Wednesday, May 12, 2010

Aansuon ko mitaana hai

gairon ko kyun dosh de jab apno me har koi begaana hai,
na to hamara koi naya dost bana na bacha koi puraana hai,

chahte the tujhe paana par ab teri yaadon ko apnana hai,
lagta hai ghum hi manzil hai apni aur dard hi thikaana hai,

bahaate the zinda paththaron ke aage hum apne aansu,
na samajh paye ki dard jo apnaa hai wo bas apnaa hai,

kab tak yunhi humein apne aansuon ka bojh uthaana hai,
humein apne hi haathon se apne aansuon ko mitaana hai,

ab hum fir muskura nahi sakte ye to bas ek bahaana hai,
ab humein muskurake zindagi ka tarana hi gungunana hai,

na kisi aur se ab humein apna koi ghum bataana hai,
khud to hasna hi hai ab auron ko bhi bas hasaana hai...

No comments:

Post a Comment