Thursday, October 31, 2013

Aisaa asar kar gayi

kuch to hai baat unki aankhon ke ishaaron mein
naam aane lagaa aajkal hamaaraa beemaaron mein


unki aankhen kuch is tarhaa se asar kar gayi
aankhon se guzarke is dil mein ghar kar gayi

hum poochhte rahe khabar unhi ki har kisi se
unki aankhein har khabar se bekhabar kar gayi

aankhon kaa kaajal aur geeley labon ki laali
woh pareshaan humein kal raat bhar kar gayi 

jaagte rahe hain hum adkhuli aankhon se apne
banke khwaab woh aankhon mein basar kar gayi

unke jism ki khushboo se hi mehekte rahe hum
khushboo se khusnumaa saaraa shahar kar gayi

aadat nahi thi humein dil lagaane ki kisi se
sambhaalaa bahut dil ko paagal magar kar gayi

khud ko badaa shaatir samajhte the hum ab tak
apne hunar se feekaa meraa har hunar kar gayi

naa bahaa ek boond khoon, naa dard hi huwaa 
kaisaa woh qatl thaa jo unki khanjar kar gayi

'Hriday' shaayar thaa, ab aashiq kehlaane lagaa
unki mohabbat kuch aisaa hum par asar kar gayi

Wednesday, October 30, 2013

Haseen shaam deke dekhenge

aapko dil kaa har paighaam deke dekhenge
aapko haseen si koi shaam deke dekhenge

jaan jaayengi aap bhi hamaari chaahat ko
mohabbat ko hum apnaa naam deke dekhenge

yun naa soch lenaa ki aap be-kasoor hain
aapki aankhon par har ilzaam deke dekhenge

sochte honge ki hum kyun nahi kehte aapse
mushkil saa aap ko koi kaam deke dekhenge

haalat aapki kharaab naa ho jaaye to kehnaa
mohabbat ki nishaani sar-e-aam deke dekhenge

Tuesday, October 29, 2013

Shaayad hum muskuraate nahi

hum chhip chhip ke aapkaa aksar humse sharmaanaa dekhte hain
zulfon ki aad mein chhipaake chehraa muskuraanaa dekhte hain

jaante hain hum bhi aapko jalan hoti hai kisi aur ko dekhlen
har baar aap kaa mohabbat ki aag mein jal jaanaa dekhte hain



naa ji naa sanam hum aap se nazar churaate nahi
yakeen hai aap par is liye aap ko aazmaate nahi

jab bhi aap hamaare kareeb aane kaa sochtey ho
kyaa karen hum, bas hum yahi samajh paate nahi

haalat hi apni deewaano si ho jaati hai jaanaa
hum jaan bujhkar kabhi bhi aap ko tadpaate nahi

aap kaa naam jahaan aayaa, woh ghazal kehlaayaa
ban khud jaati hai, hum koi ghazal banaate nahi

daulat yaa rutbaa kyaa zindagi hain aap hamaari
magar hothon se aapko yeh baat hum bataate nahi

hai mohabbat humein bepanaah aapse yeh sach hai
magar dilki baat aapse hum kabhi keh paate nahi

kyaa bataayen hum aapko, kyaa hain hamaare liye
naa hote aap hamaare, hum kabhi muskuraate nahi

sirf ek naam 'Hriday' hi rehte is zamaane mein
is tarhaa aap ke geeton ki wajah ban paate nahi

ek aapki mohabbat hi hai jeene ki wajah hamaari
naa hoti mohabbat to shaayad hum jee paate nahi

Monday, October 28, 2013

Meraa koi thikaanaa nahi

kitni hi khwahishein dil ki, dil mein hi dum tod dete hain
aksar hamraahi manzil ke kareeb aake haath chhod dete hain

bhaagte rehte hain apni hi parchhai se pichha chhudaane ko
paaye kaise manzil hawaayein aksar raaste hi mod dete hain


samjhaayaa thaa logon ne dil ko lagaanaa nahi
main naasamajh kisi ki baat kabhi maanaa nahi

yun huwaa hoon gum main gham ke samundar mein
milaa hazaaron se par kisi ne pehchaanaa nahi

