Hum duur reh paate nahi
khaamoshi ko mere tum bahaana naa samajhnaa
dekh tumhaari surat main kuch keh paataa nahi
tadaptaa hoon main baahon me bharne ko tumhe
ek pal bhi judaa hoke tumse main reh paataa nahi
zindagi chhoti hai maanaa , par lamhen kam nahi
lamhon ki judaai bhi main ab seh paataa nahi
aanaa to hai milne tumse har raat mujhe magar
din kaa main kyaa karun jab main mil paataa nahi
kehte ho mujhe besharam agar chhoo loon main tumhe
par kya karun tumhe dekh qaabu me reh paataa nahi
kuch baatein aisi hain tumhaari aankhon se kahi
un ishaaron ko dekh main tumse duur reh paataa nahi
aankhon ke nashe ki to tum mujhse baat naa karo
pilaate ho jaam aisa hum sambhal ke reh paate nahi
kab roothe hain hum tumse, humein badnaam naa karo
bewafaa kaho humein tum, ye dard hum seh paate nahi
meethi kasak jo uth_ti hai is 'Hriday' me aaj bhi
kyaa kahen hum kisi se dil ka haal keh paate nahi
No comments:
Post a Comment