Saturday, October 13, 2012

Naa main rahungaa, na tum rahogi

kuch log gunaah kar ke
muskuraake aage chale jaate hain
aur kuch log mujhe jaise
tadapte reh jaate hain
haan main hi thaa wo shaqs
jisne tumhe tabaah kiyaa
jisne tumhe barbaad kiyaa
karke waadaa saath nibhaane ka ta_umra
main hi thaa jisne tumhe tanhaa kiyaa

haan wo waqt hi aisa thaa
ki kuch samajh main payaa nahi
jisne mujhpe khud se bhi zyaadaa bharosaaa kiyaa
maine usi ko bewafaa karaar diyaaa
sun ke baatein gairon ki
main hi thaa jisne tumhe chhod diyaa

naa socha ek pal bhi
ki tum par kyaa beetegi
naa aayaa khayaal ek baar bhi
ki tum gunehgaar nahi
na hosh rahaa kuch bhi mujhe
aur tanhaaa tumhe chhod diyaaa

haan main aane waala thaa milne tumhe
saare gunaahon ki apne maafi maaangne
par waqt, baraa bereham niklaaa
jo ghaaw maine tumhaare dil pe kiyaa
wo har dard, har peedaa usne mujhe diyaa
December ki lambi shaamo me maine tumhe yaad kiyaa
yaad rahaa chehraa tumhaaraa
aur kuch naa mujhe yaad rahaa

thaa nahi is haal me main
ki milne tumhe aa bhi sakun
ek saal, fir kai saal guzre
December bhi aake har baar guzraa
chhod ke aayaa tumhe thaa
par fir tumhe main paa naa sakaa

bistar pe main letaa rahaa hoon
bimaar main rehtaa rahaa hoon
khaa naa sakaa, pee naa sakaa
thik se jee bhi naa sakaaa

maut pe yakeen hai mujhe
is saal aayegi milne
tumse to milan ho naa sakaa
par usse meraa milan hogaa

Fir December ki har shaam hogi...
naa main rahunga, naa tum rahogi.....

No comments:

Post a Comment