daakiyaa thaili mein bhar kar ghumaataa rahaa
main woh khat hoon jis kaa koi thikaanaa nahi

main udtaa rahaa sukhey kisi pattey ki tarhaa
naa le jaaye hawaa to kahin mujhe jaanaa nahi

do pal chain ki saans main loon bhi to kaise
thahar jaaun kahin aisaa koi aashiyaanaa nahi

haste hain dekh haalat raah se guzarne waale
kehte hain ki mujh jaisaa koi deewaanaa nahi

dhundtaa rehtaa hoon wajah muskuraane ki main
shaayad kismat mein hi mere muskuraanaa nahi

kuch to hai wajah ki itnaa dard hai mere paas
main zamaane kaa nahi yaa meraa zamaanaa nahi

Saturday, October 26, 2013

Deewano se hum lagne lage

jabse tere nainaa thagne lage hain
deewaano se hum to lagne lage hain

din guzaar dete hain tere hi sangh
hum raat raat bhar jagne lage hain


naa karo itni mohabbat ki zindagi kam lagne lage
sambhaalo humein, naa deewaano se hum lagne lage

dekhaa hai jab se sharaab si tumhaari aankhon ko
tabse ladkhadaate se hamaare do kadam lagne lage

khoke tumhaari gehri do aankhon ke samundar mein
kabhi doobte, to kabhi tairte se hum  lagne lage

yun aadat lagi hai ab humein tumhaari jaane jaan
ki humein achche hamaare hi har karam lagne lage

khoobsoorat lagne lagi hai zindagi ab to hamaari
har khwaab hamaare haseen ab to sanam lagne lage

khaa len har kasam ab tumhaari khushi ki khaatir
aasaan humein waade, hamaare har kasam lagne lage

kaanton mein ab dard jaisaa kuch baaki naa rahaa
phoolon jaise zamaane ke zulm-o-sitam lagne lage

sunte the kisse lailaa majnu, shireen farhaad ke
kuch huwaa aisaa ki ab unhi jaise hum lagne lage

jaise jaise kam huwi dooriyaan darmiyaan hamaare
dil mein hamaare mohabbat ke sholay sulagne lage

der naa lagi humein tan mann se ek ho jaane mein
jaise tum hamaare ho aur tumhaare hum lagne lage

Thursday, October 24, 2013

Yun naa muskuraayaa kijiye

humse nazren churaake yun naa sharmaayaa kijiye
jab bhi aayen saamne seene se lag jaayaa kijiye

aadat nahi sharaab ki to kaise jaam pee len hum
jaam apne husn kaa, thodi thodi pilaayaa kijiye

beqaaboo ho jaate hain, hum dekh aapkaa chehraa
dekhke hamaari taraf yun naa muskuraayaa kijiye

hulchul saa mach jaataa hai dil ke har kone mein
jaadu adaaon kaa dheere dheere chalaayaa kijiye

Baarish hoti hai

un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai


dil sambhaltaa nahi laakh sambhaale us pal
jitnaa roknaa chaahen, machaltaa rehtaa hai
koshish karte hain shaant ho jaaye do pal
magar dil yeh haathon se fisaltaa rehtaa hai

nishabd se ho jaate hain lab unhe dekh kar
dil ki unse khaas kuch sifaarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai

un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai


paagal saa dil meraa poochhtaa hai mujhse
jo gum ho jaaun kahin to dhundoge kaise tum
kabhi unki aankhon mein jo doob jaaun main
to us gegraai se mujhe nikaaloge kaise tum

tadapte rehte hain door khade reh kar unse
baahon mein unhe lene ki guzaarish hoti hai
bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai

un ke aankhon ki kuch yun saazish hoti hai
dekhte hain pyaar se jab, baarish hoti hai

bheeg jaataa hai jism kaa har ang jis mein
aise baarish ki hi sirf khwaahish hoti hai

