Monday, June 25, 2012

Meri kahaani

ek baar unhe kahaa thaa ki
tute huye kaanch ke tukde
dekhne me bahut achche lagte hain
par jaane unhe humse ye kaisi chaahat hui
ki wo hamaaraa dil kaanch ki tarha tod gaye

humne to ye soch ke kahaa tha
ki hum usme apne chehre ke
kai pratibimb dekh sakte hain
aur unhone soch liya ki
kuch alag lagaaw hai humein kaanch se
aur wo is dil ko tukdo me tod gaye

galti ye hamaari thi ki adhuraa kahaa
jo tha mere dil me wo kabhi na pooraa kahaa
aur wo meri khaamoshi ko jaane kya samjhe
ki wo humesha ke liye mujhe khaamosh kar gaye
mere kaanch ke dil me wo dher saaraa dard bhar gaye

hum to ye samjhe the ki mohabbat aasaan hai
jisme log bin kahe hi samajh lete hain
par kya maloom tha ki wo samajh kuch aur hogi
jo samjhenge wo, wo samajh hamaare khilaaf hogi
dekho na, kaise mujhse pyaar karke wo mujhe hi tod gaye
nibhaake saath kuch pal ka firse tanha chhod gaye

yun to aadat thi hume tanhaai ki unse pehle
par aadat meri badal ke wo jaane kahaan chale gaye
meri wafaa kaa sila apni bewafaai se wo de gaye
hum bhulaake khud ko unse mohabbat karne lage the
hum har roz kai kai baar unpe marne lage the
aur wo mujhse meri saanso ko cheen kar le gaye
dekho na, wo mujhe tanhaa chhod ke chale gaye

todke kaanch ki tarha mere dilko ko chale gaye
chhod ke mera saath sadaa ke liye wo chale gaye
wo chale gaye, wo chale gaye, wo chale gaye....

ab naa to kisi se pyaar karenge, na aetbaar karenge
par jeete rahenge jab tak, bas uusi ko yaad karenge...

2 comments:

  1. apni kahani ko lafjon ka roop dena aasaan nahi hota....bahut accha likhte hai aap Hriday ji....
    par jab bhi mauka mile iss kahani ko badlane ki koshish zarur kariyega...

    ReplyDelete