Thursday, June 28, 2012

Main udaas kyun hoon

aaj mera dil udaas kyun hai
kisi se koi rishta nahi mera
koi aisa nahi jo apna ho mera
magar fir bhi kuch to hai
kuch aisa jo mujhe roke huye hai
kuch aisa jo mujhe baandhe huye hai
magar kya? main samajh paataa nahi
main ye jaan paataa nahi

koi aisa nahi hai jisse mujhe mohabbat ho
koi aisa nahi jo mere khwaabon me aata ho
magar kuch to hai, koi to hai,
jisne mujhe roka hai
magar kaun? koi bataa de mujhe
main is koshish me hoon ki rok lun khudko
magar kiske liye, kyun rokun khud ko main
main udaas hoon aaj, par wajah maloom nahi
poochhta hoon main apne dil se bas ek sawaal
aaj main aur mera dil udaas kyun hai

kya aisa bhi hota hai ki koi wajah naa ho
koi hamaaraa ho magar humein maloom naa ho
tadap rahaa hoon kisi ke liye, par kaun hai wo
na samajh paayaa tha kabhi, naa ab samajh payaa hoon
par sawal bas yahi hai ki, main udaas kyun hoon
aaj ye dil mera bhalaa udaas kyun hai

maloom hai ki sambhal jaaunga main
kuch pal me sab bhool jaaunga main
magar kuch yaad nahi ki bhuloon kya
kuch to hai jisne mujhe paagal banaa rakha hai
magar kya ? koi hai kya jisse mera lagaaw hai
is baat ka ehsaas hai ki kuch chhoot raha hai
magar kya is baat ka aabhaas nahi hai mujhe
pataa hai to bas mujhe itna pataa hai
ki main udaas hoon, mera dil udaas hai
magar dil mera ye bhalaa udaas kyun hai???
ye dil mera aaj itna udaas kyun hai???

Wednesday, June 27, 2012

Mere paas kya hai

poochha kisi apne ne humse ki us sukhe gulaab mein khaas kya hai,
kahaa unse muskuraake, iske siwa unki nishaani mere paas kya hai,

jalaa chukaa hoon saare khat, saari tasveerein, ab bacha kya hai,
rakhun seene se lagaake ye gulaab to isme kisiko aitraaz kya hai,

yaadein, kuch baatein, inke siwa bacha yahaan koi ehsaas kya hai,
paalun fir se unhe sadaa ke liye, isse badi ab koi pyaas kya hai...

Monday, June 25, 2012

Meri kahaani

ek baar unhe kahaa thaa ki
tute huye kaanch ke tukde
dekhne me bahut achche lagte hain
par jaane unhe humse ye kaisi chaahat hui
ki wo hamaaraa dil kaanch ki tarha tod gaye

humne to ye soch ke kahaa tha
ki hum usme apne chehre ke
kai pratibimb dekh sakte hain
aur unhone soch liya ki
kuch alag lagaaw hai humein kaanch se
aur wo is dil ko tukdo me tod gaye

galti ye hamaari thi ki adhuraa kahaa
jo tha mere dil me wo kabhi na pooraa kahaa
aur wo meri khaamoshi ko jaane kya samjhe
ki wo humesha ke liye mujhe khaamosh kar gaye
mere kaanch ke dil me wo dher saaraa dard bhar gaye

hum to ye samjhe the ki mohabbat aasaan hai
jisme log bin kahe hi samajh lete hain
par kya maloom tha ki wo samajh kuch aur hogi
jo samjhenge wo, wo samajh hamaare khilaaf hogi
dekho na, kaise mujhse pyaar karke wo mujhe hi tod gaye
nibhaake saath kuch pal ka firse tanha chhod gaye

yun to aadat thi hume tanhaai ki unse pehle
par aadat meri badal ke wo jaane kahaan chale gaye
meri wafaa kaa sila apni bewafaai se wo de gaye
hum bhulaake khud ko unse mohabbat karne lage the
hum har roz kai kai baar unpe marne lage the
aur wo mujhse meri saanso ko cheen kar le gaye
dekho na, wo mujhe tanhaa chhod ke chale gaye

todke kaanch ki tarha mere dilko ko chale gaye
chhod ke mera saath sadaa ke liye wo chale gaye
wo chale gaye, wo chale gaye, wo chale gaye....

ab naa to kisi se pyaar karenge, na aetbaar karenge
par jeete rahenge jab tak, bas uusi ko yaad karenge...
 Mohabbat kya hai

dekha hai humne bhi rett ko samundar me milte huye,
bheed me humne dekha hai khud ko tanha chalte huye,
yun to mohabbat kya hai iska ehsaas nahi hai humein,
humne to bas dekha hai apno ko iski aag me jalte huye...
Mujhe tadpaayaa naa karo

in aankhon se tum motiyon ko yun zaayaa naa karo,
meri mohabbat ko is tarha tum aazmaayaa naa karo,
hum to hamesha yahi chaahte hain ki tum khush raho,
bahaake apne aansoo meri mohabbat ko tadpaayaa naa karo...

