Wednesday, June 13, 2012

Kyun naa main mar jaaun

haan main tumhe chaahti hoon, par tumhe yaki kaise dilaaun,
jinhone janm diya hai mujhe, unhe main chhod ke kaise aaun,

jhoot nahi mere is baat me ki main chaahungi tumhe ta_umra,
mere is chaahat me jo sachchaai hai, tumhe kaise samjhaaun,

thamaa thaa haath is ummeed se ki main saath nibhaa paaungi,
chhod ke saath maa paapaa ka tumhaaraa saath kaise nibhaaun,

jo lamhe tumhaare saath guzaare the unhe bhulaa naa paaungi,
wo rishte jo bachpan se saath hain unhe main kaise bhulaaun,

tumhaaraa saath paanaa hai, par unka saath na chhod paaungi,
tod dun dilon ko berehmi se main aise andaaz kahaan se laaun,

naa hi main tum bin jee sakti hoon, na main tum bin mar paaun,
kaho naa, laachaar aise haalat me main aansoo kyun na bahaaun,

maa paapaa ke saath rahun main yaa saath tumhaare main aajaaun,
main jee to lu par koi khushi na hogi, kyun na main mar jaaaun...

No comments:

Post a Comment