Monday, June 18, 2012

Yakeen nahi hota

koi kyun karta hai itni mohabbat humse ki jaan tak de de,
kabhi khud pe to kabhi unki mohabbat pe yakeen nahi hota,

jiski kismat me abhi tak khushiyon ka koi naam nahi tha,
wo muskuraaye to humein uski muskaan pe yakeen nahi hota,

yun to safar me zindagi ke kai log mile kai log bichhade,
milke koi saathi na judaa ho to milan pe yakeen nahi hota,

koi ponchh le agar aansoo, na rone de, na marne de humein,
uski di hui khushi pe jaane kyun dil ko yakeen nahi hota,

saayaa saath rahe, chalta rahe jahaan jahaan hum chalen,
kabhi kabhi humein khud ko apne saaye pe yakeen nahi hota,

ye pehli baar nahi hai ki kisi ko mohabbat hui hai humse,
tuta dil itni baar ki ab humein kisi pe yakeen nahi hota,

phoolon ki sej pe chalke bhi kaante chubhe hain paaon me,
shayad yahee wajah hai ki kisi phool pe yakeen nahi hota,

wo saath nibhaa paayenge, kyaa wo humsafar ban paayenge,
kabhi kabhi humein unke kiye vaadon pe yakeen nahi hota,

koi kaise kar sakta hai itni mohabbat ki khud ko bhula de,
kabhi khud pe to kabhi unki mohabbat pe yakeen nahi hota...

No comments:

Post a Comment