Friday, June 8, 2012

Mohabbat karke main mar gayaa

mere apno ne mujhe samjhaayaa khoob ki pyaar na karna, par main kar gayaa,
kisi qaatil ki qaatilanaa adaaon ko dekhke uspe jaane kyun main mar gayaa,

safar kathin hai chaahat ka jaan kar bhi us raah se hoke main guzar gayaa,
talaash me zindagi ke khushiyon ki qatl apne hi armaano ka main kar gayaa,

nasheeli aankhen, shabnami honth, reshmi zulfen, inhe dekh main mar gayaa,
jaane kyun kisi bewafa ke husn ko dekh usse wafaa ki umeed main kar gayaa,

dekha ek nazar jise, wo pehli nazar me hi jaane kyun is dil me utar gayaa,
mehboob kahaa tha maine jise kabhi, wo khud ko mera maanne se mukar gayaa,

ab kehta hoon sabse, mohabbat buri balaa hai, naa karna jo main kar gayaa,
banaanaa tha aashiyaanaa chaahat ka, par tutke tinko me main bikhar gayaa,

chaah ke kisi ko sheese jaise dil pe chot kisi paththar se main kar gayaa,
paanaa chahta tha zindagi, par karke mohabbat khud ba khud main mar gayaa...

No comments:

Post a Comment