Monday, May 31, 2010

Log bhagwaan badal lete hain

kyun ab is jahaan me jazbaaton ki koi qadar hi na rahi,
kyun yahaan log kapdon ki tarah pyaar badal lete hain,

jo khat likhe the kabhi pyaar se unki ehmiyat hi na rahi,
un khaton ke lifaafe aur unpe likhe naam badal lete hain,

jo vaade kiye the sang jeene marne ke unki keemat hi na rahi,
kyun aajkal log mausam ki tarah apne khayaal badal lete hain,

jo the naam waale unki ab duniya mein pehchaan hi na rahi,
kyun girgit ki tarha aajkal log apne rang badal lete hain,

chahat ko pooja samajhte the kal tak ab wo chahat hi na rahi,
kyun ab subah se shaam hone tak log bhagwaan badal lete hain...
Mujhe khudko nahi badalna

aaj jaane q insaan me insaaniyat hi nahi hai,
zindagi ki daud me bhool chuka hai wo khud ko,
bhool chuka hai wo apna wo pyaara sa bachpan,
bhool chuka hai wo apne aadarshon ko,

har kisiko wo apne jaisa banana chahta hai,
nahi chahta wo ki bache ek bhi insaan yahaan,
par main nahi chahta khud ko badalna,
main jo bhi hoon, jaisa hoon, achcha hoon,

main nahi chahta unke kahe raaston pe chalna,
main chal raha hoon sahi raaste pe chal raha hoon,
main nahi chahta eershya ki aag me jalna,
main jo hoon, jaisa hoon, achcha hoon,
mujhe nahi hai is aag me chalna,
nahi mujhe khudko nahi badalna...

Kyun

kyun rishton me itni karwahat aa jaati hai,
jinhe dekhne ko kal hum tadpa karte the,
kyun aaj un chehro ki yaad tak nahi aati hai,

Khudgarz insaan

kyun insaan yun khudgarz hota hai,
bas khud ke liye yun sochta hai wo,
auro ke dil ko pairon se kuchalke,
kyun khud ki jeet samajhta hai wo...

Saturday, May 29, 2010

Har pal ab hum muskuraayenge

tutne do un dhaago ko, kuch ashayein fir bandh jaayenge,
tutne do tum saahil ko, saagar me jaake wo mil jaayenge,

rishton ka ye bandhan hai anokha, kahin pe bhi jud jaayenge,
tutne do tum rishto ko bhi, jo apne hain fir laut aayenge,

ret ke jo bhi teele hain wo tut ke saare bikhar jaayenge,
armano ko ret na samjho wo jaise hain waise reh jaayenge,

aashaayein hi jeewan hai, wo jeewan se alag na ho payenge,
bas kuch lamho ki deri hogi, khwaab bhi poore ho jaayenge,

ummeedon se bandhi hai asha, wo saath har pal reh jaayenge,
khud ko agar tum jaan sako to mushkilen na fir reh payenge,

har mushkil ko hasi me udaake zindagi ko hum jee jaayenge,
kar lo aaj ye waada humse "har pal ab hum muskuraayenge"....

Friday, May 28, 2010

Mohabbat hi khuda ki ibadat hai

kyun tum usko yaad karti ho jo tumko hi nahi chahta hai,
kyun uski yaadon me koi yun har lamha aansoo bahata hai,

beete huye us waqt ko bhulaake aaj is pal ko sajana hai,
mohabbat kisko kehte hain is jahaan ko aaj dikhaana hai,

koi to hai jo tumhaare liye har lamhaa betaab rehta hai,
zamaane ke zulmon ko sehte hue bhi wo kuch na kehta hai,

baari ab hai imtihaan ki, tumne khuda se kiya waada hai,
dekhna hai ab kiss hadd tak wo waada poora ho paata hai,

chaha hai agar sachche dil se to saath uska nibhana hai,
apne har us ghum ko chhipake uske aansuon ko mitana hai,

mera to ye samajhna hai mohabbat hi khuda ki ibadat hai,
sath mehboob ka de na sako to bhala wo kaisi chahat hai.

Na samajhna tum

tute huye wo ret ke ghar the unko dil na samajhna tum,
do pal ka wo saath jo tha usko chahat na samajhna tum,

rag rag me bas mohabbat rahe, dard ki koi jagah na ho,
tuta hua wo khwaab hi tha, use zindagi nasamajhna tum...

Mann to pagal hai

ye mann to pagal hai jo ye saare gunah karwaata hai humse,
gairon ko kareeb laata hai aur apno ko dur karta hai humse,

kuch ummeeden, kuch ashayein, aur kuch armaan hain bas,
inme kuch adhoore reh jaayen to dard jud jaata hai humse,

iska matlab ye to nahi hai zingadi rooth gayi hai humse,
har andheri raat ke baad roshan savera milta hai humse...

Thursday, May 27, 2010

Wo pehla pyaar

yakeen to tha mujhe ki wo mohabbat mujhse karti thi,
par shayad kuch aisa tha jo mujhse wo chhipaati thi,

pyaar ki talaash me aake mere baahon me sama jati thi,
wo meri baahon me kisi aur ka pyaar mehsoos karti thi,

apni muskuraahat se wo meri zindagi ko haseen banati thi,
par muskuraane ke liye kisi aur chehre ko yaad karti thi,

wo mere aangan ke khile phoolon ke khilne ki wajah thi,
par unhe wo chhip chhip ke apne aansuon se sinchti thi,

poochha maine kai baar ki kya tum khush ho mere saath,
par wo hamesha mere us baat ko hasi me udaa deti thi,

shayad wo pehla pyaar tha uska use jiski yaad sataati thi,
pyaar to mujhse karti thi par us pyaar ko na bhula paati thi...

Tuesday, May 25, 2010

Mohabbat kya hai

asaan nahi hain mohabbat karna par log baar baar kar lete hain,
pehli mulaaqat me hi jaane kaise pyaar ka izhaar kar lete hain,
jise log pyaar samajhte hain aaj wo pyaar nahi kuch aur hai,
agar dekhte hi pyaar ho jaaye wo pyaar nahi aakarshan hai,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain,

saalon tak saath hoke bhi samajhna mushkikl hai mohabbat ko,
agar koi tumhaari har baat pe khush to jaruri nahi chahat ho,
logo ki to aadat hoti hai dil rakhne ke liye muskuraate hain,
us muskan ko mohabbat ka naam deke hi aashiq pachhtate hain,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain,

mohabbat se alag bhi ek rishta hota hai is jahaan me dosti ka,
dosti ko mohabbat samajhke log gala ghont dete hain dosti ka,
baad me na to mohabbat rehti hai na hi dosti reh paati hai,
zindagi bhi tab ghum ke samundar me doob ke reh jaati hai,
kyun log do mulaqaaton ko mohabbat samajhne lag jaate hain,
kisi ki meethi baaton ko kyun chahat samajhne lag jaate hain...

