhi mohabbat bepanaah dhundtaa hoon

bhatkaa musaafir hoon, ek yeh meri kahaani hai
pahunchaa de manzil tak woh raah dhundtaa hoon

nikaalaa gayaa hoon is tarhaa kisi ke dil se
har kisi ke dil mein ab panaah dhundtaa hoon

logo ki nazar mein nafrat ke siwaa kuch nahi
jisme sirf pyaar ho woh nigaah dhundtaa hoon

jaantaa hoon ki hai yeh mumkin nahi, fir bhi
apni har ghazal mein waah waah dhundtaa hoon

apni kahaani kaa andaaz hi alag hai auron se
sazaa to mil chuki, bas gunaah dhundtaa hoon


Sunday, May 17, 2015

Woh humse door ho gaye



hum to deewaano mein ab itne mash_hoor ho gaye
jinko bhi chaahaa humne, woh humse door ho gaye

jab kabhi aayi baarish, saath toofaan bhi aayaa
badalte mausamon ke jaise ab yeh dastoor ho gaye

hum jo they gareeb humein to sab haarnaa hi thaa
unko mili daulat to woh usi mein magroor ho gaye

bujhaa kar har chiraag hamaari zindagi kaa woh
kisi gair ki aankhon ke ab to woh noor go gaye

armaan bhi dil ke hamaare jaane guum kahaan huwe
kuch mar gaye shaayad, kuch thak ke choor ho gaye



humein to aadat ho chuki hai nafraton ki
mohabbat se ab to humein dar lagtaa hai


naa kijiye is kadar nafrat humse
ki humein aapse fir mohabbat ho jaaye


teri aankhon mein hum to mohabbat kaa asar dekhte hain
kabhi teri tasveer ko kabhi hum apnaa ghar dekhte hain

Saturday, May 16, 2015

Main pyaar kartaa nahi





na dekhun tumhaaraa chehraa to, waqt meraa guzartaa nahi
aur jo tum raho kareeb mere to, waqt yeh thahartaa nahi

maikhaano mein jaa ke maine har nashaa karke dekh liyaa
ek nashaa sirf tumhaaraa hai jo aasaani se utartaa nahi

chaahe main sambhal jaaun, aur chaahe main sudhar jaaun
meraa ek paagal dil hi hai, jo kabhi bhi sudhartaa nahi

saansein to tumse hain ab, dhadkan bhi ab bas tumse hai
naa milti tum mujhe to shaayad, yun be-maut martaa nahi

dartaa hoon main to bas dil ki baat tumhe kehne se apne
poochh bhi loge to main kahungaa, main pyaar kartaa nahi



Deewaana banaao naa





sharbat si aankhon mein tum mishri milaao naa
qaatil husn se apne tum yun teer chalaao naa

jaan par ban aati hai ji, baat ko samjho tum
duur se hum ko dekh kar tum yun muskuraao naa

gulaab ke pankhudi ke jaise, hain lab tumhaare
tum labon se apne mere labon ko chhoo jaao naa

mar hi naa jaayen kahin hum tumko dekh dekh aaj
apni adaaon se hum ko yun deewaanaa banaao naa

baahon mein bharke main jee bharke pyaar karun
aao naa aa kar tum mere seene se lag jaao naa






haaye re meri gulaab ki dukaan, kyaa kahun tujhse
kabhi ek gulaab apne narm haathon se bhi laa deti
jaise muskuraati hai apni tasveer se jhaank kar
kabhi mere saamne bhi aake waise hi muskuraa deti


khwaab aankhon mein sajaate raho
dil ko bas apne samjhaate raho
kahin to milegaa woh humdum tumhaaraa
bas yahi sochke muskuraate raho...
Main hone lagaa hoon firse paagal





dekh tumhaari pyaari hasi, main bhi muskuraane lagaa hoon
kabhi dekh rahaa hoon, to kabhi nazar churaane lagaa hoon
main hone lagaa hoon firse paagal tumhaari mohabbat mein ab
firse woh geet mohabbat ke puraane gungunaane lagaa hoon

