Barbaadiyon kaa afsaanaa
aao sunaayen tumhe apne barbaadiyon ka afsaanaa yaaron
kaise ruthaa hai humse hamaaraa saaraa zamaanaa yaaron
chaahat me pyaar ke huwaa thaa kabhi deewaanaa yaaron
ruth gaye the apne mere , ho gayaa thaa begaanaa yaaron
dil ke tutne ka tamaashaa humne bhi dekh liya hai ab
har tamaashaa hamaare liye hone lagaa puraanaa yaaron
kisi ki aankhon me doob ke jaan dene ko paagal the kabhi
usi ne sabak sikhaayaa bekaar hai yun mar jaanaa yaaron
pyaar nashaa hai to zaruri to nahi har kisi ko ho jaaye
humein huwaa thaa, aur aagayaa nashe me ladkhadaanaa yaaron
samabhalne ki koshish to ki bahut par hum sambhal naa sake
haare hum dil ke haathon, huwaa pyaar me pad jaanaa yaaron
haalat ab dekho apni , na rahe apno ke , na the gairon ke kabhi
tanhaa hum the hameshaa , huwaa tanhaa hi reh jaanaa yaaron

No comments:
Post a Comment