Tuesday, October 22, 2013

Tujhe sone naa denge

jaagte rahenge hum, tujhe bhi sone naa denge
shabnami is raat ki hum subah hone naa denge

hoti rahegi baarish raat bhar jam kar aaj to
magar aag do jismon ki kam hum hone naa denge

tere labon ko apne labon mein hum qaid karke
baarish ki boondon ko unhe bhigone naa denge

tadap ke jab mere ishq mein tu ronaa chaahegi
hai qasam tere sar ki hum tujhe rone na denge

karenge ungliyon kaa jaadu jism par hum tere
tu chaahe bhi agar, hosh mein hone naa denge

sailaab mein mohabbat ke hum tujhko doobo ke
tere jism ko khudse hum judaa hone naa denge
Kuch aisaa kar lenaa

aake mere kareeb mere baahon mein thahar lenaa
doob meri aankhon mein tum jaanaa sanwar lenaa

main jism ki garmi se apne tumko paagal kardun
sakht meri baahon mein tum tootke bikhar lenaa

bheege se lab tumhaare chhoo lun labon se apne
mere labon ko labse apne kaske tum pakad lenaa

mujhko mehkaa denaa apni hi khushboo se jaanaa
hosh naa ho pal bhar kaa, kuch aisaa kar lenaa

apni zulfon ko tum, mere chehre par khol denaa
sawere ko zulfon se tum shaam jaisaa kar lenaa

raahon mein chalte chalte ladkhadaa jaao kabhi
sambhalne ke liye tum, haath meraa pakad lenaa

jab mujhse khafaa ho ke jaane lago duur mujhse
bas ek baar mudke jaanaa dekh meraa ghar lenaa

baahen failaa apni tum ko main khadaa milungaa
tum daud ke khudko meri baahon mein bhar lenaa

doon itni mohabbat, ki kuch naa fir baaki rahe
mere hi dil mein tum, dekh saaraa shahar lenaa

gehri meri aankhon ko mohabbat kitni hai tumse
dekhne ke liye isi mein nange paaon utar lenaa

'Hriday' yeh dhadaktaa hai tumhaare liye jaanaa
chhoo kar mere seene ko, mehsoos tum kar lenaa

Monday, October 21, 2013

Thodaa intezaar kar lo

mere aane kaa kuch pal aur intezaar kar lo
kuch der tum chaand kaa hi deedaar kar lo

jaantaa hoon main baithi ho aaine ke saamne
jee bhar ke tum aaj baith shringaar kar lo

guzar jaayenge bache kuch lamhe tanhaayi ke
dekh aaine ko kuch pal khud se pyaar kar lo

meri deewaangi kaa asar hogaa dheere dheere
ishq mein bikharne ko khud ko tayyaar kar lo

naa rahe baaki tamannaa koi dil mein tumhaare
mujh se poori apni khwaahishein hazaar kar lo

rok lo khud ko kuch der aur ki aajaaun main
mere aajaane par saari haddon ko paar kar lo

'Hriday' to banaa ki hai mohabbat ki khaatir
baahon mein leke tum bhi thodaa pyaar kar lo
Raho mere saamne

jo hai baat dil mein, zubaan ko keh lene do
tum khud ko tum jaisaa hi sanam reh lene do

bahut tanhaa hoon main tumhaare binaa jaanaa
tumhaari parchhaai ban ke mujhko reh lene do

tumhaari maasoomiyat se mujhe mohabbat hai
mujhe mohabbat ki dariyaa mein beh lene do

naa do bad-duwa tum se duur jaane ki mujhe
mujhe apni nazron ke saamne hi reh lene do

de ke waastaa dard kaa muh fer lete hain sab
le lo meri muskaan, magar kareeb reh lene do

Friday, October 18, 2013

Yun naa kijiye

naa dekhaa kijiye yun pyaar se hamaari taraf
humein mohabbat jaisaa kuch hone lagtaa hai

sharmaa ke apni palkon ko yun naa jhukaayaa kijiye
dekh humein chhip chhip ke yun naa muskuraayaa kijiye

hulchul saa mach jaataa hai hamaare dil mein us pal
apni zunfon ko aap chehre se yun naa hataayaa kijiye

subah ke os ki boondon se sajte hain lab gulaab se
haathon se apne un boondon ko yun naa mitaayaa kijiye

jab kabhi bhi guzarnaa ho hamaare kareeb se aap kaa
apne reshmi chunar ko aap yun naa lehraayaa kijiye

aapki jheel si gehri aankhon mein hain doob jaate hum
aap har lamhaa, har jagah nazar yun naa aayaa kijiye

apni zaalim adaaon se aap kyun jalaate hain humein
jaan hi nikal jaaye hamaari yun naa tadpaayaa kijiye