kyaa jaadu hai tumhaare chehre mein kisi se kyaa bataaun ab
main khone lagaa hoon nashe mein aur ladkhadaane lagaa hoon
hone lagi hai gudgudi si saare tan badan mein ab to mere aur
tasveer ko hi tumhaare main apne seene se lagaane lagaa hoon

lag rahaa hai aisaa ki chalaa aaun bas daud ke tumhaare paas
fir waqt ki nazaakhat ko samajh khud ko samjhaane lagaa hoon
'Hriday' ko khwaahish thi hi tumhe paane ki barson se lekin
deewaanepan mein apne khud ko ab deewaanaa banaane lagaa hoon


Friday, May 15, 2015

Purono shei din gulo





kokhono kokhono shei din gulo mone pore
jokhon jeebon taa aamaader shohoj chhilo...

shei gaachher niche boshe boshe
thaandaa chhayaa te golpo koraa
tomaar kaadhe maathaa rekhe
maaje modhdhe ghumiye poraa

tomaaro hoye to mone royechhe
purono aamaader shei din gulo
nirob shei raastaa gulo te
tormaar haathe dhore haata feraa

tomaar haate lekhaa chithi
ekhono shonge royechhe aamaar
tomaar kothaa mone porle
aami pori shey gulo ke haajaar baar

tumi hoyeto khushi te royechho
notun shonaar shonshaare tomaar
jaani tumi je firbe naa aar
opekhkhaa tobuo kori tomaar

jekhaane tumi chhede gechhile
shesh dekhaa taa diye aamaaye
aami daariye royechhi shekhaane
shudhu opekhkhaate tomaar.......



Waqt dard aazmaataa rehtaa hai



bhook kabhi jo lagti hai, kisi gareeb ke bachche ko
paththar ko roti samajhke, woh chabaataa rehtaa hai
dekhtaa hai majboor ise, par kar to kuch saktaa nahi
chhip chhip ke bas apne, aansoo bahaataa rehtaa hai


bachchaa maa ki godi mein, jaane ke liye baar baar
chhote chhote haathon ko, apne failaataa rehtaa hai
rassi se bachche ko baandh, maa kaam par nikalti hai
bachchaa ise khel samajhkar, muskuraataa rehtaa hai


kahin bhook, kahin pyaas, kahin maut kaa hai taandav
waqt insaan ke dard ko, yunhi aazmaataa rehtaa hai
kahin chheen naa le mujhse, meri bahu mere bete ko
meri maa ko sirf itnaa hi, dar sataataa rehtaa hai



Wednesday, May 13, 2015

Tu aur nikharne lagi hai






jabse paagal hawaa tere aangan mein aakar thaharne lagi hai
jaise banke deewaani tu mohabbat mein hi sanwarne lagi hai

deewaane bhi deewaane kehlaane lage hain tere naam se ab to
aur deewaanepan mein mohabbat ke tu aur nikharne lagi hai

yun to aadat nahi thi humein jaane ki maikhaane mein aaj tak
magar banke sharaab tu hi to mere nason mein utarne lagi hai

kasak jab bhi uth_ti hai 'Hriday' mein tere naam ki us pal
banke lahoo tu mere jism kaa mere ragon se guzarne lagi hai

humne to abhi tak chhuwaa bhi nahi hai tujhe meri jaanaa
bas hamaare ehsaas se hi tu ab to toot kar bikharne lagi hai


जबसे पागल हवा तेरे  आँगन में आके ठहरने लगी है
जैसे बनके  दीवानी तू मोहब्बत में ही संवरने लगी है

दीवाने भी दीवाने कहलाने लगे हैं तेरे नाम से अब तो
और दीवानेपन में मोहब्बत के तू और निखारने लगी है

यूँ तो आदत नहीं थी हमें मैखाने में जाने की आज तक
मगर बनके शराब तू ही तो मेरे नसों में उतरने लगी है

कसक जब भी उठती है ह्रदय में तेरे नाम की उस पल
बनके लहू तू मेरे जिस्म का मेरे रगों से गुजरने लगी है

