Aankhen
unki aankhon me ab bhi wo asar baaki hai
dekhte rahe unki tasveer, aur humein pyaar ho jaaye
mujhe ho jaaye mohabbat firse to dosh naa denaa
kho jaaun in aankhon me to mujhe dosh naa denaa
kisi jheel kaa naam de dun aur doob jaaun unme
karun aisi koi sharaarat to mujhe dosh naa denaa
karti nahi wo ishaare par mujhe lagtaa hai aisaa
chalaa jaaun unke kareeb to mujhe dosh naa denaa
dekh unki aankhon ko neend kaise aaye mujhe bhalaa
jaagtaa rahun poori raat to mujhe dosh naa denaa
unki aankhen hi to thi jin par mar mitaa thaa main
fir ho jaaye waisi haalat to mujhe dosh naa denaa
dosh meraa nahi hai ye to kasoor unki aankhon ka hai
ho jaaun agar fidaa unpe firse to mujhe dosh naa denaa

No comments:
Post a Comment