Tuesday, October 9, 2012

Dil lagaane ki baat karte ho

rehke  duur  duur  mujhse  tum   pyaar   nibhaane   ki   baat  karte  ho
aate   ho   khwaabon   me   kareeb ,  saath  nibhaane ki  baat  karte ho

kehte  ho  pyaar  nibhaanaa  hai tumhe aur mar  jaane ki baat karte ho
judaa ho ke mujhse kabhi aaye na waapis, tum wafaa ki baat karte ho

main kabse tumhaari raahon pe jaanaa aankhen bichhaaye baithaa tha
band  karke   saare   raaste  tum , mujhse   ab   milne   ki baat karte ho

chhod   jaane   ka   faislaa   tumhaaraa  thaa  us  pal , ab  afsos   kyun
jab   mumkin  nahi   hai  saath  apna, ab tum laut aane ki baat karte ho

No comments:

Post a Comment