Kuch bhi naa mil paayegaa
naa kuredo mere dil ke chhaalon ko tum itni baariki se
wahaan zakhmon ke siwaa kuch bhi naa mil paayegaa
kuch tukde milenge tumhe kaanch ke , kuch dil ke honge
un tukdo ke siwaa wahaan kuch bhi naa mil paayegaa
dhundoge nishaan mere choton ke mere geeton me agar
bas uskaa naam hogaa , aur kuch bhi naa mil paayegaa
jitnaa sincho mujhe , mujhme jitnaa bhi tum khaad daalo
banjar zameen hoon , mujhse kuch bhi naa mil paayegaa
jee rahaa hoon main , magar koi chaah nahi jeene ki mujhe
amaawas hoon , andhero ke siwaa kuch bhi naa mil paayegaa
raho tum duur mujhse , main paap hoon, koi rog hoon main
siwaaye maut ke mere paas kuch bhi tumhe naa mil paayegaa

No comments:
Post a Comment