Monday, May 10, 2010

Maa O meri maa

maa O meri maa, haan tu hi to hai jisne mujhe janm diya tha,
haan tu hi to hai jisne mujhe bolna aur chalna sikhaya tha,
mujhe aaj bhi yaad hai wo sabse haseen jagah is duniya ki,
haan maa wo tera aanchal jisme mujhe chhipna achcha lagta tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main chhota tha,
main har pal apni shararato se kaise tujhe satata tha,
aur tu har baar bas muskuraake pyaar se daant deti,
aur main har baar fir aake tere aanchal me chhip jaata tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab main chhota tha,
kisi se ladke ya papa se darke kya main karta tha,
tu mujhe samjhaati ki daro mat beta , lado mat beta,
par main har baar bas teri aanchal me chhip jaata tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main bimaar padta tha,
main neendon me bhi bas tujhe yaad karta tha, tadapta tha,
aur tu apne neendein bhulaake bas mujhe sulaati thi,
tab teri aanchal ka saaya mere liye dawa ka kaam karta tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab main school jaata tha,
roz mitti aur kichad se apne kapde gande karke aata tha,
aur tu bas thoda sa mujhe daant ke mere kapdo ko saaf kar deti,
aur har baar main maasoom banke tere aanchal me chip jaata tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main college jaata tha,
main hostel se tujhe khoob saare khat likha karta tha,
aur tu mere khat padh ke har baar mujhe yaad karke ro deti,
aur jab main ghar aata aake tere aanchal me main so jaata tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab tu ne mujhe kaam pe bheja tha,
bahut dur tere shahar se paise ki chaah me main aaya tha,
aur tu har pal bas ye duwa karti ki jahaan rahu mai khush rahun,
aur main tujhse dur hoke teri aanchal ko yaad karta tha,

ma O meri maa, kya tujhe yaad hai tujhse maine kya kaha tha,
mat ro meri maa tu , mat udaas ho tu, maine ye kaha tha,
bas kuch din ki baat hai, thoda kaam main nipta lu,
fir teri aanchal me main sounga , jisme mai pehle soya karta tha,

maa O meri maa, kya tu sun rahi hai jo main keh raha hoon,
maa tujhe yaad kar main aaj tanha mehsoos karta hoon,
maa mujhe tere aanchal ki khushboo yaad aati hai,
jis aanchal k tale main har lamha raha karta tha,

maa O meri maa, tu is jahaan ki sabse pyaari maa hai,
maa O meri maa, main khushkismat hoon jo main tera beta hoon,
maa O meri maa, main wapas aunga teri godi me aake sone,
maa O meri maa, main jald aaunga teri aanchal me fir se chhipne...


maa O meri maa, maa O meri maa....

1 comment:

  1. Wah Kapil ji bahut dard aur khoobsurti se likha aapne.just mindblowing.great creation.excellent.madhu

    ReplyDelete