Aadat sharab ki

raah ke kinaare pade kisi sharabi ko gaali kyun dete ho,
wo bichara aahsiq tha jiski mohabbat har pal badhti gayi,

aadat thi uski kisi ke aankhon ke samundar me doobne ki,
wo aankhen na rahi saath to maikhane ki aadat padti gayi,

ek aashiq kam ho gaya kahin to ek sharabi badh bhi gaya,
kuch isi tarah lamha lamha maikhaane pe bheed badhti gayi,

chalo kisi ka to bhala kiya un bewafa husn ki dukaano ne,
dard mitaane ke bahane aashiqo ko mai ki aadat padti gayi,

sharabi kabhi aashiq hi tha par ab chahat se koi naata nahi,
mohabbat khatam hota raha sharabiyon ki tadaad badhti gayi,

wo teri bholi muskaan hi thi jo humse humara qatl karwa gayi,
aadat thi tere aankhon ki par ab sharab ki aadat padti gayi,

na kabhi peete the pehle na kabhi socha tha ki piyenge hum,
teri bewafai hi thi jiske kaaran hamari ye pyaas badhti gayi...

Hamsafar ka saath chhoda nahi karte

yun mohabbat karke kisi se muh moda nahi karte,
bich raah me hamsafar ka saath chhoda nahi karte,

mushkilen to bahut aayengi is raahe chahat mein,
par un mushkilon se darke kabhi ruka nahi karte,

koi hai aaj bhi teri muskaan dekh ke muskurata hai,
kisi ki muskaan ko is tarah usse chhina nahi karte,

agar kabhi waqt lag jaaye manzil tak pahuchne me,
safar me zindagi ke kabhi himmat haara nahi karte,

halaat ke aage haar maanke hathiyaar daal dete ho,
kyun mohabbat karke anjaam tak koshish nahi karte,

kehte ho bade hi guroor se ki mohabbat ki hai maine,
kyun marte dum tak us mohabbat ko nibhaya nahi karte,

ehsaas to hai ki teri yaad me koi aansu bahata hoga,
kyun uske aansuon ko mitaane ki koshish nahi karte...

Monday, May 24, 2010

Mohabbat ko badnaam kar jaate hain

jaane kyun log paththaron pe mohabbat ka naam likh jaate hain,
yaki nahi hai unhe mohabbat pe tabhi aisa kaam kar jaate hain,

sadiyon baad bhi aashiq baar baar laut ke us jagah jaate hain,
par chah ke bhi apni chahat ka chehra yaad nahi kar paate hain,

paththaron pe to naam hota hai par dil me dhund nahi paate hain,
kehne ko jo mohabbat thi kal, aaj paththar banke reh jaate hain,

bazaaron me yun bikti hai ki har gali kharidaar mil jaate hain,
mohabbat jo kal dil me hoti thi aaj bazaar me beche jaate hain,

kisi ki hoti hai koi majboori, koi zamaane ko doshi bataate hain,
kisi ke dil me to hoti hai laalach aur jhooti chahat jataate hain,

rishton ka naam leke to kai log mohabbat qurbaan kar jaate hain,
rishton se hi pyaar tha itna to kyun mohabbat karne wo aate hain,

kisi ek ka haath pakadke kisi aur ke dil pe zakhm kar jaate hain,
jaane kyun mohabbat karke log mohabbat ko badnaam kar jaate hain...

Saturday, May 22, 2010

Kehte hain log

kehte hain log ki khwabon me chehra dikhta hai mehboob ka,
kaise samjhaun main unhe ki apni to neend hi dushman hai,

kehte hain log ki phoolon se mehek aati hai mehboob ki,
par kaise bataun main sabko ki mere baag bhi banjar hai,

kehte hain log ki chaand me chehra dikhta hai mehboob ka,
par kaise samjhaun main ki meri to ab har raat amawas hai...

Sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki

kuch yun khoya tha main apne hi soch me,
ki samajh hi na paya haqeeqat zindagi ki,
chaha tha kisi jo apni saanso se badhkar,
bhool gaya tha keemat main apne saanso ki,
ye na samajhna ki gunehgaar wo hai meri,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki,

usne to har baar bas yahi kaha tha mujhse,
main nahi hoon haqdar tumhaare chahaton ki,
kyun karte ho tum mujhse itni mohabbat,
main nahi hoon qaabil tumhaare jazbaaton ki,
par main hi naasamajh na samjha uski baat,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki,

lagta tha sabse haseen us pal saath uska,
samajh na paya tha ehmiyat baaki rishton ki,
uske saath hone se jarurat na thi kisi ki,
aaj kami mehsoos karta hoon main apno ki,
rishton ko zindagi se maine mita diye the,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki...

Mohabbat nahi karte

chahe gum hi mile har kadam pe is zindagi me,
par yun mohabbat ko badnaam kiya nahi karte,

zamaane ki to aadat hai hasi udaana aashiqo ki,
par un paththar dil logo ki baat suna nahi karte,

aaj mile ho bichhadne ko to kal fir se miloge,
yu ek do baar bichhadne ka afsos kiya nahi karte,

na socho ki mohabbat ke phoolon me sugand hoti hai,
kuch phool aise bhi hote hain jo mehka nahi karte,

jaruri nahi ki jo tum chaho samjhana use wo maan jaaye,
jo tumhaari khamoshi ko na samjhe wo pyaar nahi karte,

izhaar-e-mohabbat ke liye shabdon ki jarurat nahi hoti,
jo dil shabdon se bandhe hain wo mohabbat nahi karte...

Takaraana tumse

yunhi chalte chalte ek din main takraaya tha tumse,
haan wo pehli mulaqat jab pehli baar mila tha tumse,

wo us din ka tumhaara apni aankhon ka jhukana jo tha,
kuch aisa asar kiya ki mujhe mohabbat ho gayi tumse...

