Mohabbat naa kar paaungaa
jaao jaanaa, tumhe jahaan jaanaa hai
tumko kabhi bhi main naa yaad karungaa
yaad aayegi kabhi bhoole se tumhaari agar
dekh ke tumhaari tasveer dil behlaa lunga
kar lunga baatein tumhaari tasveer se
aur usi ko apne dil kaa haal sunaa lunga
par ye deewaarien mere ghar ki, kya karun inka
ye to tumhaari yaad me paagal ho jaayengi
aadat hai inki mehekne ki tumhaari khushboo se
naa paake tumhe ye deewaarein bejaan ho jaayengi
ye hawaayein, is bahaane se aati hain yahaan ki tum ho
dekh ke tumhaaraa chehraa ye hawaayein khush hain
agar naa dekh paayengi ye tumhe to kyaa hogaa
ye apnaa rukh badal ke kahin duur chali jaayengi
har cheez mere ghar ki, jinme jaan daali hai tumhe
ye bartan, ye kapde, ye samaan har kamre ke
kya hogaa inkaaa agar tum chale jaaoge
ruk jaayengi saansen inki, ye mar jaayenge
bas rahungaa yahaan to main, jise fark nahi padtaa
tumhaare hone yaa naa hone se, ya chale jaane se
kyun tadpungaa main bhalaa tumhaare naa rehne se
main tanhaa thaa, fir se tanhaa ho jaaungaa
aur kya? ek din is jahaan se tanhaa chalaa jaaungaa
jab tak hoon zindaa, tumhaare geet hi gungunaaungaa
bas fir kabhi main mohabbat naa kar paaungaa...
mohabbat naa kar paaungaa...
mohabbat naa kar paaungaa...
No comments:
Post a Comment