Ehsaan

hum par woh kuch yun ehsaan kar gaye
jaate jaate hum ko bezubaan kar gaye

unke liye kewal paththar hi rahe hum
humko hi taraashke bhagwaan kar gaye

zindagi bhar bas duwaayein denge hum
kaam kuch woh aisaa, mahaan kar gaye

apni hi parchhaayi, hum dhundte rahe
gum kahin hamaari, pehchaan kar gaye

khwaab se sundar sajaayaa thaa jisko
hamaare mahal ko woh makaan kar gaye

apni aawaaz ki humein aadat lagaakar
khaamosh saa, saaraa jahaan kar gaye

naa jee sakenge, naa mar sakenge hum
ishq humse yun hamaari jaan kar gaye

de gaye woh kasam hume muskuraane ki
itnaa ehsaan, woh meherbaan kar gaye

Friday, October 11, 2013

Andheraa

sau chiraagon se bhi roshni naa hui ghar mein mere
shamshaan jaisaa lagtaa hai ab is shahar mein mere

main woh khilaunaa hoon jisko kai baar todaa gayaa
baar baar tootke bikhar jaanaa hai hunar mein mere

yun bikhraa hoon ab ki baar ki kyaa bataaun yaaron
khwaab hai raat kaa naa haqeeqat dopahar mein mere

kyaa dosh dun zamaane ko aur kisse shikaayat karun
tum se judaa honaa shaayad thaa muqaddar mein mere

rekhaayein bhi haath ki mere dhundli si lagti hain
tanhaiyaan ghumti rehti hai ab to khabar mein mere

kaun sambhaale ab mujhe agar ladkhadaa jaaun kabhi
koi humsafar nahi hai jeewan ke is safar mein mere

naa koi pehchaan hai naa hi koi wajood hai ab meraa
rehtaa hoon ab ajnabi ki tarhaa main ghar mein mere

Thursday, October 10, 2013

Pyaar kar ke dekho naa

mere in baazuon mein khud ko bhar ke dekho naa
meri mohabbat mein toot ke bikhar ke dekho naa

aainaa bhi paani paani ho jaaye tumhe dekh kar
mere aankhon ke aaine mein sanwar ke dekho naa

kitni khobsoorat hai yeh zindagi jaan loge tum
kabhi ishq ki raahon se tum guzar ke dekho naa

aasaan hai bahut yeh safar zindagi kaa jaan lo
parindon ki tarhaa par failaa kar ke dekho naa

mushkil nahi hai tairke samundar ko paar karnaa
kabhi to paani mein tum khud utar ke dekho naa

khushiyon ke phool bichhaa dungaa raahon mein
jaanaa ! ek baar mujhse pyaar kar ke dekho naa

Wednesday, October 9, 2013

Dekhiye

taang tod ke baithaa hai woh ghar pe dekhiye
plaster lagaaye rakhaa usne kamar pe dekhiye

kangi nahi ki hai usne jaane kitne barson se
ju kaise panapte hain kisi ke sar pe dekhiye

karne chalaa thaa bas mohabbat woh naasamajh
kaise kaise maaraa sabhi ne pakad ke dekhiye

Monday, October 7, 2013

Tujhse pyaar karungaa

tere maan jaane tak main teraa intezaar karungaa
tu naa kare naa sahi, main tujhse pyaar karungaa

ret pe ghar banaake lehron se bachaa lungaa main
toot jaaye kabhi agar use firse tayyaar karungaa

taaj banaa ke kaarigar ne apne haath gawaaye the
tere liye apni zindagi hi tujhpe nisaar karungaa

khwaahish hai dilki teri aankhon mein doob jaaye
doob teri aankhon mein tere dil ko paar karungaa

bujh jaaye koi chiraag hawaa ke jhaunke se kabhi
khud ko jalaa ke main roshni mere yaar karungaa

maut aajaaye gar kabhi 'Hriday' ko mohabbat mein
teri khushiyon ke liye duwaayein hazaar karungaa

