Sunday, October 7, 2012

Shayad

kaash kabhi koshish ki hoti
unhone mujhe samajhne ki
khuli kitaab thi meri zindagi
kuch chhipaa nahi, kuch dhakaa nahi
bas ek chehraa meraa jisme sab dikhta thaa
jo na dikhe wo main khud hi bataataa thaa

par afsos unhone kabhi dekhaa nahi
mere is chehre ko kareeb se
dekha bhi hoga shayad kabhi
par samajh na paayi wo khulaa sach

haan wo sach, jiska har shabd
cheekh cheekh ke kehta raha
"mujhe mohabbat hai"
main kartaa raha mohabbat ek tarfaa
aur wo har baar hasi me udaati rahi
main kehta raha , mujhe mohabbat hai
aur wo mazaakh samajhti rahi

kaash wo samajh paati meri baaton ko
kuch chhipaa to na thaa uski nazron se
main, meri zindagi, ek khuli kitaab thi
usko maaloom thaa ki main aisa hi hoon
jo mere dil me wahi mere hothon pe
main uske itne kareeb rahaa magar
wo samajh naa paayi kabhi mujhe

bas ek roz yunhi hasi hasi me
kisi aur ki ho ke chali gayi
doli uthi meri nazron ke saamne
main tadaptaa rahaa aur wo
thik waise hi hameshaa ki tarha
mujhe dekh muskuraati rahi

jaane kyaa baat thi
jaane kyaa raaz thaa
mere jeewan ke khuli kitaab ko wo
kabhi samajh hi naa paayi thi
yaa sach kuch aur thaa
wo samajhnaa hi nahi chaahti thi
wo meri honaa hi nahi chaahti thi

shayad...shayad....

No comments:

Post a Comment