Saturday, June 23, 2012

Shaam aur sawere

chehraa bas tumhaaraa hi hai aankhon me shaam aur sawere,
kya karun, kya naa karun kuch samajh me aataa nahi mere,
sochta hoon kabhi kabhi ki sab kuch keh du tumse, magar
dekh lun tumhe to baaki kuch bhi samajh me aataa nahi mere...

Friday, June 22, 2012

Dil ki aisi kyun haalat hoti hai

hum milte nahi usse is dar se ki mohabbat naa ho jaaye,
par tanhaayi me yaad jo aati hai, wo uusi ki hoti hai,
nazar nahi milaate usse ki kho na jaayen un aankhon me,
par khwaab raat ko mere aankhon me bas uusi ki hoti hai,

wo sochti hai ki kya huwa wo rishta , kyun toot gayaa,
maanti hai humein bewafaa aur yaad me hamaari roti hai,
kabhi izhaar kiya nahi mohabbat ka usne humse, magar
seene se lagaake hamaari tasveer wo har raat soti hai,

maloom hai humein ki mohabbat thik nahi, dil dukhta hai,
par jaane kyun har baar usse milne ki chaahat hoti hai,
ajaaye wo hamaare saamne to hum hi nazar churaate hain,
koi bataa de mujhe ki dil ki aisi kyun haalat hoti hai?
Dil ki aisi kyun haalat hoti hai

hum milte nahi usse is dar se ki mohabbat naa ho jaaye,
par tanhaayi me yaad jo aati hai, wo uusi ki hoti hai,
nazar nahi milaate usse ki kho na jaayen un aankhon me,
par khwaab raat ko mere aankhon me bas uusi ki hoti hai,

wo sochti hai ki kya huwa wo rishta , kyun toot gayaa,
maanti hai humein bewafaa aur yaad me hamaari roti hai,
kabhi izhaar kiya nahi mohabbat ka usne humse, magar
seene se lagaake hamaari tasveer wo har raat soti hai,

maloom hai humein ki mohabbat thik nahi, dil dukhta hai,
par jaane kyun har baar usse milne ki chaahat hoti hai,
ajaaye wo hamaare saamne to hum hi nazar churaate hain,
koi bataa de mujhe ki dil ki aisi kyun haalat hoti hai?
Dard ka baazaar diyaa

khushi ke talaash me humne apni zindagi ko guzaar diyaa,
maanga uparwaale se kuch to usne humein ghum hazaar diyaa,
kehte rahe log ki uparwaalaa sabki sunta hai baari baari,
suna hamaaraa bhi par usne humein dard ka baazaar diyaa...
Achcha insaan nahi miltaa

milne ko to yahaan bhagwaan bhi mil jaata hai,
nahi milta to bas ek achcha insaan nahi milta,
kaun hai yahaan jo sachcha pyaar karta hai aajkal,
dhundne se to yahaan achcha dost tak nahi milta...
Tum aate ho

barsaat ki har ek boond ke saath tum aate ho,
bheegi barsaaton me mere saath bheeg jaate ho,
band aankhon se tumhaara sparsh mehsoos karta hoon,
khol loon main aankhen to tum gaayab se ho jaate ho....