Sunday, October 6, 2013

Tu mujh mein ghul jaaye

ghar ko banaa de ghar ki tarhaa
is veeraane ko shahar ki tarhaa

tu mujhi mein ab ghul jaaye yun
chaai mein ho shakkar ki tarhaa

haathon mein teraa haath ho gar
zindagi ho hasi safar ki tarhaa

teraa mujh se rishtaa yun baney
shabd mein ho akshar ki tarhaa

lejaa mujhe bahaa ke sangh apne
samundar mein bhanwar ki tarhaa

likhun kuch teri taarif mein ab
deewaane kisi shaayar ki tarhaa

jalaa de apni mohabbat se mujhe
ab garam kisi dopahar ki tarhaa

ab mujhko teri zarurat hai utni
sharir ko jaise nazar ki tarhaa
Khud ko  kho diyaa

unki yaad ne firse hamaari palkon ko bhigo diyaa
dhundne nikle the zindagi, khud ko hi kho diyaa

bahut samjhaayaa humne dil ko, tu bhool jaa unhe
magar dil apnaa aaj fir un ki yaad mein ro diyaa

kashti mohabbat ki le ke nikle the toofaano mein
hamaare yaar ne hi hamaari kashti ko doobo diyaa

mohabbat ko kabhi humne apnaa samjhaa hi nahi thaa
maalaa mohabbat kaa hamaare dil ne hi piro diyaa

badkismati ko kismat samajh jeetey rahe hain hum
khush usi mein ho liye humein kismat ne jo diyaa
Khud ko kho diyaa

unki yaad ne firse hamaari palkon ko bhigo diyaa
dhundne nikle the zindagi, khud ko hi kho diyaa

bahut samjhaayaa humne dil ko, tu bhool jaa unhe
magar dil apnaa aaj fir un ki yaad mein ro diyaa

kashti mohabbat ki le ke nikle the toofaano mein
hamaare yaar ne hi hamaari kashti ko doobo diyaa

mohabbat ko kabhi humne apnaa samjhaa hi nahi thaa
maalaa mohabbat kaa hamaare dil ne hi piro diyaa

badkismati ko kismat samajh jeetey rahe hain hum
khush usi mein ho liye humein kismat ne jo diyaa
Khud ko kho diyaa

unki yaad ne firse hamaari palkon ko bhigo diyaa
dhundne nikle the zindagi, khud ko hi kho diyaa

bahut samjhaayaa humne dil ko, tu bhool jaa unhe
magar dil apnaa aaj fir un ki yaad mein ro diyaa

kashti mohabbat ki le ke nikle the toofaano mein
hamaare yaar ne hi hamaari kashti ko doobo diyaa

mohabbat ko kabhi humne apnaa samjhaa hi nahi thaa
maalaa mohabbat kaa hamaare dil ne hi piro diyaa

badkismati ko kismat samajh jeetey rahe hain hum
khush usi mein ho liye humein kismat ne jo diyaa
Khud ko kho diyaa

unki yaad ne firse hamaari palkon ko bhigo diyaa
dhundne nikle the zindagi, khud ko hi kho diyaa

bahut samjhaayaa humne dil ko, tu bhool jaa unhe
magar dil apnaa aaj fir un ki yaad mein ro diyaa

kashti mohabbat ki le ke nikle the toofaano mein
hamaare yaar ne hi hamaari kashti ko doobo diyaa

mohabbat ko kabhi humne apnaa samjhaa hi nahi thaa
maalaa mohabbat kaa hamaare dil ne hi piro diyaa

badkismati ko kismat samajh jeetey rahe hain hum
khush usi mein ho liye humein kismat ne jo diyaa