Barbaadi

barbaad kabhi mohabbat nahi karti,
ye to sirf hamari galatfaimi hai,

barbaad to humein judaai karti hai,
bewajah hoti chahat ki badnaami hai...

Azaad parinda

hum mohabbat ko baandh ke nahi rakh sakte,
wo to khule aasmaan ka ek azaad parinda hai,

chhod do usey udd jaane do usey aasmaan me,
kuch dur jaake laut aaye to wo tumhaara hai...

Friday, May 21, 2010

Naya saathi aayega

kya milega apne hi aansuon se apni zindagi ko bhigone se,
bas yunhi tadapte rahoge yun tanhaayion se rishta hone se,
safar me zindagi ke aake tumse fir koi hamsafar takra jayega,
yun na fir tum tanha rahoge tab us saathi ka saath hone se...

Jeet jaayenge hum

yunhi ladte ladte har jung jeet jaayenge hum,
maut se bhi chhinke zindagi le aayenge hum,
chahe ghum se bhara samundar ho hamare aage,
usko bhi muskuraake paar kar jaayenge hum...
Raat ke baad roshan sawera

dil hamara khoobsurat haadso ka shikaar hota hai,
nazrein mil jaati hai aur dil se iqraar hota hai,

kuch palon ki hasi mazaak aur kuch palon ka saath,
ho wo bahut kam par lagta hai wo apna sa hota hai,

mumkin nahi ki har rishte ko har baar haasil mile,
kuch rishton ka kabhi kabhi anjaam adhura hota hai,

ye na samajhna tum ki ek haar se sab khatam ho gaya,
har andheri raat ke baad hi roshan sawera hota hai,

ye na socho ki jo gaya wo wapas nahi aa sakta kabhi,
dil se agar duwa maango to wo hamesha poora hota hai,

humein rulaane waala bhi wahi hai jisne humein banaya,
uske ghar me der ho sakta hai par andher nahi hota hai...

Ummeed rakhna

ek uske aane ki ummeed hamesha dil me jagaye rakhna tum,
har lamha uski raahon me apni palken bichhayen rakhna tum,
kuch pal ki deri ho jaaye uske aane me aansoo na bahana,
der se hi sahi par aayega jarur yahi ummeed rakhna tum...

Thursday, May 20, 2010

Chahat aur majboori

chaahaton ko majbooriyon ka naam deke badnaam na karo,
hamari mohabbat k charche yun sare aam neelam na karo,
manzil paane ki koshish tum ne bhi ki thi aur maine bhi,
jo mila hai usme khush raho, jo na mila uska gum na karo...

Kya mohabbat isi ko kehte hai

wo tujhse milna , wo tere kareeb aana,
wo ghanto tak ek doosre se baatein karna,
wo teri har baat pe mera wo kho jaana,
wo meri har baat pe tera wo muskuraana,

wo tere saamne aate hi mera gum ho jaana,
wo mera hosh me rehte huye bhi behosh ho jaana,
wo har baar tere haathon me laal gulaab thamaana,
wo us gulaab ko lete huye har baar tera muskuraana,

wo kuch palon ke liye tera mujhse milna,
wo kuch pal k liye tere saath chalna,
wo tere jaane ke baad tera yaad aana,
aur fir wo tera meri khwaabon me aana,

kya mohabbat isi ko kehte hain meri jaana,
kya mohabbat isi ko kehte hain zara bataana...

Koi aur hi chehra

tum mohabbat mujhse karti ho par mere chehre me kisi aur ko talaashti ho tum,
tumhaara sab kuch main hoon par fir bhi jaane kyun kuch aur hi chahti ho tum,
afsos mujhe is baat ka nahi ki tum meri hote huye bhi meri nahi ho meri jaan,
afsos to bas is baat ka hai ki jo tumhaara na ho saka kabhi use maangti ho tum...

Wednesday, May 19, 2010

Gunaah kiya hai maine

jaanta hoon main ki gunaah kiya hai maine,
haan mujhe ehsaas hai kya kiya hai maine,
us ghadi tha nahi main apne hosh mein,
behoshi me wo sab kuch kiya hai maine,

chaha tha tujhko khud se bhi jyada maine,
dard se yun tadapke sab kiya tha maine,
jo meri thi wo ab to meri hi na rahi
rok na paaya khud ko jab suna tha maine...

Muskurana chahta hoon

kabhi kabhi khamosh rehta hoon,
kabhi kabhi tanha rehta hoon,
kabhi kabhi na chahte huye bhi,
main uski yaadon me kho jata hoon,

wo bhooli dastan yaad aati hai jab,
us kitaab ke panno me kho jaata hoon,
us kitaab ko main firse padhta hoon,
haan me fir wo saare pal chahta hoon,

haan wo pal jo mujhse dur jaa chuka hai,
use main fir se apnana chahta hoon,
main fir se apni zindagi ko jeena chahta hoon,
main ek baar fir se mohabbat karna chahta hoon,

ye na kaho ki mohabbat dard ka naam hai,
main fir se us dard ko sehna chahta hoon,
fir se main apni kismat ko aazmana chahta hoon,
haan main fir se khulke muskurana chahta hoon,

wo muskaan jo maine barso pehle kho di thi,
use fir se main apne hothon pe chahta hoon,
main aaj fir khushi ke geet gungunana chahta hoon,
main is jahaan me fir ek baar muskurana chahta hoon...

Chhipa rakha hai

maine khudko tumhaare julfon ke kaale ghane baadalon me chhipa rakha hai,
apni parchhai ko maine tumhaare hi nasheele nayanon me chhipa rakha hai,
kabhi kabhi ye soch ke main pareshaan hota hoon ki main kahaan hoon abhi,
samajh nahi paata main ki maine khudko tumhaare dil me chhipa rakha hai...

