Wednesday, May 5, 2010

Main Kya kahun

kuch aisa asar tha uski aankhon me ki kya kahun,
un nasheeli aankhon me kyu main kho gaya kya kahun,
izhaar kabhi kiya hi nahi usne apne hothon se,
main jaane kya soch uski raah takta raha kya kahun,


kabhi usne apna haal-e-dil mujhse nahi kaha,
par main uske aankhon k bharose baitha raha,
khata uski nahi ye asar uski aankhon ka tha,
jo main unpe anjaana sa aetbaar karta raha,

main us anjaane se aetbaar ke baare me kya kahun,
kaisa aetbaar tha us aetbaar pe mujhe kya kahun,
mere armaano ka gala is qadar ghonta mere aetbaar ne,
kis tarah tadap k dum toda mere armaano ne kya kahun,


mulaqaaton ka wo silsila kuch is tarah chalta raha,
har us mulaqaat me usne mujhse bas itna kaha,
chhodungi na main tera saath marte dum tak,
aur main un jhoote waado pe aetbaar karta raha,

main uske un jhoote waadon ke baare me kya kahun,
main apne un tute khwaabon ke baare me kya kahun,
socha tha sheeshe ka mahal khada karenge hum ek din,
ab un tute kaanch ke tukdo ke baare me kya kahun,


wo zaalim nazar mujhe har lamha yaad aata raha,
us nazar ka iqraar mujhe har pal yaad aata raha,
maine to har baar apne dil ka haal use bataya tha,
uska har baar hasi me uda dena mujhe yaad aata raha,

main uski us qaatil hasi ke baare me kya kahun,
main uski us zaalim nazar ke baare me kya kahun,
main to uski aankhon pe bharosa kar baitha raha,
un aankhon ne mujhe kaise loota ab main kya kahun,


barson se main jiska raah yun takta raha,
jiske liye main apne dil ko samjhaaata raha,
aaj mujhe chhod wo jaane kyun dur chali gayi,
jiske liye main bas intzaar yun karta raha,

kal tak jo mere dil me rehti thi uske baare me kya kahun,
ab uski yaadein kyun meri aankhon se behte hain kya kahun,
kuch anjaana sa bandhan hai usse ab bhi jo baandhe hai mujhe,
us anjaane andekhe bandhan ke baare me ab main kya kahun...

1 comment:

  1. Wah Kapil ji apne dard ko bahut khoobsurti se bayan kiya aapne.great and mindblowing creation.excellent.bahut acha likhte ho.madhu

    ReplyDelete