Wednesday, June 6, 2012

Tum mujhe paagal kar jaate ho

main deewaanaa hoon, kyun meri deewaangi ko aazmaate ho,
nasheelee adaaon se kyun meri dhadkano ko badhaate ho,
chhu jaate ho mujhe aake mere khwaabon me kuch is tarha,
tadap uth_ta hoon main, aur tum dekh mujhe muskuraate ho,

jangal me kisi mor ki tarha, tum naachti ho, kabhi gaati ho,
chaahun tumhe chhuna agar main, tum chhui mui si ban jaati ho,
pyaasaa hoon tumhaare pyaar ka main, chain mujhe ek pal nahi,
dikhaake jheel si aankhen apni meri pyaas ko badhaa jaati ho,

geelee si baarishon me jab kabhi bheeg jaataa hoon main,
sharaabi hothon se tum mujhe chhu ke paagal kar jaate ho,
aag si lag jaatee hai paani me tab, jal jaata hoon main,
aur tum jalte huye mere tan badan ko aur jalaa jaate ho,

tum raho aankhon ke saamne to geet koi adhuri rehti nahi,
jazbaat behte rehte hain aur tum khud ghazal ban jaate ho,
log kehte hai ki mohabbat me sirf dard hi mil paataa hai,
sach to ye hai ki tum mere har dard ki dawaa ban jaate ho...

No comments:

Post a Comment