Tuesday, May 18, 2010

Wo teri aankhon ka kaajal

tere gaalon ki wo narmi, tere baahon ki wo garmi,
teri aankhon me basti hai chui-mui ke jaisi sharmi,
pagal ho jaata hai mann ye tera rang roop dekhkar,
hosh nahi tab rehta isko khilta hua wo dhoop dekhkar,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

wo teri julfon ka baadal karde unse pyaar ki baarish,
wo teri baaton ka pagal karta hai tujhse ye guzarish,
aake mere baahon me tu mujhko baahon me tu bhar le,
chhooke mere hothon ko apne hothon ka shahad pila le,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

honth gulaabi kamal ke jaise uspe wo baarish ka paani,
nain sharabi jaam ke jaise uspe qaatil teri ye jawaani,
tere aankhon ka wo jhukana dil loot ke le jaata hai,
tere hothon ka wo chhuna dhadkan tez kar jaata hai.
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

wo tere pairon ka chalna, wo ghanere julfon ka hilna,
wo teri aankhon ka sharmana fir meri aankhon se milna,
roop ki rani,husn ki mallika,tujhko dekh khayal hai aya,
jisne bhi tujhko hai banaya fursat se hi hoga banaya,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho,

dekhta hoon sheeshe me khudko jaane q main kho jaata hoon,
hum dono ki tulna karke paagal sa main ho jaata hoon,
tu jannat ki mallika hai main hoon kichad ka phool koi,
tu maathe ka taaj hai kisika main pairon ka dhool koi,
wo teri aankhon ka kaajal jaise din me saanjh bana ho,
wo teri maathe ki bindi chaand pe jaise chaand bana ho...

Intezaar

har kahaani ka rachaita parwardigaar hai,
uska likha har ek pal humein sweekar hai,
hota hai har anjaam bas bhale ke liye hi,
ab humein bas us anjaam ka intezaar hai...

Naam

saath chalte chalte zindagi ka safar yun asaan ho jayega,
kisi mod pe aage chalke us rishte ka bhi naam ho jayega,
jaruri nahi ki mohabbat ho to uski koi nishaani bhi ho,
khamoshi se hi us rishte ka khoobsurat sa naam ho jayega...

Aetbaar karna sikho

rishton me bandhe ho to aetbaar karna sikho,
sapno ke poore hone ka intzaar karna sikho,

yaki nahi hai mujhpe aur kehti ho mujhe apna,
pehle mere aetbaar pe to aetbaar karna sikho,

main kaise behne du un aankhon se anmol moti,
zaraa tum apni muskaan se to pyaar karna sikho,

haan main jaanta hoon ki alag hai hamari raah,
zaraa tum aake meri raahon pe to safar karna sikho,

kehti ho ki main tumhaare liye khuda ka farmaan hoon,
aur kuch nahi to pehle us khuda pe to aetbaar karna sikho...

Sunday, May 16, 2010

Wo raat

saaya teri mohabbat ka mere raat ko roshan karta tha,
tu mere liye tadapti thi main tere liye tadapta tha,
wo raat hume jagati thi, ye raat bhi hume jagati hai,
wo raat jo kal hamari thi, wo raat bhi aaj purani hai,
jo raat roshan lagti thi, wo aaj andheri lagti hai,
jo shaam suhaani lagti thi, wo aaj kahani lagti hai...

Ek khaas waqt hota hai

khushiyaan maangne se nahi milti, uska ek khaas waqt hota hai,
mohabbat chahne se nahi milti, uska bhi ek khaas waqt hota hai,
muskuraate raho apne gham me aur karte raho ibadat us khuda ki,
wo tumhaari jholi jarur bharega, par uska ek khaas waqt hota hai...

Zindagi

ye na socho ki zindagi bahut chhoti hai,
aane waale palon me khoobsurti hoti hai,
ye na socho ki bastiyaan ujadke basti nahi,
uske ghar der hai par andher nahi hoti hai...

Mohabbat

mohabbat, haan wo khoobsurat ehsaas, maangne se nahi milti,
chahte hain har koi use paana, par har kisi ko nahi milti,
mohabbat to bas use milti hai jo sachchi ibaadat karta hai,
ye to aap jaiso ki amanat hai, hum badnaseebon ko nahi milti...

Saturday, May 15, 2010

Jhooti muskaan

kehte hai log tum muskurao har dard me,
kehte hain tum ghum ko yaad nahi karna,
kehte hain tum gungunao har ghum me,
jaante hain sab ki ye asaan nahi karna,
aasaan hai jhoote aansuon ko bahaana,
mushkil hai jhooti muskaan ko laana,

puchke dekho jo hasaate hain logon ko,
kya itna hi asaan hai kaam wo karna,
rote hain log bewajah bhi jahaan me,
aasaan nahi hai bewajaah muskurana,
aasaan hai jhoote aansuon ko bahaana,
mushkil hai jhooti muskaan ko laana,

hota hai jab kisi ka ghum se rishta,
kehte hain log ki aansoo na bahaana,
kya pata unko kise dard hai kitna,
chahte hain bas muskaan ko hi laana,
aasaan hai jhoote aansuon ko bahaana,
mushkil hai jhooti muskaan ko laana...

Friday, May 14, 2010

Pyaar

mera pyaar kisi mausam ka intzaar nahi karta , ye to bas pyaar karta hai,
ye teri chahat ka shikaar ho chuka hai aur ab bas tera intzaar karta hai....

Kuch khaas

hazaaron ki bheed me bas kuch khaas hote hain,
jo paas na hote huye bhi paas hi hote hain,
safar me zindagi ke kai hamsafar milte hain,
kuch bichhad jaate hain kuch saath hi hote hain...

Pyaar kya hai

pyaar kya hai kise kehte hain mohabbat,
na jaana kisi ne na hi koi jaan paayega,
sochte hi reh jaoge ki ye kya cheez hai,
aur tumhaara dil isse hoke guzar jaayega,

kisi ki aankhon ke samundar me ek din,
tumhaara dil bas doobta chala jaayega,
kisi ki julfon ke baadal se ek din,
tumpe wo pyaar ki baarish kar jaayega,

kehte rahoge tum ki hum na karenge pyar,
aur tumse ye haseen jurm ho hi jaayega,
tum apne deewane dil ko kaise rok paoge,
wo to pagal hai, kisi pe aa hi jaayega...