Saturday, October 5, 2013

Hum ko khwaab dijiye

mere likhe khat kaa aap kuch to jawaab dijiye
yaa de dijiye zeher, yaa thodi sharaab dijiye

naamumkin hai milnaa, hum se aksar kehte hain
haqeeqat nahi, naa sahi, hum ko khwaab dijiye

jeene ke liye de dijiye apni kuch yaadein aap
achchaa nahi, naa sahi, hum ko kharaab dijiye

pyaar nahi dost banke aap hamaare paas rahiye
naa chaahen laal agar aap safed gulaab dijiye

bas ek chiraag jalaaden, itnaa hi kaafi hogaa
humne kahaan kahaa aap se, aap aaftaab dijiye

de nahi sakte kuch bhi to dijiye itnaa hum ko
khudko hi jalaa len hum, hum ko tezaab dijiye
Woh deewaane aur hi the

lailaa majnu shireen farhad, woh afsaane aur hi the
ishq ko khudaa samajhte jo, woh mastaane aur hi the

ab to do pal ke saath ko log mohabbat samajhte hain
jaan bhi den mohabbat mein, woh deewaane aur hi the

aajkal ke parwaane, bas dekh aag ghabraa jaate hain
jal gaye jo mohabbat mein, aise parwaane aur hi the

doob ke dekhaa botal mein, nashe kaa kuch asar nahi
jo chhalak jaate the kabhi, woh paimaane aur hi the

sooni si mehfil hai, ghazal kaa naam-o-nishaan nahi
hothon se jo utren nahi woh geet puraane aur hi the

aankhon ke kaajal ki aur zulfon ke baadal ki baatein
aisi haseen taarif kare koi, woh zamaane aur hi the

likhtaa hai ab 'Hriday', bhool log jaate hain jaldi
taaliyaan jin par bajti thi, woh taraane aur hi the
Hum ko unse pyaar hai

neend kahaan in aankhon mein, bas unkaa intezaar hai
unhe aanaa hai, woh aayenge, humein unpe aetbaar hai

un ke liye hi dekho naa ghar phoolon se sajaayaa hai
unke pasand ke phoolon se sajaa unke liye uphaar hai

der lagegi aane mein magar hai yakeen ki woh aayenge
sunaa to hogaa unhone bhi, jo mere dil ki pukaar hai

khushboo se rajnigandhaa ke saaraa samaa mehek uthaa
khushi bhi dekho jhoom rahi hai jaise ki tyohaar hai

hawaaon mein hai aaj paagalpan aur kuch madhoshi hai
nashe ke aalam mein jaanu naa barkhaa yaa bahaar hai

ehsaason ke saagar mein aaj lehrein hain machal rahi
samajh nahi rahi hain ki saahil hai yaa majdhaar hai

hum keh chuke hazaaron baar aankhon se apne yeh baat
kehnaa hai aaj hothon se ki hum ko unhi se pyaar hai

Friday, October 4, 2013

Paagal banaa ke rakhaa hai

teri paagal jaisi in baaton ne 
mujhe paagal banaa ke rakhaa hai
teri gehri gehri aankhon ne
mujhe baadal banaa ke rakhaa hai

doob jaataa hoon teri aankhon mein
main kho jaataa hoon un mein hi
tu ne hi to apni aankhon kaa
mujhe kaajal banaa ke rakhaa hai

muskaan khud ba khud aa jaati hai
dekhtaa hoon jab tere chehre ko
tu ne hi to mohabbat mein mujhe
apnaa aanchal banaa ke rakhaa hai

labon se kuch bhi kehtaa nahi main
par aankhon se sab keh jaataa hoon
teri haseen si yaadon ne hi meraa
haseen har pal banaa ke rakhaa hai
Kaajal churaa ke laayaa hoon

khoobsoorat saa main koi pal churaa ke laayaa hoon
tumhaari aankhon se main kaajal churaa le aayaa hoon
thaa nahi kuch meraa apnaa, main tumhaare naam karun
kisi shaayar ki haseen ghazal churaa ke laayaa hoon



is mohabbat kaa jaanaa khoobsoorat saa anjaam ho jaaye
tumhaari baahon mein guzre aisi haseen shaam ho jaaye
tum ko achchaa lagtaa hai bheeg jaanaa baarish mein
dekho naa tumhaare liye baadal churaa ke laayaa hoon
thaa nahi kuch meraa apnaa, main tumhaare naam karun
kisi shaayar ki haseen ghazal.......................

khoobsoorat saa main koi pal.........................
tumhaari aankhon se main kaajal .....................



