Tuesday, June 19, 2012

Wo rishte hum tod aaye

jis haath ki ungli pakad ke humne chalna seekhaa,
jis haath ko thaam ke kabhi humne padhna seekhaa,
aaj jab us haath ko hamaare haath ki jarurat hui,
humne us haath se haath chhudaake nikalna seekhaa,

aajkal ghar ghar ki yahi kahaani hai... maa baap bachchon ko padha likhaa ke apne paaon pe khade hone laayak banaate hain aur khud se duur achche colleges me admission karwaate hain... unhe wahi job mil jaataa hai... aur wo bachche wahi settle ho jaate hain...!!!


wo dono jo khud bhuke reh ke humein khilaayaa karte the,
wo dono jo humein apni godi me le ke sulaayaa karte the,
aaj jab unhe hamaari jarurat hai, jarurat hai sahaare ki,
hum daud me apni zindagi ke, unhe bahut pichhe chhod aaye,

wo is ummeed me din kaat rahe hain ki kabhi to hum milenge,
wo is ummeed me hain ki unka haath thaam ke fir hum chalenge,
kya pata unhe ki hum talaash me chand sikko ke unhe chhod aaye,
wo rishta to atoot hai unse hamaara, hum us rishte ho tod aaye,

kya isi din ke liye maa baap janam dete hain bachchon ko,
kya isi din ke liye insaan banaate hain apne bachchon ko,
ki jab budhaape me unhe jarurat ho apne bachchon ki tab,
wo bachche unhe bhulaake unse bahut duur chale jaayen.....

No comments:

Post a Comment