Thursday, May 13, 2010

Ek sawaal

aaj fir tere us uljhe sawaal ne mujhe uljha rakha hai,
sochta hoon kabhi kabhi ki aise sawaal ka matlab kya hai,
kyun aaj tak tu ye nahi samajh paayi ki tu chahti kya hai,
kehti hai rishta mujhse tera atoot hai to darti kya hai,
tera wo sawaal jise main sochta rehta hoon har lamha,
mujhe aaj tak samajh hi na aaya ki tune poochha kya hai,

haan wahi sawaal jo tu ne har baar poochha tha mujhse,
haan wahi sawaal jiska jawab bhi main chahta hoon tujhse,
kyun har baar tu yun behki baaton se mujhe dard deti hai,
ho sake to tu aaj hi bata de kya tujhe chahiye mujhse,
tera wo uljha sawaal jo mujhe uljhan me daal deta hai,
main haath jodke us sawaal ka jawaab maangta hoon tujhse,

haan ye ghadi tere imtihaan ki nahi hai mere sabar ki hai,
ghadi meri tere uljhe sawaal ke uljhan se nikalne ki hai,
jawab tujhe malum hai aur mujhe bhi pata hai ki sach kya hai,
par kabhi kabhi lagta hai ki jawab sun lu to achcha hi hai,
haan wo sawaal jo tu ne har baar poochha tha mujhse,
kaho na, "Mera jo ye rishta hai tumse kya mohabbat hi hai?"

"Kya mera jo ye rishta hai tumse wo mohabbat hi hai?".....

Duwa

bas ye asar apki duwaon ka hi hai,
ki ab har pal hum muskuraate hain,
rona bhi chahe kisi pal agar hum,
aansoo aankhon se laut jaate hain...

Wednesday, May 12, 2010

Fariyaad kaise karein

tum hamari saanson me aur dhadkano me samayi ho, hum tumhe yaad kaise karein,
bin maange hamari har muraad poori ho gayi, hum ab koi fariyaad kaise karein...

Teri dosti

ab to teri dosti se har kali mehekne lagi hai,
zindagi bhi ab kuch khushnuma si hone lagi hai,
chahta hoon tujhe bhi saare ghumon se dur rakhun,
isi chahat me ab hamari zindagi guzarne lagi hai...

Aansuon ko mitaana hai

gairon ko kyun dosh de jab apno me har koi begaana hai,
na to hamara koi naya dost bana na bacha koi puraana hai,

chahte the tujhe paana par ab teri yaadon ko apnana hai,
lagta hai ghum hi manzil hai apni aur dard hi thikaana hai,

bahaate the zinda paththaron ke aage hum apne aansu,
na samajh paye ki dard jo apnaa hai wo bas apnaa hai,

kab tak yunhi humein apne aansuon ka bojh uthaana hai,
humein apne hi haathon se apne aansuon ko mitaana hai,

ab hum fir muskura nahi sakte ye to bas ek bahaana hai,
ab humein muskurake zindagi ka tarana hi gungunana hai,

na kisi aur se ab humein apna koi ghum bataana hai,
khud to hasna hi hai ab auron ko bhi bas hasaana hai...

Zamaane se darte hain

agar nibha nahi sakte to kehte kyun ho ki hum mohabbat karte hain,
todte ho dil apno ka bedardi se aur kehte ho ki zamaane se darte hain...

Tuesday, May 11, 2010

Saath nibha na saka

chaha to maine bhi tha ki zindagi apni tere naam kar du,
par kuch aisi majbooriyaan thi ki main kar na saka,
chaha to maine ye tha ki aake tujhe baahon me bhar lu,
par kuch haalaat aise ban pade ki main aa na saka,

chahta hoon aaj bhi aake tujhe main saari baat bata du,
par jaane kis bandhan k kaaran main aa na saka,
chahta hoon ki har janam me main tujhe apna bana lu,
par maaf karna mujhe main is baar saath nibha na saka...

Dosti aazmaa le

hum bhi khade hain is raah mein ki koi humse bhi dosti karle,
kisi sachche dost ki muskaan dekh hum bhi do pal muskura le,

haan sach hai ye ki rehti nahi hai zindagi har lamha ek jaisi,
kyun na hum is pal me saare ghum bhulaake zindagi ko jee le,

ye lamha jo hai isse humein koi bhi shikayat nahi hai ab,
to kyun na hum bhi is pal mein kisi khaas ki dosti aazma le...

Monday, May 10, 2010

Mann mora

na kisi ki sunta hai wo,
bas pyaar hi karta hai wo,
chahe tu kuch na bhi kahe,
chahe paas more na bhi rahe,
ye jo pagal mann hai mora,
kuch na wo sunta hai mora,

kal tak mora mann mora tha,
wo mori har baat sunta tha,
aaj bana bawla hai wo,
kuch bhi na sunta hai wo,
ye jo pagal mann hai mora,
wo kal tak tha bas mora,

lootne more mann ko tu kyun,
aayi itne more kareeb tu yun,
chhoo ke more mann ko tune,
kar diya kyun apna tune,
ye jo pagal mann hai mora,
ab to na raha ye mora,

dekhi hai maine wo chori teri,
luti thi tu ne wo tijori meri,
khajana tha wo mann me more,
mann ko luta tune mann se more,
ye jo pagal mann hai mora,
ban gaya hai wo tora,

manwa mora ab to rowe hai,
teri yaadon me wo khowe hai,
tu ne kyun mujhko chhoda,
kaahe more dil ko toda,
ye jo pagal mann hai mora,
ho ke reh gaya bas wo tora...

Mohabbat

aaj mujhe jaane q fir se mohabbat karne ki chahat si ho rahi hai,
sambhla hoon ek toofan se fir ek naye se takrane ki chahat ho rahi hai...

Saath na chhodenge

na ho udaas tu ye soch ki tut jaayenge tere khwaab,
honge hum tere saath har khwaab poora karne ko,

na ho tu mayoos ye sochke ki chhhoot jaayega apna saath,
main hoon tere kareeb har lamha tera saath nibhaane ko,

rakhunga tujhe main dur duniya ke saare ghumon se,
hoon main har pal tere paas tere aasuon ko mitaane ko,

kyun sochti hai tu ki main kabhi dur ho sakta hoon tujhse,
tu to meri saanse hai, kaise dur kar paunga khudse apni saanso ko,

na maanga tha maine aaj tak kuch bhi us khuda se apne liye,
par aaj maangta hoon ki wo poore kar de tere sare khwaabon ko...

Diya

diya teri chahat ka jisse meri har shaam roshan hai,
jiya teri chahat se mera patjhad bhi ab saawan hai...

Tum

tum ghata hoti, main tumhaare saaye me gum ho jaata,
tum barish hoti, main tumhaare boondon se naha leta,
na tum dur hoti mujhse , na main tumse dur kabhi hota,
tum saanse hoti, main tumhe apni zindagi bana leta...

