Wednesday, May 19, 2010

Muskurana chahta hoon

kabhi kabhi khamosh rehta hoon,
kabhi kabhi tanha rehta hoon,
kabhi kabhi na chahte huye bhi,
main uski yaadon me kho jata hoon,

wo bhooli dastan yaad aati hai jab,
us kitaab ke panno me kho jaata hoon,
us kitaab ko main firse padhta hoon,
haan me fir wo saare pal chahta hoon,

haan wo pal jo mujhse dur jaa chuka hai,
use main fir se apnana chahta hoon,
main fir se apni zindagi ko jeena chahta hoon,
main ek baar fir se mohabbat karna chahta hoon,

ye na kaho ki mohabbat dard ka naam hai,
main fir se us dard ko sehna chahta hoon,
fir se main apni kismat ko aazmana chahta hoon,
haan main fir se khulke muskurana chahta hoon,

wo muskaan jo maine barso pehle kho di thi,
use fir se main apne hothon pe chahta hoon,
main aaj fir khushi ke geet gungunana chahta hoon,
main is jahaan me fir ek baar muskurana chahta hoon...

1 comment:

  1. Wow Kapil ji bahut hi khoob,very touching lovely and mindblowing creation.excellent.madhu

    ReplyDelete