Tuesday, May 25, 2010

Aadat sharab ki

raah ke kinaare pade kisi sharabi ko gaali kyun dete ho,
wo bichara aahsiq tha jiski mohabbat har pal badhti gayi,

aadat thi uski kisi ke aankhon ke samundar me doobne ki,
wo aankhen na rahi saath to maikhane ki aadat padti gayi,

ek aashiq kam ho gaya kahin to ek sharabi badh bhi gaya,
kuch isi tarah lamha lamha maikhaane pe bheed badhti gayi,

chalo kisi ka to bhala kiya un bewafa husn ki dukaano ne,
dard mitaane ke bahane aashiqo ko mai ki aadat padti gayi,

sharabi kabhi aashiq hi tha par ab chahat se koi naata nahi,
mohabbat khatam hota raha sharabiyon ki tadaad badhti gayi,

wo teri bholi muskaan hi thi jo humse humara qatl karwa gayi,
aadat thi tere aankhon ki par ab sharab ki aadat padti gayi,

na kabhi peete the pehle na kabhi socha tha ki piyenge hum,
teri bewafai hi thi jiske kaaran hamari ye pyaas badhti gayi...

1 comment:

  1. Wah bahut sachai,gaerahi aur khoobsurat kavita pesh kiya aapne Kapil ji,mindblowing creation.excellentmadhu

    ReplyDelete