Monday, June 4, 2012

Na badle hum hain, na badle tum ho

wo waqt hi kuch aisa tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho
hawaa ka ek jhaunka tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo pal jo kabhi hamaare the badal gaye
ehsaas jo kabhi tumhaare the badal gaye
badalne ko to ye zamaanaa badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri un baaton ko kya tum bhool paaye ho
haseen mulaaquaaton ko kya bhool paaye ho
kehte ho tum ki hum badal gaye,  par
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo chiraag chaahat ke aaj bhi jal rahe hain
yaadon ke wo kaafile aaj bhi chal rahe hain
ek lamha tha jo guzar gaya, wo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

jin baahon ke gheron me kabhi rehte the tum
jin nigaahon ke chaaon me kabhi rehte the tum
mudke dekhlo ek baar wo baahen, nigahen wahi hain
aajaao, na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri har dua me aaj bhi tum hi tum ho
meri dhadkano me ho, saanso me tum ho
badal gaya ho chaahe wo beetaa lamha
na badle hum hain, na hi badle tum ho...

No comments:

Post a Comment