Kyun main jalnaa chaahun
firse deewaano ki raah pe kyun main nikalnaa chaahun
badlaa nahi ab tak par ab kyun main badalnaa chaahun
mohabbat ki aag me aajkal kyun main jalnaa chaahun
mom ke putley ki tarhaa kyun main pighalnaa chaahun
unse milaa hoon jabse haal ye hai mere dil kaa
neendon mein bhi chalke unse main milnaa chaahun
yun to mujhe peene ki aadat nahi thi mere yaaron
ab pee ke girnaa to kabhi main sambhalnaa chaahun
chhoo lun main chaand ko , taaron ko main chhoo lun
dekh parindon ko gagan me ab main uchhalnaa chaahun
bheegi barsaaton me kabhi niklaa nahi thaa aaj tak
tez aandhi aur toofaan me ab main nikalnaa chaahun
kuch to huwaa hai mujhe par kyaa bataao mere yaaron
yun har ek baat pe aajkal kyun main machalnaa chaahun
ye jaadu hai ishq kaa , yaa hai sirf paagalpan meraa
jalte angaaron pe nange paaon kyun main chalnaa chaahun

No comments:
Post a Comment