Guzarish
Ek guzarish kalam se....
ae kalam mere kuch likhwaa mujhse aisaa
padh ke unke chehre pe muskaan aa jaaye
sharmaa ke chehraa chhipaa len aanchal mein
jab khat me unhe meraa chehraa nazar aaye
khat ko mere wo chhoo len apne hothon se
aur agle pal wo khud se hi sharmaa jaaye
aaj kuch aisaa asar kar is kore kaagaz pe
mehek mein mohabbat ke wo bhi mehek jaaye
Aur ek guzarish khat se.....
titli se rang le ke unko tu aisaa rangnaa
ki saaton rang me khushi ke wo rang jaaye
haalat meri bataanaa , unkaa bhi poochh aanaa
kuch aisaa jaaduu karnaa ki wo bas muskuraaye
banke tu baadal jaanaa, aur jaake baras jaanaa
kuch is tarhaa tu barasnaa, ki wo bheeg jaaye
unke paas jaanaa, wahaan shaam tak thaharnaa
unko tu baahar laanaa , jab chaand nikal aaye
chandaa ko main dekhungaa, unko bhi tu dikhaanaa
aur chaand ke chehre me mujhe wo nazar aa jaaye

No comments:
Post a Comment