Thursday, June 21, 2012

Tumhe paagal main kar jaaungaa

paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa

sheetal kisi jharne se main paani bhar ke laaungaa
uski har boond se main tumko thandak pahuchaaungaa
main laal nahi gulaabi kuch gulaab chunke laaungaa
unke ras se tumhaare shabnami hothon ko sajaaungaa

rajnigandhaa phool se main tumhaaraa gajra banaaungaa
us mehekte gajre se main tumhaari zulfon ko sajaaungaa
laake phool vann se tumhaari paayal koi main banaaungaa
un phoolon ke paayal se main tumhaare paaon ko sajaaungaa

paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa

kaale ghane baadal ko main aasmaan se le ke aaunga
uske kaale rang se main tumhaare kaajal banaaungaa
aankhon me ho prem ki dhaaraa aisa rass barsaaungaa
chhoo ke tumhaare hothon ko amrit main kar jaaungaa

tut_ke tum bikhar jaao itna pyaar main kar jaaungaa
bhar ke tumko baahon me main deewaanaa kar jaaungaa
nashili tumhaari adaaon ko aur nasheelaa banaaungaa
pyaar ke jaadu se tumko main madhosh sa kar jaaungaa

paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa

milke mujhse bichhar naa paao aisa rog lagaaungaa
seene ki dhadkan to tumhaare aur tez kar jaaungaa
aaogi is baar jo jaanaa tumhe na main jaane dungaa
seene se lagaake tumhe main dil ki pyaas bujhaungaa

gaati raho tum har lamha koi aisi ghazal sunaaungaa
bhool naa paao meri mohabbat aisa asar kar jaaungaa
meri jaanaa, meri soni, tumhe kai naamo se bulaaungaa
paagal, majnu, deewaanaa, main jaane kyaa ban jaaungaa

paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa

Wednesday, June 20, 2012

Main aaungaa

main aaungaa to tum meri baahon me tut ke bikhar jaanaa,
doob ke meri mohabbat me tum aur zyaadaa nikhar jaanaa,
bas kuch din ki baat hai main aake tumhe apna bana lunga,
paake mujhe tum apne dil ki hasratein poori kar jaanaa...
Pyaar ki nishaani milegi

mere likhe khaton me tumhe mere mohabbat ki khushboo milegi,
gaur se dekhna un panno me tumhe mere dil ki kahaani milegi,
har khat ka ek ek shabd cheekh ke kehta hai mujhe mohabbat hai,
mensoos karke dekhna tumhe har jagah mere pyaar ki nishaani milegi...

Tuesday, June 19, 2012

Wo rishte hum tod aaye

jis haath ki ungli pakad ke humne chalna seekhaa,
jis haath ko thaam ke kabhi humne padhna seekhaa,
aaj jab us haath ko hamaare haath ki jarurat hui,
humne us haath se haath chhudaake nikalna seekhaa,

aajkal ghar ghar ki yahi kahaani hai... maa baap bachchon ko padha likhaa ke apne paaon pe khade hone laayak banaate hain aur khud se duur achche colleges me admission karwaate hain... unhe wahi job mil jaataa hai... aur wo bachche wahi settle ho jaate hain...!!!


wo dono jo khud bhuke reh ke humein khilaayaa karte the,
wo dono jo humein apni godi me le ke sulaayaa karte the,
aaj jab unhe hamaari jarurat hai, jarurat hai sahaare ki,
hum daud me apni zindagi ke, unhe bahut pichhe chhod aaye,

wo is ummeed me din kaat rahe hain ki kabhi to hum milenge,
wo is ummeed me hain ki unka haath thaam ke fir hum chalenge,
kya pata unhe ki hum talaash me chand sikko ke unhe chhod aaye,
wo rishta to atoot hai unse hamaara, hum us rishte ho tod aaye,

kya isi din ke liye maa baap janam dete hain bachchon ko,
kya isi din ke liye insaan banaate hain apne bachchon ko,
ki jab budhaape me unhe jarurat ho apne bachchon ki tab,
wo bachche unhe bhulaake unse bahut duur chale jaayen.....
Sooni har ek raat mili hai

tere jaane ke baad tanha mujhe meri har ek raat mili hai,
aankhon se mere behte aansuon ki bhaari barsaat mili hai,
seene se lagaake takiye to tujhe dhundta rehta hoon main,
mujhe siwaaye tanhaayi ke naa kabhi koi saugaat mili hai...
Tere jaane ke baad

yun to hum kabhi kalam chalaa nahi paaye tere jaane ke baad,
hasna chahaa, muskaan labon pe aayi nahi tere jaane ke baad,
yun to hum likhte rahe kai geet naam pe dard ke apne magar,
wo baat aayi nahi lekhni me mere kabhi tere chale jaane ke baad....
Daag reh jaate hain

tuta huwa aaeenaa jud jaataa hai magar daag reh jaate hain,
kuch ghum aise hote hain jo aansuon ke saath beh jaate hain,
tut jaataa hai agar dil kisi ka to judna mushkil hai uska,
jud to jaataa hai magar us dard ke nishaan reh jaate hain...
Aap aayaa karen

aap bas yunhi hamaare mehfil me aayaa karen,
geet apne andaaz me humein sunaayaa karen,
hum to is intezaar me rehte hain ki aap aaye,
aake aap humein apne nagme sunaayaa karen...
Sach ko nahi hai jaanaa

hum samajhte hain ki kaun mujhpe kitna hai deewaanaa,
tabhi to humne use waqt ke saath khoob hai pehchaanaa,
kasak to dil me hamaare bhi uth_ti hai baar baar magar,
'Hriday' hamaaraa jisne ab tak sach ko nahi hai jaanaa...

