Ek Haseenaa
shaam us hasi ko maine sajte sanwarte dekhaa
fir aake khidki pe use maine theherte dekhaa
berang thaa chaand bhi jab niklaa wo shaam ko
chaand ko uski chamak se maine nikharte dekhaa
yun to koi dikhtaa nahi uski gali me din bhar
shaam bheed ko uski gali se hoke guzarte dekhaa
gulaabi honth , nashili aankhen , khule zulf uske
haaye, aashiqon ko maine rozaanaa uspe marte dekhaa
machaltaa thaa dil meraa bhi usse milne ke liye
dekh ke mujhe use kal maine aahen bharte dekhaa

No comments:
Post a Comment