Maa O meri maa

maa O meri maa, haan tu hi to hai jisne mujhe janm diya tha,
haan tu hi to hai jisne mujhe bolna aur chalna sikhaya tha,
mujhe aaj bhi yaad hai wo sabse haseen jagah is duniya ki,
haan maa wo tera aanchal jisme mujhe chhipna achcha lagta tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main chhota tha,
main har pal apni shararato se kaise tujhe satata tha,
aur tu har baar bas muskuraake pyaar se daant deti,
aur main har baar fir aake tere aanchal me chhip jaata tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab main chhota tha,
kisi se ladke ya papa se darke kya main karta tha,
tu mujhe samjhaati ki daro mat beta , lado mat beta,
par main har baar bas teri aanchal me chhip jaata tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main bimaar padta tha,
main neendon me bhi bas tujhe yaad karta tha, tadapta tha,
aur tu apne neendein bhulaake bas mujhe sulaati thi,
tab teri aanchal ka saaya mere liye dawa ka kaam karta tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab main school jaata tha,
roz mitti aur kichad se apne kapde gande karke aata tha,
aur tu bas thoda sa mujhe daant ke mere kapdo ko saaf kar deti,
aur har baar main maasoom banke tere aanchal me chip jaata tha,

maa O meri maa, kya tujhe yaad hai jab main college jaata tha,
main hostel se tujhe khoob saare khat likha karta tha,
aur tu mere khat padh ke har baar mujhe yaad karke ro deti,
aur jab main ghar aata aake tere aanchal me main so jaata tha,

maa o meri maa, kya tujhe yaad hai jab tu ne mujhe kaam pe bheja tha,
bahut dur tere shahar se paise ki chaah me main aaya tha,
aur tu har pal bas ye duwa karti ki jahaan rahu mai khush rahun,
aur main tujhse dur hoke teri aanchal ko yaad karta tha,

ma O meri maa, kya tujhe yaad hai tujhse maine kya kaha tha,
mat ro meri maa tu , mat udaas ho tu, maine ye kaha tha,
bas kuch din ki baat hai, thoda kaam main nipta lu,
fir teri aanchal me main sounga , jisme mai pehle soya karta tha,

maa O meri maa, kya tu sun rahi hai jo main keh raha hoon,
maa tujhe yaad kar main aaj tanha mehsoos karta hoon,
maa mujhe tere aanchal ki khushboo yaad aati hai,
jis aanchal k tale main har lamha raha karta tha,

maa O meri maa, tu is jahaan ki sabse pyaari maa hai,
maa O meri maa, main khushkismat hoon jo main tera beta hoon,
maa O meri maa, main wapas aunga teri godi me aake sone,
maa O meri maa, main jald aaunga teri aanchal me fir se chhipne...


maa O meri maa, maa O meri maa....

Sunday, May 9, 2010

Thodi si insaaniyat bachi hai mujhme

kitni nafrat hai aaj yahaan is jahaan mein,
log bhoolne lage hain mohabbat kya hoti hai,
jaane kyun log ladte hain aaj apno mein,
bhool jaate hain rishton ki ahmiyat kya hoti hai,
kyun in sabko dekh main aankhen nam karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

dharm ke naam pe ek dusre ki jaan le lete hain,
jaane dharm k naam pe kitne dange hote hain,
hindu muslim sikh isaai ye to bas naam hain,
par haqeeqat me to sab insaan hi hote hain,
kyun in sabko dekh main apna waqt kharaab karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

har taraf raajniti ka ganda jaal hai,
bhai bhatijawaad ki yahaan misaal hai,
gyaan ki yahaan aaj koi qadar nahi,
pratibha ka bhi bahut bura haal hai,
kyun in sab baaton se pareshaan hota hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

apne hawas ka samaan samajhte hain naari ko,
bhool jaate hain jisne janam diya uska wajood,
naari ka apmaan karte hain yahaan har jagah,
bas ghreena hi aati hai dekh ke aisi kartoot,
kyun in sabko dekh main aasoo bahata hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,

paathakon ko aajkal lekhon mein bas masaala chahiye,
auron k ghum me bhi unhe apne liye sirf mazaa chahiye,
koi chaahe tadapta ho chahe koi roye khoon ke aasoon,
apne liye par har kisi ko khushi ka khazaana chahiye,
kyun in sab ke baare me soch ke apni umar kam karta hoon,
kya ab bhi thodi si insaaniyat bachi hai mujhme,....

Saturday, May 8, 2010

Jaane q

haan jaane q aaj fir se mujhe mohabbat yaad aa rahi hai,
jaane q mere khwaabon me kisi ki tasveer nazar aa rahi hai,
kya ise main bin mausam barsaat samjhu ya apna pagalpan,
jaane q mujhe us chehre ki yaad bahut tadpaa rahi hai...

Mohabbat sa kuch kar chale hain

kya kahein kuch aisa lagta hai aajkal,
ki hum khud se hi juda ho chale hain,

kaise kahen tumhe hum apne dil ka haal,
kuch paagal deewaane se ho chale hain,

saamne hoti ho to samajh kuch aata nahi,
lagta hai jaise apne hosh kho chale hain,

dur hote ho to dhundte hain tumhe hum,
jaise ki hum apne dil ko hi haar chale hain,

jaane kya asar hai tumhari aankhon mein,
lagta hai hum madhosh se ho chale hain,

tumhare aa jaane se kuch aisa asar ho raha hai,
lagta hai hum mohabbat sa kuch kar chale hain...

Aaye hi kyun

kabhi kisi se ye shikayat nahi karte ki tanha hai hum,
aaye the is jahaan me tanha, tabhi tanhaayi ka ghum nahi karte,
shikayat to bas itni hai ki kuch pal ka saath q diya,
jaana tha to aaye hi kyun, varna hum jhooti ummeed to na karte...

Chaahat

na main khuda maangta hoon, na hi mujhe jannat chahiye,
mujhe to bas mere mehboob ke dil me thodi si jagah chahiye..

Safar zindagi ka

yunhi kat jaayega ye safar zindagi ka gungunaate huye,
chalte rahenge hum yunhi ek duje ka ghum baante huye,
kabhi agar bhoole se bhi aansoo ajaayein teri aankhon me,
thode se aansoo meri aankhon ko de dena muskuraate huye...

Zindagi

aasaan nahi hota har kisi k liye muskurana ghumon me,
par koshish karoge to muskaan aa hi jaati hai kai baar,
zindagi itni bhi kathin nahi ki thak jao haar ke tum,
koshish karke dekho safalta mil hi jaati hai kai baar...