Jo mujhe apna bataaya karti thi

us ped pe lage jhoole pe wo  jhoola karti thi,
jo kabhi mujhse bahut zyaadaa pyaar karti thi,
wo ped bhi wahin hai, wo jhoola bhi wahin hai,
wo nahi hai jo mujhpe jaan lutaayaa karti thi,

wo jo kabhi mujhe apni jaan bataayaa karti thi,
jo mujhe apni baahon me leke sulaayaa karti thi,
aaj uski jaan to hai, meri neenden bhi hai par,
wo nahi hai jo mujhe apna bataayaa karti thi....
Aaj bhi hai

wo nahi paas mere par uske payalon ki awaaz aaj bhi hai,
uske zulfon ki wo khushboo meri baahon me aaj bhi hai,
toot jaate hain rishte magar unki yaadein reh jaati hain,
jo bhula chuke hain humein unki yaad is dil me aaj bhi hai...
Uska yun aanaa huwa

mere jeewan me us hasi pari ka kuch is tarha aanaa huwa,
thehre huye paani me jaise ek boond ka pad jaanaa huwa,
tha main apne zindagi ke dhun me gaa raha koi geet magar,
uske aajaane se mere jeewan me kuch hulchul ho jaanaa huwa...
Khushiyon ka kaarwaan hoga

bich majdhaar me haaroge himmat to kaisa hoga,
aaj ghum hai to jaldi ki khushi ka samaa hoga,

saahil nahi aas paas to isse ghum nahi karte,
chalaate raho naao kahin koi dweep banaa hoga,

tofaan aa jaaye samundar me to dar kiska hai,
hoga to bas wahi jo apni kismat me honaa hoga,

kya huwa jo aaj ghamon ke baadal hain har taraf,
dekhna bahut jald hi khushion ka kaarwaan hoga...
Kyun aetbaar karte hain

husn ko dekh hawas ki chaah se log pyaar karte hain,
jaane kyun log aajkal aise logo pe aetbaar karte hain,
kuch palon ka saath nibhaake haath chhood dete hain,
jaane kyun log aajkal aise logon pe aetbaar karte hain,

masoom se chehre ke pichhe kaisi haiwaaniyat chhipi hogi,
kisi ki muskaan ke pichhe jaane kaisi shaitaani chhipi hogi,
kare to kaise kare aetbaar hum kisi insaan pe aajkal,
jaane kis insaan me kaunse pashu ki aadatein chhipi hongi,

sach hai paane ko jism aajkal log pyaar karte hain,
jaane kyun log aajkal aise logo pe aetbaar karte hain...
Faasle ghataataa hoon

ye na samjho ki main do kadam badhaake pichhe hat jaataa hoon,
main tumse milne ke liye roz kuch faasle hi to ghataataa hoon,
tum kitni duur jaa baithi ho mujhse kya iska ehsaas hai tumhe,
main zameen pe rehke jaise jannat ki odh apne kadam badhaataa hoon...
Bahut pyaar karunga

main tumse ek baar nahi hazaar baar karunga,
apni jaan se badhke main tumse pyaar karunga,
chaahe tumhe yakeen ho mujhpe ya chaahe na ho,
jaanaa, main tumse mohabbat beshumaar karunga...

