Tumhaare pyaar ka asar
tum kuch is tarha se hamaari zindagi me shaamil hote rahe
samajh paaye nahi hum , tum hamaare saanson me samaate rahe
pehli nazar me tumhi ne yun paagal kiyaa thaa hume jaanaa
hum samabhalne ki koshish me har baar aur ladkhadaate rahe
dekhte rahe tumhe khwaab me har raat apni baahon ke ghere me
khelte rahe tumhaari zulfon se aur neend me muskuraate rahe
na mile tumse to kuch paagal se ho jaate the hum sanam
milne ko tumse har roz meelon ka safar taye kar aate rahe
dekh tumhaari aankhon ko aisaa asar hotaa thaa kya bataayein tumhe
peene ki aadat nahi sharaab par tum humein aankhon se pilaate rahe
shaayad pyaar isi ka naam hai humein ye maaloom naa thaa
hum ise dosti samajhte rahe aur khud ko yahi samjhaate rahe

No comments:
Post a Comment