Sunday, May 9, 2010

Thodi si insaaniyat bachi hai mujhme

kitni nafrat hai aaj yahaan is jahaan mein,
log bhoolne lage hain mohabbat kya hoti hai,
jaane kyun log ladte hain aaj apno mein,
bhool jaate hain rishton ki ahmiyat kya hoti hai,
kyun in sabko dekh main aankhen nam karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

dharm ke naam pe ek dusre ki jaan le lete hain,
jaane dharm k naam pe kitne dange hote hain,
hindu muslim sikh isaai ye to bas naam hain,
par haqeeqat me to sab insaan hi hote hain,
kyun in sabko dekh main apna waqt kharaab karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

har taraf raajniti ka ganda jaal hai,
bhai bhatijawaad ki yahaan misaal hai,
gyaan ki yahaan aaj koi qadar nahi,
pratibha ka bhi bahut bura haal hai,
kyun in sab baaton se pareshaan hota hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

apne hawas ka samaan samajhte hain naari ko,
bhool jaate hain jisne janam diya uska wajood,
naari ka apmaan karte hain yahaan har jagah,
bas ghreena hi aati hai dekh ke aisi kartoot,
kyun in sabko dekh main aasoo bahata hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

paathakon ko aajkal lekhon mein bas masaala chahiye,
auron k ghum me bhi unhe apne liye sirf mazaa chahiye,
koi chaahe tadapta ho chahe koi roye khoon ke aasoon,
apne liye par har kisi ko khushi ka khazaana chahiye,
kyun in sab ke baare me soch ke apni umar kam karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,....

1 comment: