Wo rok kabhi naa paayen humein
chaahaa to logon ne bahut hogaa , naa mil sake hum ek dusre se
judaa kar diyaa jism se , aatmaa se judaa naa kar paaye humein
prem hamaaraa kamzor naa thaa , jo tut jaaye zamaane ke roke se
laakh deewarein khadi karke bhi wo judaa naa kar paaye humein
kitaabon ki baatein hoti hain ki dharm me koi bhed nahi , magar
humein judaa kyun wo rakhte hain , ye bhed koi samjhaaye humein
main hindu hoon to kya huwaa , wo musalmaan hai to kya gunaah kiyaa
dharm ke naam pe judaa karke wo dilo se duur naa kar paaye humein
aaj bhi dil me dhadaktaa hai , jo naam hai wo to usi kaa hai
sarhad ki lakeerein khinch ke bhi wo judaa naa kar paaye humein
ye ishq to aisaa jaadu hai , jo karta asar hai dheere dheere
duur humein kar ke bhi , yaadon se judaa naa kar paaye humein
laakh koshish ki zamaane ne , ki hum hindu musalmaan ek naa ho
hamaare dilon ki taaqat itni thi ki wo rok kabhi naa paaye humein

No comments:
Post a Comment