हमने तो अभी तक छुवा भी नहीं है तुझे मेरी जाना
बस हमारे एहसास से ही तू अब तो टूट कर बिखरने लगी है


Tuesday, May 12, 2015

Dil yeh bimaar hone lagaa hai





naa dehkiye is qadar humein ki humein pyaar hone lagaa hai
aapki farebi aankhon par jaane kyun aetbaar hone lagaa hai

waaqif hain is baat se ki aapki aadat hai dil tod jaane ki
karnaa chaahiye inkaar magar kyun ab iqraar hone lagaa hai

dhadkan kehti hai yeh pyaar hai, dil kehtaa hai jhoot isko
bas is baat par dhadkano kaa dil se takraar hone lagaa hai

baandh ke rakhnaa badaa mushkil hai is paagal dil ko ab to
dekhiye dil meraa ab mere hi seene se faraar hone lagaa hai

sambhaale rakhaa thaa maine khudko ki ho naa jaaye mohabbat
dekhiye naa kaise aap ko dekh dil yeh bimaar hone lagaa hai



Banke khwaab tumhaari aankhon kaa



banke khwaab tumhaari aankhon kaa
aankhon mein utar jaaun main
toot bhi jaaun main kabhi to
bas aankhon mein bikhar jaaun main

banke boond tumhaare aansoo kaa
aankhon mein basar kar loon main
naa niklun kabhi aankhon se
bas aankhon mein thahar jaaun main

tumhaari aankhon ke nashe ke aage
lage jahaan kaa har nashaa hai kam
aaj pee loon main aankhon se hi
aur bas hadd se guzar jaaun main

keh do bas ek baar yeh baat dil se
ki tumhe mohabbat hai sirf mujhse
chhod doon main saans lenaa aur
bas us pal mein hi mar jaaun main



बनके ख्वाब तुम्हारी आँखों का 
आँखों में उतर जाऊं मैं
 टूट भी जाऊं मैं कभी तो 
बस आँखों में बिखर जाऊं मैं 

बनके बूँद तुम्हारे आंसू का 
आँखों में बसर कर लू मैं 
ना निकलूं कभी आँखों से 
बस आँखों में ठहर जाऊं मैं 

तुम्हारी आँखों के नशे के आगे 
लगे जहां का हर नशा है कम 
आज पी लून मैं आँखों से ही 
और बस हद से गुज़र जाऊं मैं 

कह दो बस एक बार यह बात दिल से 
की तुम्हे मोहब्बत है सिर्फ मुझसे 
छोड़ दूँ मैं सांस लेना और
बस उस पल में ही मर जाऊं मैं 


Sunday, May 10, 2015

Mujhe hadd se guzar jaane do naa





mere ishq mein khud ko tum aaj aur thodaa sanwar jaane do naa
aake meri baahon mein khud ko aaj toot kar bikhar jaane do naa

chhoo lo geele labon se apne mere labon ko is tarhaa se aaj
ki mere sukhey labon to tum aaj thodaa nikhar jaane do naa

dekho meri aankhon mein nasheeley aakhon se is tarhaa se aaj
aankhon ke raste se nashe ko mere jism mein utar jaane do naa

badhaake tezi mere dhadkanao ki apni garam saanson se tum aaj
kuch pal ke liye hi sahi meri saanson ko thahar jaane do naa

naa roko khud ko aaj tum, naa hi roko mujhe kisi baat par tum
jo hai dil mein kar jaane do, mujhe hadd se guzar jaane do naa



 मेरे इश्क़ में खुदको तुम आज थोड़ा और संवर जाने दो ना 
आके मेरी बाहों में खुद को आज टूट कर बिखर जाने दो ना 

छू लो गीले लबों से अपने मेरे लबों को इस तरहा से आज 
कि  मेरे सूखे लबों को तुम आज थोड़ा निखर  जाने दो ना 

देखो मेरी आँखों में नशीले आँखों से इस तरहा से आज 
आखों के रस्ते से नशे को मेरे जिस्म में उत्तर जाने दो ना 

