Tuesday, May 25, 2010

Mohabbat kya hai

asaan nahi hain mohabbat karna par log baar baar kar lete hain,
pehli mulaaqat me hi jaane kaise pyaar ka izhaar kar lete hain,
jise log pyaar samajhte hain aaj wo pyaar nahi kuch aur hai,
agar dekhte hi pyaar ho jaaye wo pyaar nahi aakarshan hai,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain,

saalon tak saath hoke bhi samajhna mushkikl hai mohabbat ko,
agar koi tumhaari har baat pe khush to jaruri nahi chahat ho,
logo ki to aadat hoti hai dil rakhne ke liye muskuraate hain,
us muskan ko mohabbat ka naam deke hi aashiq pachhtate hain,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain,

mohabbat se alag bhi ek rishta hota hai is jahaan me dosti ka,
dosti ko mohabbat samajhke log gala ghont dete hain dosti ka,
baad me na to mohabbat rehti hai na hi dosti reh paati hai,
zindagi bhi tab ghum ke samundar me doob ke reh jaati hai,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain...

1 comment:

  1. Very touching lovely and mindblowing creation Kapil ji,keep up the good work.meri duaa hai aapke kalam ek se badke ek kavita likhe.aise hi likhte rahena.madhu

    ReplyDelete