Monday, June 18, 2012

Khud ko tanha bataate ho

bhoolaa ke mujhe tum mujhpe geet kyun sunaate ho,
todke rishta mujhse ab ye apnapan kyun jataate ho,
chaahaa tha tumse sabse badh ke ye maloom tha tumhe,
tod ke mera dil ab tum ye aansoo kyun bahaate ho,

ye kaisi uljhan hai tumhaari ki kuch uljhan me main bhi hoon,
bhulaanaa hi hai mujhe to tumhaari geeton me kyun rahun,
bhulaa do mujhe, meri baton ko, meri har ek yaad ko tum,
toda hai jisne mera dil main use ab apna bhalaa kaise kahun,

mujhse ishq nahi hai tum har kisi se ye jhoot bataate ho,
kar ke bewafaai mujhse tum mujhe hi bewafaa bulaate ho,
raho kuch pal tanha to pata chale tanhaayi kya hoti hai,
kuch pal hi huye hain mujhse judaa ho ke aur khud ko tanha bataate ho....
Bas koshish banke reh jaati hai

khwaabon me dekh tumhe tumse milne ki chaahat jaag jaati hai,
tumhaari chhavi aake mere khwaabon me har raat gudgudaati hai,
har subah tumse milne ke liye ek nayi koshish karta hoon main,
par jaane kyun wo koshish bas ek koshish hi banke reh jaati hai...
Yakeen nahi hota

koi kyun karta hai itni mohabbat humse ki jaan tak de de,
kabhi khud pe to kabhi unki mohabbat pe yakeen nahi hota,

jiski kismat me abhi tak khushiyon ka koi naam nahi tha,
wo muskuraaye to humein uski muskaan pe yakeen nahi hota,

yun to safar me zindagi ke kai log mile kai log bichhade,
milke koi saathi na judaa ho to milan pe yakeen nahi hota,

koi ponchh le agar aansoo, na rone de, na marne de humein,
uski di hui khushi pe jaane kyun dil ko yakeen nahi hota,

saayaa saath rahe, chalta rahe jahaan jahaan hum chalen,
kabhi kabhi humein khud ko apne saaye pe yakeen nahi hota,

ye pehli baar nahi hai ki kisi ko mohabbat hui hai humse,
tuta dil itni baar ki ab humein kisi pe yakeen nahi hota,

phoolon ki sej pe chalke bhi kaante chubhe hain paaon me,
shayad yahee wajah hai ki kisi phool pe yakeen nahi hota,

wo saath nibhaa paayenge, kyaa wo humsafar ban paayenge,
kabhi kabhi humein unke kiye vaadon pe yakeen nahi hota,

koi kaise kar sakta hai itni mohabbat ki khud ko bhula de,
kabhi khud pe to kabhi unki mohabbat pe yakeen nahi hota...
Tum zaraa dekh lo

maine baahon ko failaake tumhe bulaayaa hai tum zaraa dekh lo,
pyaar bhare ghazlon mein tumhe bulaayaa hai tum zaraa dekh lo,
aankhen khol ke dekhoge to shaayad mujhe dekh na sakoge kabhi,
band karke apni aankhon ko, apne dil ki nazar se zaraa dekh lo...

Friday, June 15, 2012

Ab ke saawan

chalo vaadaa kar lete hain ki milenge hum ab ke saawan,
bheeg jaayenge, gaayenge, jhoomenge hum ab ke saawan,
bhigo ke ek dusre ko mohabbat ki barsaat me oh jaanaa,
milenge, ho jaayenge mil ke do se ek hum ab ke saawan...
Kabhi to aap muskuraaye honge

raah-e-zindagi me aapke kai hamsafar aaye honge,
kisi na kisi se aap bhi dil apnaa lagaaye honge,
chaahe abhi tanha hon bewafaai ka ilzaam lagaake,
magar kabhi to unke hone se aap muskuraaye honge,

yaad karke unhe kai baar aap aansoo bahaaye honge,
aur wo kai kai baar aapke khwaabon me aaye honge,
kya huwa jo rishta aaj toot gaya, par unki baatein
kabhi to yaad banke aapko akele me gudgudaaye honge,

likhe huye unke khat kabhi to aapko yaad aaye honge,
unki kisi tasveer ko dekh kabhi to aap sharmaaye honge,
kis andaaz me aapko chheda karte the kuch waqt pehle,
wo sharaaratein kabhi to aapko bahut yaad aaye honge,

aaj rulaa rahe hain, par kabhi to wo aapko hasaaye honge,
aaj nahi, par kabhi to aapko apne dil me wo basaaye honge,
aaj unka saath nahi hai to aap khud ko haaraa samajhte ho,
kabhi to unke saath har jung jeetne ke kasam khaaye honge,

kya aisa hai ki aapke aansuon se wo aapko samajh paaye honge,
kya unki khushhaal zindagi me kabhi aap unko yaad aaye honge,
kya faida aise kisi ke liye aansu bahaane ka jo aapka nahi,
muskuraao, jaise unse milne se pehle kabhi aap muskuraaye honge...
Meri khataa kya hai

pyaar tujh se ho gayaa isme meri bhalaa khataa kya hai,
teri chaahat koi aur hai isme galti meri bataa kya hai....
Pyaar nahi karna

kehta raha duniyaa se mujhe pyaar nahi karna,
tum the isliye ho gaya, ho paataa nahi varna...