बढ़ाके तेज़ी मेरे धड़कनो की अपनी गरम साँसों से तुम आज 
कुछ पल के लिए ही सही मेरी साँसों को ठहर जाने दो ना 

ना रोको खुद को तुम आज , ना ही रोको मुझे किसी बात पर तुम 
जो है दिल में कर जाने दो, मुझे हद्द से गुज़र जाने दो ना 



Saturday, May 9, 2015

Ek afsaanaa baaki reh gayaaa



kitni mohabbat hai unse, bataanaa baaki reh gaya
kitaab ke panno mein ek afsaanaaa baaki reh gayaa

sajaa to liyaa thaa saaraa ghar roshani ki khaatir
bas un saje chiraagon ko jalaanaa baaki reh gayaa

aisaa pehli baar nahi huwaa mohabbat ke kisso mein
bujh gayi shamaa aur bas parwaanaa baaki reh gayaa

udnaa to seekh hi gaye they hum bhi aasmaanon mein
bas upar apne pankhon ko failaanaa baaki reh gayaa

jaante to hum bhi they ki lakeerein saath nahi dengi
bas haathon se lakeeron ko mitaanaa baaki reh gayaa

badi der tak unhe jaate huwe dekhte rahe hum us din
jaate huwe unkaa mudke muskuraanaa baaki reh gayaa

duur bahut duur nikal gayi hain judaa ho ke hum se
jaate jaate unhe seene se lagaanaa baaki reh gayaa

sab to khatam ho gayaa ek unke duur chale jaane se
aansuon ke saath bas unkaa deewaanaa baaki reh gayaa



कितनी मोहब्बत है उनसे , बताना बाकी रह गया 
किताब के पन्नो में फिर एक अफ़साना बाकी रह गया 

सजा तो लिया था सारा घर रौशनी की खातिर 
बस उन सजे चिरागों को जलाना बाकी रह गया 

ऐसा पहली बार नहीं हुवा मोहब्बत के किस्सो में 
बुझ गयी शमा और बस परवाना बाकी रह गया 

 उड़ना तो सीख ही गए थे हमभी आसमानो में 
बस ऊपर अपने पंखों को फैलाना बाकी रह गया

जानते तो हम भी थे की लकीरें साथ नहीं देंगी 
बस हाथों से लकीरों को मिटाना बाकी रह गया 

बड़ी देर तक उन्हें जाते हुये देखते रहे हम  उस दिन 
जाते हुए उनका मुड़के मुस्कुराना बाकी रह गया 

दूर बहुत दूर निकल गयी हैं जुदा  हो के हमसे 
जाते जाते उन्हें सीने से लगाना बाकी रह गया 

सब तो खत्म हो गया एक उनके दूर चले जाने से 
आंसुओं के साथ बस उनका दीवाना बाकी रह गया






Zaraa kareeb to aayiye




hum to hain bas aap ke, ab humse yun naa sharmaaiye
hamaaraa thaam kar haath aap zaraa kareeb to aayiye

geele se labon se aap hamaare labon ko chhuu jaaiye
hamaare jism mein hai aag, aap us aag ko bujhaaiye

zulfon ki qaid mein chhipaayaa hai kyun chaand ko
aap hataake apni zulfein zaraa chehraa to dikhlaaiye

hain sharbaton se nain do, yaa jaam unko keh den hum
idhar nazar zaraa fer kar, aap jaam to chhalkaaiye

bheeg jaayein hum bhi aaj aur bheeg jaayein aap bhi
hamaare reh ke paas paas ab humein yun naa tarsaaiye

'Hriday' ko to ishq hai aur woh ishq hai bas aap se
jaanaa baat bas itni si, hamaari aap maan bhi jaaiye


