Tuesday, May 18, 2010

Wo teri aankhon ka kaajal

tere gaalon ki wo narmi, tere baahon ki wo garmi,
teri aankhon me basti hai chui-mui ke jaisi sharmi,
pagal ho jaata hai mann ye tera rang roop dekhkar,
hosh nahi tab rehta isko khilta hua wo dhoop dekhkar,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

wo teri julfon ka baadal karde unse pyaar ki baarish,
wo teri baaton ka pagal karta hai tujhse ye guzarish,
aake mere baahon me tu mujhko baahon me tu bhar le,
chhooke mere hothon ko apne hothon ka shahad pila le,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

honth gulaabi kamal ke jaise uspe wo baarish ka paani,
nain sharabi jaam ke jaise uspe qaatil teri ye jawaani,
tere aankhon ka wo jhukana dil loot ke le jaata hai,
tere hothon ka wo chhuna dhadkan tez kar jaata hai.
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

wo tere pairon ka chalna, wo ghanere julfon ka hilna,
wo teri aankhon ka sharmana fir meri aankhon se milna,
roop ki rani,husn ki mallika,tujhko dekh khayal hai aya,
jisne bhi tujhko hai banaya fursat se hi hoga banaya,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

dekhta hoon sheeshe me khudko jaane q main kho jaata hoon,
hum dono ki tulna karke paagal sa main ho jaata hoon,
tu jannat ki mallika hai main hoon kichad ka phool koi,
tu maathe ka taaj hai kisika main pairon ka dhool koi,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho...

No comments:

Post a Comment