Ye jahaan mera hota

khule aasmaan me udte panchhi ko dekh ye khayaal aayaa,
kaash mere pankh lage hote to saaraa aasmaan mera hota,
chaahaa tha kisi chanchal hasee ko khud se badh ke maine,
wo aaj mere baahon me hoti to ye saaraa jahaan mera hota...
Tum yaad aati ho

saagar ki har ek lahar ke saath mujhe tum yaad aati ho,
mere saanson ki har ek jwaar ke saath tum yaad aati ho,
yun to kehne ko keh leta hoon ki mujhe tum yaad nahi,
par mujhe meri har dhadkan ke saath tum yaad aati ho...
Main qaboo me kaise rahun

kuch aisa asar huwa hai sunke tumhaari awaaz ki main tumse kaise kahun,
ab to aadat si pad chuki hai tumhaari, main ab judaa tumse kaise rahun,
milte hi pehli baar internet pe kuch yun asar huwa hai humpe oh jaanaa,
paake tumhaari mohabbat tum hi kaho ab main apne qaabu mein kaise rahun...
Kabhi to aaoge tum

sajaa rakhaa hai is ummeed se apna ghar ki kabhi to aaaoge tum,
seene se lag ke mere apni khushboo se mera ghar mehekaaoge tum,
bahut akela hoon main tumse judaa ho ke, ab tum aa bhi jaao na,
duur duur reh ke mujhse kab tak mere dil ko yun tadpaaoge tum...
Dil me koi aas nahi

zindagi me mere ab tumhaare siwa koi khaas nahi,
afsos bas itna hi hai ki aaj tum mere paas nahi,
miloge tum mujhe ek roz iska yakeen hai mujhe,
tumhaari mohabbat ke siwa dil me koi aas nahi...
Mujhe yaad kar lenaa

jab bheed me is duniya ke khud ko tanha paao, mujhe yaad kar lenaa,
jab kabhi ghum ke andhero me kahin kho jaao, mujhe yaad kar lenaa,
safar me zindagi ke saayaa bhi saath chhod de to mujhe saath paaoge,
kabhi jab kuch bhi achcha achcha saa naa lage, mujhe yaad kar lenaa...

Aaj bhi

kisi ke chudiyon ki chhanak sunaai deti hai aaj bhi,
kisi ke paayalon ki khanak sunaai deti hai aaj bhi,
tasveer jo jalaa diya tha humne kabhi apne haath se,
usme chhipi wo surat dikhaai deti hai humein aaj bhi,

meri saanson se uske saanson ki mehek aati hai aaj bhi,
karke use yaad meri dhadkano me tezi aati hai aaj bhi,
yun to kehne ko kehta hoon maine bhulaa diya hai uuse,
par sach to ye hai ki mujhe uski yaad aati hai aaj bhi,

tute huye apne dil ke tukdo ko main jodta hoon aaj bhi,
fir uski yaad me apne dil ko khud hi todta hoon aaj bhi,
laakh samjhayaa logo ne mujhe ki duur rehna mohabbat se,
par main khud ko us raah pe jaane kyun modta hoon aaj bhi...
Mujhse duur na jaanaa tum

aaye ho is baar paas to na duur jaanaa tum,
jaake mujhse duur mujhe na yun sataanaa tum,

waadaa karta hoon koi bahaanaa naa banaaunga,
judaa hoke mujhse kabhi mujhe na rulaanaa tum,

na ladunga, na jhagdunga, na sataaunga tumhe,
aaye ho paas to saath mere ab reh jaanaa tum,

reh chuka bahut tanha akele, ab na reh paaunga,
is paagal ka ab zindagi bhar saath nibhaanaa tum...

Thursday, June 14, 2012

Aake tere zulfon me kho jaaun

aajaaun, main aake tere zulfon ke kaale baadal me kahin kho jaaun,
seene se lagaa lu tujhe main, godi me tere sar rakh ke so jaaun,
nashaa mohabbat ka kuch is tarha ho ki aaj sar chad ke bole,
main aake aaj tere gulaabi hothon ko apne hothon se bhigo jaaaun...
Tumhaare hone se

tumhaare hone se jaise ye saaraa sansaar mera ho gayaa ho,
jaise mere aankhon me basaa koi khwaab pooraa ho gayaa ho,
tanha safar me jeewan ke ek saathi na thaa mera abhi tak,
tumhe paake jaise duniyaa ka har rishtaa mera ho gayaa ho...

