Tuesday, May 11, 2010

Saath nibha na saka

chaha to maine bhi tha ki zindagi apni tere naam kar du,
par kuch aisi majbooriyaan thi ki main kar na saka,
chaha to maine ye tha ki aake tujhe baahon me bhar lu,
par kuch haalaat aise ban pade ki main aa na saka,

chahta hoon aaj bhi aake tujhe main saari baat bata du,
par jaane kis bandhan k kaaran main aa na saka,
chahta hoon ki har janam me main tujhe apna bana lu,
par maaf karna mujhe main is baar saath nibha na saka...

1 comment:

  1. Wah wah Kapil ji,kamaal ke likhte ho.bahut hi khoob,lajawab.great work.madhu

    ReplyDelete