Friday, May 7, 2010

Ek baar

itni berang aur niras si bana rakhi hai tumne apni zindagi,
ek baar titli ki tarha phoolon ki mehek lekar to dekho,

ye nahi kehta ki tut ke bikhar jao is zindagi me,
ek baar lahron ki tarha saahil se takra kar to dekho,

ye nahi kehta ki asaan hai chhoo lena us aasmaan ko yunhi,
ek baar panchhi ki tarha apne pankh faila kar to dekho,

ye nahi kehta ki tum ghum me aansoo bahana chhod do,
ek baar baarish k paani se aansuon ko dho kar to dekho,

kab tak yunhi tanhaayion se apna dil behlaoge tum,
ek baar chini ki tarha paani me ghul kar to dekho,

kab tak yunhi ghar me band rehke apne armano ko kafan pehnaoge,
ek baar chaar kadam apne ghar se baahar badha kar to dekho,

itni bhi buri nahi hai ye dunia aur na hi kathin hai zindagi,
ek baar muskuraake zindagi ka har lamhaa aazmaa kar to dekho...

Yaadein teri

aasaan nahi hai kisi ko yaadon se mita dena,
ye to paththar se likha hai, kahaan mit paati hai,
chaahe koshish tum karo ya chahe hum kare,
par na chahte huye bhi yaad to jarur aa jaati hai,


na bhool paaye hain hum bhi tujhe aaj tak,
teri yaad hi to hai jo humein jeena sikhati hai,
kabhi kisi pal agar main tanha hota hoon to,
teri yaad hi to hai jo mera saath nibhaati hai...

Fasana hamari dosti ka

fasana ye fasana hai jo hum kisi se bayaan nahi karte,
apne dosti ki kahaani har kisi se kaha nahi karte,
kuch apne mil hi jaate hain is zindagi k safar mein,
warna sach hai hum har kisi se dosti kiya nahi karte...

Tum kya ho

tumhe kya pata ki tum kya ho, ye to usse poochho jo tumhe jaanta ho,
tumhaari tasveer bas wahi bana sakta hai jo tumhe pehchaanta ho,
asaan nahi hai do din pyaar se baat karke koi pehchaan jaaye tumko,
ye to wahi samajh sakta hai to tumhe apna sachcha dost maanta ho....

Jaane kya hua tha

aaj mausam hi kuch aisa bana tha ki kuch likh nahi paa rahe the hum,
kitne bhaaw aaye kitne shabd aaye par unhe jod nahi paa rahe the hum,
kuch pal kisi apne ka saath mil gaya to kavitaayein banne lagi humse,
jaane kya hua tha pehle ki wo mahaul hi nahi banaa paa rahe the hum....

Thursday, May 6, 2010

Meri baaton ka asar

tujhe kya maloom meri meethi baatein kya qahar dhayengi tere dil pe,
sach kehta hoon, bin piye hi madhosh ho jayegi tu aaj meri mehfil me,
aisa asar kar jaayegi mere chaahat ka nasha aaj tujhpe meri jaan,
tujhe pata bhi nahi chalega aur samaa jayegi tu meri saanson me meri rago me...

Roothi hai wo

main kabhi roothta tha, to wo mujhe manaati thi,
wo kabhi ruthti thi, to khud hi maan jaati thi,
wo jaanti thi ki mujhe manana nahi aata,
kuch pal k liye ruthke wo khud hi maan jaati thi,

maanke har baar khudse jab wo mere paas aati thi,
bade hi mohabbat se wo gale mere lag jaati thi,
ab bhi wo roothi hai, shayad kuch jyaada hi,
aayegi is baar bhi wo, jaise har baar aati thi...

Meetha dard

subah ki har pehli kiran k saath tum aaati ho,
aake mere sang har lamhaa tum muskuraati ho,
kuch meetha sa dard hota hai tumhaare intzaar ka,
par roz tum aake uspe malham lagaaa jaati ho,

aaj bhi intzaar tha mujhe tumhaaara, dard aaj bhi tha mujhe,
ab tum aa gayi ho to lagta hai, dard kabhi tha hi nahi mujhe...

Wednesday, May 5, 2010

Main Kya kahun

kuch aisa asar tha uski aankhon me ki kya kahun,
un nasheeli aankhon me kyu main kho gaya kya kahun,
izhaar kabhi kiya hi nahi usne apne hothon se,
main jaane kya soch uski raah takta raha kya kahun,


kabhi usne apna haal-e-dil mujhse nahi kaha,
par main uske aankhon k bharose baitha raha,
khata uski nahi ye asar uski aankhon ka tha,
jo main unpe anjaana sa aetbaar karta raha,

main us anjaane se aetbaar ke baare me kya kahun,
kaisa aetbaar tha us aetbaar pe mujhe kya kahun,
mere armaano ka gala is qadar ghonta mere aetbaar ne,
kis tarah tadap k dum toda mere armaano ne kya kahun,


mulaqaaton ka wo silsila kuch is tarah chalta raha,
har us mulaqaat me usne mujhse bas itna kaha,
chhodungi na main tera saath marte dum tak,
aur main un jhoote waado pe aetbaar karta raha,

main uske un jhoote waadon ke baare me kya kahun,
main apne un tute khwaabon ke baare me kya kahun,
socha tha sheeshe ka mahal khada karenge hum ek din,
ab un tute kaanch ke tukdo ke baare me kya kahun,


wo zaalim nazar mujhe har lamha yaad aata raha,
us nazar ka iqraar mujhe har pal yaad aata raha,
maine to har baar apne dil ka haal use bataya tha,
uska har baar hasi me uda dena mujhe yaad aata raha,

main uski us qaatil hasi ke baare me kya kahun,
main uski us zaalim nazar ke baare me kya kahun,
main to uski aankhon pe bharosa kar baitha raha,
un aankhon ne mujhe kaise loota ab main kya kahun,


barson se main jiska raah yun takta raha,
jiske liye main apne dil ko samjhaaata raha,
aaj mujhe chhod wo jaane kyun dur chali gayi,
jiske liye main bas intzaar yun karta raha,

kal tak jo mere dil me rehti thi uske baare me kya kahun,
ab uski yaadein kyun meri aankhon se behte hain kya kahun,
kuch anjaana sa bandhan hai usse ab bhi jo baandhe hai mujhe,
us anjaane andekhe bandhan ke baare me ab main kya kahun...