Friday, May 8, 2015

Yeh kaisi agan hai





baarish ki boondon mein kuch to aaj khaas hai
jal rahi saansein aur jal rahaa yeh badan hai
yeh kaisaa manzar hai, paani mein bhi aag hai
aaj koi to bataa de mujhe kaisi yeh jalan hai


meethaa meethaa dard hai, meethi si chubhan hai
meethaa meethaa sparsh hai, meethi si agan hai
meheki si hawaaon mein, aaj ehsaas kisi kaa hai
paagal main hi hoon yaa fir paagal yeh pawan hai


Thursday, May 7, 2015

Tanhaa safar baaki hai




sab kuch lut gayaa, kuch ab bhi magar baaki hai
barbaad hone ke liye abhi yeh shahar baaki hai

bujh gaye hain chiraag har taraf to kyaa huwaa
andheron mein roshan ab bhi yeh ghar baaki hai

yeh mat soch lijiye aap ki bikhar jaayemge hum
tootkar sambhalne kaa hum mein hunar baaki hai

sab to loot liyaa thaa aapne hamaaraa pehle hi
tanhaa zindagi kaa sirf tanhaa safar baaki hai

kar nahi paayenge ab mohabbat kisi se dobaaraa
dil ke toot jaane kaa ab tak woh dar baaki hai


Hamaari kahaani fir adhoori reh gayi







aaj ki yeh shaam fir sindoori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....


kuch yun karwat liyaa zindagi ne hamaare
sab kuch jaise tham saa gayaa ho ek pal mein
raaste alag ho gaye mere tumhaare achaanak
aur hamaare darmiyaan bas doori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....


kuch sunna thaa tumhe shaayad jo hum keh nahi paaye
kuch kehnaa thaa shaayad tumhe jo tum keh nahi paaye
padh liyaa hum dono ne ek dusre ki aankhon ko
aur faasle badhaane ke liye majboori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....


likhne baithaa jab main kahaani apni fir se puraani
ek mod par aake kisi ne chhed diyaa meri yaadon ko
chehraa aa gayaa fir tumhaaraa nazar ke saamne mere
aur dil mein sawaal aayaa ki kyun woh doori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi......


aaj ki yeh shaam fir sindoori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....


Monday, May 4, 2015

Agar tum meri baahon mein hoti




bheege badan ko tumhaare
main sar se paaon tak chum letaa
leke baahon mein tumhe
main us pal khushi se jhuum letaa

haan isi pal ke intezaar mein
jaane kitne barson se
adhuri neend sotaa rahaa hoon
main tumhaare bheege badan ki chaah mein
jaane kabse paagal saa
deewaano saa hotaa rahaa hoon

haan us pal hmaari saasein
saanson mein samaa jaati
le jaati humein duur
bahut duur is jahaan se
jahaan bas main hotaa
aur bas tum hote
aur hoti hamaari mohabbat

tumhaare seene ki dhadkano ko
main apne seene mein bhar letaa
tumhaare bheege labon se
main apne labon ko bheegon letaa
toot kar bikhar jaati tum
meri baahon mein aa kar ke
jannat ki koi hoor tum lagti
meri mohabbat mein sanwarke

hoor to ab bhi ho tum
magar bas fark hai itnaa
yeh bas ek khwaab thaa
meri aanhkon kaa
aur khwaab to bas khwaab hi hotaa hai
dikhtaa tabhi hai bas jab koi sotaa hai....




Mohabbat nibhaataa hoon main





ghum ko kuch is tarhaa se bhulaataa hoon main
dard seene mein dabaake muskuraataa hoon main

kabhi baatein kartaa rehtaa hoon tasveer se uski
kabhi tasveer ko hi seene se lagaataa hoon main

jaantaa hoon main, woh kabhi meri ho nahi sakti
jhooti baaton se apne dil ko behlataa hoon main

likhne jo baithun, kabhi kuch likh bhi naa paaun
khaali syaahi ko kaagaz par failaataa hoon main

kyaa paagal hoon main, yaa hai deewaanapan meraa
apne yaaron ko uske hi kisse sunaataa hoon main

jab bhi kabhi aati hai yaad us haseen chehre ki
geet koi puraanaa akele, gungunaataa hoon main

woh har saans hai meri, hai dhadkan bhi woh meri
yeh jaan apni bas usi par hi lutaataa hoon main

log kehte hain mujhko ki use mohabbat nahi hai
tab bhi, akele hi mohabbat nibhaataa hoon main