Wednesday, June 13, 2012

Kyun khuda samajhte ho tum

zameen ka koi tukda hoon main, khulaa aasmaan ho tum,
jaane kyun mujh gareeb ko apna khuda samajhte ho tum,
thodi si khushi milti hai to de deta hoon tumhe main,
ghum ke samundar ko apna jahaan kyun samajhte ho tum...
Tumhaare zulfon se khelunga

godi me sulaake tumhe apne tumhaare zulfon se main khelunga,
hothon ki laali se tumhaare, aankhon ke kaajal se khelunga,
chedunga tumhe, sataaunga tumhe, tumko paagal main kar dunga,
rok na sakaa khud ko agar to tumhaare hothon ko main chhoo lunga...
Tum kaise ja paoge

haathon ki lakeeren mit jaayengi par meri kismat se duur naa jaa paaoge,
kismat me tumhaaraa naam naa ho, tab bhi tum sirf mere banke reh jaaoge,
tumhaare binaa meri har ghazal adhuri hai, meri zindagi bhi adhuri hai,
tum hi kaho, apne is chaahne waale ko chhod ke bhalaa kaise jaa paaoge...
Kyun naa main mar jaaun

haan main tumhe chaahti hoon, par tumhe yaki kaise dilaaun,
jinhone janm diya hai mujhe, unhe main chhod ke kaise aaun,

jhoot nahi mere is baat me ki main chaahungi tumhe ta_umra,
mere is chaahat me jo sachchaai hai, tumhe kaise samjhaaun,

thamaa thaa haath is ummeed se ki main saath nibhaa paaungi,
chhod ke saath maa paapaa ka tumhaaraa saath kaise nibhaaun,

jo lamhe tumhaare saath guzaare the unhe bhulaa naa paaungi,
wo rishte jo bachpan se saath hain unhe main kaise bhulaaun,

tumhaaraa saath paanaa hai, par unka saath na chhod paaungi,
tod dun dilon ko berehmi se main aise andaaz kahaan se laaun,

naa hi main tum bin jee sakti hoon, na main tum bin mar paaun,
kaho naa, laachaar aise haalat me main aansoo kyun na bahaaun,

maa paapaa ke saath rahun main yaa saath tumhaare main aajaaun,
main jee to lu par koi khushi na hogi, kyun na main mar jaaaun...
Main tumhe hasaa dungaa

tumhaare raahon pe main phoolon ki sej bichha dunga,
kaaton ko chunke tumhaare daaman se main rakh lunga,
khushiyon se sajaa dunga tumhaari zindagi meri jaanaa,
aansuo pochh ke tumhaare har lamha tumhe hasaa dunga...

Tuesday, June 12, 2012

Main tumhe paagal kar dunga

main seene se lagaake tumhe, in baahon ko tumhaaraa aanchal kar dunga,
chhooke tumhaare shabnami hothon ko us pal tumhe main paagal kar dunga,
saanson se baandhke tumhaari saanson ko main aisa koi jaadu kar dunga,
dekhte reh jaaoge tum sanam, apni mohabbat se tumhe ghaayal kar dunga...
Chaahta hoon tumhe apna banaanaa

dil mera paththar ka nahi kaanch ka hai meri jaanaa,
shayad tumne mere is dil ko thik se nahi pehchaanaa,

dekh ke jiski tasveer mohabbat kar baithe tum sanam,
shayad us chehre to tumne ab tak thik se nahi jaanaa,

kuch asar hai tumhaari nashili aawaaz me kya bataaun,
sunne ko tumhaari aawaaz banaataa hoon rozz bahaanaa,

jabse dekha hai tumhaaraa chehra tasveer mein maine,
main ban gayaa hoon tumhaari surat ka koi deewaanaa,

milo kabhi mujhse to jee bhar ke pyaar karlu tumhe,
mushkil hoga tab tumhaaraa mujhse duur jaa paanaa,

tamanna hai mere dil mein bhi ki milun tumse ek baar,
aur milke chaahunga tumhe sadaa ke liye apna banaanaa,

