Monday, May 10, 2010

Mann mora

na kisi ki sunta hai wo,
bas pyaar hi karta hai wo,
chahe tu kuch na bhi kahe,
chahe paas more na bhi rahe,
ye jo pagal mann hai mora,
kuch na wo sunta hai mora,

kal tak mora mann mora tha,
wo mori har baat sunta tha,
aaj bana bawla hai wo,
kuch bhi na sunta hai wo,
ye jo pagal mann hai mora,
wo kal tak tha bas mora,

lootne more mann ko tu kyun,
aayi itne more kareeb tu yun,
chhoo ke more mann ko tune,
kar diya kyun apna tune,
ye jo pagal mann hai mora,
ab to na raha ye mora,

dekhi hai maine wo chori teri,
luti thi tu ne wo tijori meri,
khajana tha wo mann me more,
mann ko luta tune mann se more,
ye jo pagal mann hai mora,
ban gaya hai wo tora,

manwa mora ab to rowe hai,
teri yaadon me wo khowe hai,
tu ne kyun mujhko chhoda,
kaahe more dil ko toda,
ye jo pagal mann hai mora,
ho ke reh gaya bas wo tora...

No comments:

Post a Comment