Saturday, October 6, 2012

Apnaa naa sakaa

kuch bandhan the aise ki mujhe jaanaa padaa
kuch rishton ko nibhane mujhe jaanaa padaa
chahaa thaa saath nibhanaa umra bhar lekin
bich raah me sab chhod mujhe duur jaanaa padaa

wo kasme jo tumse kiye the toot gaye
saath wo haseen lamho ke chhoot gaye
waqt ne kuch aisaa mod liya zindagi me
ki hamaare muskuraahat hi humse rooth gaye

chaah ke bhi khud ko jaane se  rok naa sakaa main
kareeb tumhaare aa ke bhi tumko na paa sakaa main
ye kismat ka khel nahi to aur kya hai meri jaanaa
kisi ko khud se zyaadaa chaah ke bhi apna naa sakaa main

No comments:

Post a Comment