Tum sangh fir gungunaaun main




jaadu tumhaare geeton mein jo hai kyaa bataun main
kabhi to sambhal jaaun, to kabhi fir ladkhadaaun main

yun to likh paataa nahi kuch bhi kai mahino tak tum bin
jo padh lun tumhaaraa likhaa to bas likhtaa hi jaaun main

aao naa aake fir se mere saath likho kuch geet mohabbat ke
ki tumhaare likhe geeton ko apne hothon se gungunaaun main

paagal banaa dun tumhe main apni mohabbat se fir ek baar
aur ho ke tumhaare nashe mein chuur paagal ho jaaun main

yeh achchi nahi aadat tumhaari chhip chhip ke rehne ki
keh do ki ab bhi mohabbat hai mujhse aur jhuum jaaun main

de jaao kuch lamhein mujhe firse ki jee loon fir ek baar
yaa fir de do koi sazaa mujhe ki ab mar hi jaaun main




Woh barsaat yaad aa gayi






uuufff teri woh aankhein aaj fir yaad aa gayi
teraa muskuraanaa, teri baatein yaad aa gayi

koshish bahut karte hain ki bhulaa de tujhe hum
dekh naa hamaari woh mulaaquaatein yaad aa gayi

chhipaaye rakhaa thaa teri tasveer ko kitaab ke panno mein
aaj un puraane panno ke beech un lamhon ki yaad aa gayi

woh hasnaa, muskuraanaa, tere sangh ghanto baatein karnaa
kisi hawaa ke jhaunke ke sangh, har woh baat yaad aa gayi

main to bhulaa chukaa thaa tujhe tere jaane ke baad
fir kyun koi haseen si kahaani banke tu yaad aa gayi

nazar aa gayaa woh sukhaa huwaa gulaab jo tu ne diyaa thaa mujhe
sukhe us gulaab ko dekh hamaari woh pehli mulaaquaat yaad aa gayi

yaad hai naa kaise bheege they hum apne us mulaaquaat mein
aaj jaane kaise bheege se in lamhon mein woh barsaat yaad gayi







Main tujhe bhulaataa rahaa hoon



teri tasveer, apne seene se lagaata rahaa hoon
main kuch is tarhaa tujhe bhulaataa rahaa hoon

baarish ke paani mein main bheegaa hoon jab bhi
teri yaad mein, baahon ko failaataa rahaa hoon

paagal hawaaon mein mehsoos kiyaa bas tujhi ko
paagal is tarhaa se khud ko banaataa rahaa hoon

phoolon mein rehkar bhi main kaanton ko chhooke
dard ko main apne yun khud aazmaataa rahaa hoon

kab se teri hi yaadon ko main ghazal mein piroke
banaake kaagaz ki kashti main bahaataa rahaa hoon

meri kahin to hai manzil, mujhe kabhi to milegi
yahi sochkar main kadam bas badhaataa rahaa hoon

ek kasam di thi tu ne ki naa kabhi aansoo bahaaun
bas yahi ek wajah hai, main muskuraataa rahaa hoon

meraa tanhaa safar hai, humsafar tanhaaiyaan hain
bas tanhaa hi mohabbat ko main nibhaataa rahaa hoon



Sunday, May 3, 2015

Tujhse hi pyaar karun





khwaabon mein dekhun tujhe, tujhse hi pyaar karun
teri zulfon se khelun main, teraa shringaar karun

chhoti chhoti baatein teri, unhi se hai ishq mujhe
dekhun bas teri aankhon ko, unhi par aetbaar karun

chehraa bas teraa ho, saamne nazar ke mere hae pal
apne us rab se main bas yahi duwaa baar baar karun

tujhse hi mohabbat hai, bas tujhko hi chaahun main
keh dun jo dil me hai mere yaa ab bhi inkaar karun