Tuesday, October 23, 2012

Guzarish

Ek guzarish kalam se....

ae  kalam  mere  kuch   likhwaa   mujhse  aisaa
padh  ke  unke  chehre  pe  muskaan   aa  jaaye

sharmaa ke  chehraa  chhipaa  len aanchal mein
jab  khat  me  unhe  meraa  chehraa  nazar aaye

khat   ko  mere  wo  chhoo  len apne hothon se
aur  agle  pal  wo  khud se   hi   sharmaa  jaaye

aaj  kuch  aisaa  asar  kar  is  kore   kaagaz   pe
mehek mein mohabbat ke wo bhi mehek jaaye

Aur ek guzarish khat se.....

titli   se   rang   le   ke   unko   tu  aisaa  rangnaa
ki  saaton  rang  me  khushi  ke  wo  rang  jaaye

haalat  meri  bataanaa , unkaa bhi poochh aanaa
kuch aisaa jaaduu karnaa ki wo bas muskuraaye

banke  tu  baadal jaanaa, aur jaake baras jaanaa
kuch  is  tarhaa  tu barasnaa, ki wo bheeg jaaye

unke paas jaanaa,  wahaan shaam tak thaharnaa
unko  tu  baahar  laanaa , jab chaand nikal aaye

chandaa ko main dekhungaa, unko bhi tu dikhaanaa
aur  chaand  ke  chehre me mujhe wo nazar aa jaaye

No comments:

Post a Comment