Tuesday, May 4, 2010

Pyaar

pyaar me bas pyaar hota hai,
na sawaal hota hai, na jawaab hota hai,
baahon me jab yaar hota hai,
to har pal bas uska hi khayal hota hai...

Yaadein

sach me yaadein hoti hi itni khoobsurat hain,
tanhaayi me bas yaadein saath reh jati hain,
kya hua agar saathi ka saath na mil paya to,
unki yaadein to hain jo dil me reh jaati hain...

Kya baat ho

hum to mehfil me bas shayari karte hain,
koi mere sher ko sher samjhe to kya baat ho,
dard pe mere log waah waah bhi karte hain,
koi mere dard ko dard samjhe to kya baat ho...

Monday, May 3, 2010

Ae zaalim

izhaar-e-mohabbat yun has has k na kiya karo ae zaalim,
kahin bahut door kisi ki dhadkano mein tezi aa jati hai,
teri yun ladne aur haske manaane ki jo adaa hai ae zaalim,
tujhe kaisi bataun kitni bedardi se meri jaan le jaati hai...

Ghum aur khushi

ghum bhi aajkal apna raasta khud hi banati hai,
jis ke paas thoda hai uske paas baar baar jaati hai,
khushi ke gharon mein kahin kahin bas khushi hi milti hai,
aur ghum se mohabbat ghum ko ghum k aur kareeb le jaati hai...

Milte hain

kahin sher milte hain, kahin shaayar milte hain,
par shayari ki mehfil me bas aashiq milte hain,
koi mohabbat pe likhte hain to koi dard pe likhte hain,
par kahin na kahin jaroor unke khayalat milte hain,

unme se kuch hain jo humein roz milte hain,
unme se kuch hain jinse hamare soch milte hain,
samajh lete hain wo hamare lekh me likhe dard ko,
shayad kuch hadd tak unse hamare dard milte hain,

saahil se aake jaane roz kitne kashti milte hain,
samundar se aake jaane roz kitne nadi milte hain,
dekh k unhe hamari soch bhi kehti hai humse aksar,
humse bhi koi mile jinse hamare ehsaas milte hain,

akele hain hum yahaan jahaan bahut log milte hain,
mehfilon me doston k hum aksar tanha milte hain,
shayad kuch kami reh gayi hogi hamari shayari me,
tabhi hamare saare mehfil yun veeraan milte hain...

Sunday, May 2, 2010

Jaane kyun

O priye, tumhaare hone se hi hum hum the,
tab tak tumhe hum bas tumhare lagte the,
tum hi thi jo humein humse milaati thi,
warna hum jo the wo kabhi bhi na lagte the,

aaj tumne humse ye baat jaane q kahi,
"jab tak tum mere the aise na lagte the,
aaj jaane kyun tum tum nahi lagte,
jab tak tum mere the, mere lagte the",

tumhaare hone se hi haseen thi apni duniya,
saare nazaarein humein haseen lagte the,
aaj wo saare manzar banjar lagte hain,
kal tak jo baag-e-bahaar lagte the,

kya tumne in sukhe phoolon se poochha,
kaise ye kal tak khile gulaab lagte the?
na kaha kuch unse tumne, par bas humse kaha,
"jab tak tum mere the bas mere lagte the",

aaj wo saare khat bas kaagaz lagte hain,
kal tak jo humein tumhaare ehsaas lagte the,
aaj tumhaari har wo nishaani khaamosh lagti hai,
kal tak jo mujhe tumhaare aawaaz lagte the,

na poocha tumne ek baar bhi apne dil se ki kyun,
jab tak hum tumhaare the bas tumhaare lagte the,
bas keh diya, "aaj jaane kyun tum tum nahi lagte,
jab tak tum mere the, mere lagte the".....

Humko rona aata hai

kuch bhooli yaadon ko yaad kar k aaj rona aata hai,
unki majbooriyon ko yaad karke humko rona aata hai,
majboor wo the par kamzor to hum bhi the us pal,
apni kamzoriyon ko yaad karke humko rona aata hai....

Qaabil nahi hoon

na-qaabil hoon main tere qaabil nahi hoon,
tu ambar hai main zameen bhi nahi hoon,
ye rishta mumkin nahi hai tera aur mera,
tu sona hai main kankad bhi nahi hoon...

Saturday, May 1, 2010

Zaalim zamana

zaalim zamaane k zulm-o-sitam zeher hain,
inhen tum apne hothon se lagaya na karo,

tanhaa safar me tanhaayiaan bahut hain,
par haal-e-dil kisi se bayaan na karo,

jhoote hain log , vaade bhi sab jhoote hain,
kisi sangdil se yahaan dil lagaya na karo...

Mitti k khwaab

har khwaab har khwaish aaj mitti k hotey hain,
toofano me dheh kar bas mitti hi reh jaate hain,
bulandiyon ki chaah me bhool jaata hai khud ko insaan,
mitti k bane wo chaahat mitti me milke reh jaate hain...

Rishtey

aye mere dost! rishtey hote hi itne khooburat hain,
ki apno ke aankhon me aansu nahi dekhe jate hain,
har dard har aansoo ko chhipate hain hum hamesha,
saare ghum apne chhipake apno k saamne muskuraate hain...

Kehna hai...

na, aaj na rukunga kisi ke roke,
na, aaj na sununga kisike toke,
dil me hai ek baat , bas kehna hai,
haan sach kehta hoon, kuch kehna hai,
haan dil me jo ek baat hai mere,
karta hoon jise main yaad shaam sawere,
haan wahi baat, haan aaj mujhe kehna hai,

na socho ki main kuch aisa kahunga,
na socho ki main kisi ka dil todunga,
dil se aayi hai awaaz, mujhe kehna hai,
dil ki hai wo pukaar, mujhe kehna hai,
haan main chahta hoon aaj kuch kahun,
kyu bina kahe wo baat main tadapta rahun,
bas ek baar,haan bas ek baar kuch kehna hai....

Aakhir kyun

aakhir kyun na chahte huye bhi main udaas hota hoon,
aakhir kyun na chahte huye bhi use yaad karta hoon,
aakhir kyun usse dur hoke bhi uske kareeb lagta hoon,
aakhir khun uski yaadon ko seene se lagake tadapta hoon...