paagal paagal rehtaa hoon jabse tumhaaraa deedaar huwaa
aisaa ab to lag rahaa hai ki mujhko bhi hai pyaar huwaa
yun to log mohabbat mein laal gulaab hi dete hain, par
tumhaare hothon ko dekh ek kamal churaa ke laayaa hoon
thaa nahi kuch meraa apnaa, main tumhaare naam karun
kisi shaayar ki haseen ghazal.......................

khoobsoorat saa main koi pal.........................
tumhaari aankhon se main kaajal .....................



dekh tumhaari aankhon ko un se mohabbat kar baithaa
tum ko paane ki khaatir sab se bagaawat kar baithaa
sochaa tumhe tohfe mein sabse haseen ek cheez de dun
isliye tumhaare liye tajmahal churaa ke laayaa hoon
thaa nahi kuch meraa apnaa, main tumhaare naam karun
kisi shaayar ki haseen ghazal.......................

khoobsoorat saa main koi pal.........................
tumhaari aankhon se main kaajal .....................

Thursday, October 3, 2013

Saazish

tumhaare aate hi jamke baras jaanaa, boondon ki saazish hai
tumhaari khushboo mein mehek jaanaa, phoolon ki saazish hai

yun to nashaa chadh paayaa nahi mujhpe kabhi sharaab kaa bhi
magar tumhaare aate hi behek jaanaa, zaroor koi saazish hai

kab se sambhaale rakhaa thaa maine kadmon ko ladkhadaane se
tumhaare aate hi meraa gir jaanaa, in kadmon ki saazish hai

baandhe rakhaa thaa maine apne dilko ki udd naa jaaye kahin
dekh tumhe is kaa lut jaanaa, haseen aankhon ki saazish hai

saazish hai ab to har taraf, har dishaa mein, hawaaon mein
mujhe apne sangh udaake le jaanaa, in hawaaon ki saazish hai

jaantaa hoon main kasoor yeh meraa nahi hai tumpe mar mitnaa
meraa tumse mohabbat ho jaanaa, bataao naa kiski saazish hai
Saazish

tumhaare aate hi jamke baras jaanaa, boondon ki saazish hai
tumhaari khushboo mein mehek jaanaa, phoolon ki saazish hai

yun to nashaa chadh paayaa nahi humpe kabhi sharaab kaa bhi
magar tumhaare aate hi behek jaanaa, zaroor koi saazish hai

kab se sambhaale rakhaa thaa maine kadmon ko ladkhadaane se
tumhaare aate hi meraa gir jaanaa, in kadmon ki saazish hai

baandhe rakhaa thaa maine apne dilko ki udd naa jaaye kahin
dekh tumhe is kaa lut jaanaa, haseen aankhon ki saazish hai

saazish hai ab to har taraf, har dishaa mein, hawaaon mein
mujhe apne sangh udaake le jaanaa, in hawaaon ki saazish hai

jaantaa hoon main kasoor yeh meraa nahi hai tumpe mar mitnaa
meraa tumse mohabbat ho jaanaa, bataao naa kiski saazish hai
Pyaar se pukaare koi

kabhi pyaar se kare humein ishaare koi
kabhi hum par bhi dil apnaa haare koi

achchaa nahi lagtaa yun tanhaa rehnaa
ab raat hamaari baahon mein guzaare koi

god mein kisi ke sar rakh kar leten hum
apne haath se in baalon ko sanwaare koi

kab tak yunhi khud gir ke sambhlen hum
in ladkhadaate kadmon ko de sahaare koi

mehsoos kar len hum bhi ab mohabbat ko
naam hamaaraa ab mohabbat se pukaare koi

Tuesday, October 1, 2013

Kuch baatein

kuch baatein khaamoshiyaan khaamoshi se keh jaate hain
warnaa aksar dil ki baatein dil mein hi reh jaate hain

hum dhoondte rehte hain khwaabon ko aasmaanon mein aur
khwaab hamaare kareeb aksar gum se hoke reh jaate hain

samajh paate nahi waqt ke rehte hum dil ke ishaaron ko
baarish mein kaagaz ke kashti ki tarhaa beh jaate hain

pighal jaate hain baarish ke pani mein kuch der beh ke
mitaake apni hasti hum mitti mein milke reh jaate hain