Friday, June 15, 2012

Kabhi to aap muskuraaye honge

raah-e-zindagi me aapke kai hamsafar aaye honge,
kisi na kisi se aap bhi dil apnaa lagaaye honge,
chaahe abhi tanha hon bewafaai ka ilzaam lagaake,
magar kabhi to unke hone se aap muskuraaye honge,

yaad karke unhe kai baar aap aansoo bahaaye honge,
aur wo kai kai baar aapke khwaabon me aaye honge,
kya huwa jo rishta aaj toot gaya, par unki baatein
kabhi to yaad banke aapko akele me gudgudaaye honge,

likhe huye unke khat kabhi to aapko yaad aaye honge,
unki kisi tasveer ko dekh kabhi to aap sharmaaye honge,
kis andaaz me aapko chheda karte the kuch waqt pehle,
wo sharaaratein kabhi to aapko bahut yaad aaye honge,

aaj rulaa rahe hain, par kabhi to wo aapko hasaaye honge,
aaj nahi, par kabhi to aapko apne dil me wo basaaye honge,
aaj unka saath nahi hai to aap khud ko haaraa samajhte ho,
kabhi to unke saath har jung jeetne ke kasam khaaye honge,

kya aisa hai ki aapke aansuon se wo aapko samajh paaye honge,
kya unki khushhaal zindagi me kabhi aap unko yaad aaye honge,
kya faida aise kisi ke liye aansu bahaane ka jo aapka nahi,
muskuraao, jaise unse milne se pehle kabhi aap muskuraaye honge...

No comments:

Post a Comment