yun to main kehta nahi kisi se ki pyaar tumse hai kitna,
poochhe koi to kahun, do jism ka ek jaan ho jaise ban jaanaa...
Kabhi waqt nahi lagta

samaa ko badal jaanne me kabhi waqt nahi lagta,
bahaaron ko laut aane me kabhi waqt nahi lagta,

aaj dilon me nafrat hai to kya, kal pyaar hoga,
dilon ko badal jaane me zyaadaa waqt nahi lagta,

chhipaate ho khud ko aaeene se, isse kyaa hoga,
haalaat ko badal jane me kabhi waqt nahi lagta,

aaj ghum ke baadal hain har taraf, andhera hai,
par sahar ke aane me zyaadaa waqt nahi lagta,

kisi ko dil me basaayaa tha tumne pyaar samajhke,
pyaar ko badal jaane me zyaadaa waqt nahi lagta,

dosh dete ho use ki usne tumhaare dil se khela,
insaan ko badal jaane me zyaadaa waqt nahi lagta,

bhulaa do uuse, aur jee lo ye zindagi khud ke liye,
sach kehta hoon waqt ko badal jaane me waqt nahi lagta...
Aur kisi ki jarurat kya hai

chaahaa hai tumhe maine, ab imtihaan ki jarurat kya hai,
paake tumhe paayaa sab kuch kisi aur ki jarurat kya hai,
chaahunga tumhe main har kisi se badhke meri jaanaa, agar
tum chaaho mujhe kisi aur chaahne waale ki jarurat kya hai...
Ye dil tumhaaraa ho gayaa hai

bin miley hi tumse jaane ye kaisa rishta hamaaraa ho gayaa hai,
tumhaari tasveer ko dekh hamaaraa ye dil tumhaaraa ho gayaa hai,
kuch aisa asar hai tumhaari aankhon ka jaanaa kya bataaun tumhe,
dekh tumhaari aankhon ko ye dil deewaanaa tumhaaraa ho gayaa hai...
Zindagi haseen kahaani ho gayi

tum kya jaano tumhaare aane se meri zindagi kya se kya ho gayi,
tum kya jaano tumhaare aane se meri khushiyaan jawaan ho gayi,
ab tak bas kaanto ke sej pe bichhi thi ye zindagaani meri, par
tumhaare aane se meri ye zindagi jaise koi hasi kahaani ho gayi...
Pasand naa aayaa koi

dekhe hazaar chehre tumhe dekhne ke baad par pasand naa aayaa koi,
dosti bahauton se ki hai magar hamaare is dil me naa samaayaa koi,
jaane kya asar tha tumhaare chehre me, jaane kya kashish thi usme,
dekhne ke baad tumhaaraa wo chehraa mere kareeb naa aa paayaa koi...

Monday, June 11, 2012

Wo laut aayenge

ye kuch lamhe judaai ke intezaar me yunhi kat jaayenge,
wo subah bahut jald hogi jab tere mehboob laut aayenge,

rokne ki koshish na kar unhe tu aaj apne aansoo bahaake,
tere keemti aansoo beh jaane se bhi wo naa ruk paayenge,

jaanaa hai unhe pardes, baat bas kuch hi dino ki to hai,
jaise hi pooraa hoga unkaa kaam, wo waapas laut aayenge,

dard to unhe bhi hoga, bahut yaad aayegi tu unhe harpal,
par tere yaadon ke chalte wo apna kaam na chhod paayenge,

mahine din me aur din ghanto me badal jaayenge bahut jald,
dekhte hi dekhte tere mehboob teri baahon me laut aayenge,

ye kuch lamhe judaai ke intezaar me yunhi kat jaayenge,
wo subah bahut jald hogi jab tere mehboob laut aayenge...
Taqdeerwaalaa

main kaun hota hoon bhalaa tumhe kuch banaane waalaa,
har kisi ko banaane waalaa hai bas ek wo uparwaalaa,
kismat to meri kuch achchi thi jo mujhe tum mil gaye,
paake tumko samajhta hoon main khud ko taqdeerwaalaa...
Jahaan ko jannat banaa paaoge

duniyaa me ghamon ko badhaa ke bhalaa tum kya paaoge,
khushiyaan baantke jahaan me tum bhi bas muskuraaoge,
bhulaake apne har dard ko gale se lagaa lo tum sabko,
aise shuruwaat se hi tum jahaan ho jannat banaa paaoge...
Tum aaoge

tum aaoge ye sun ke hum raahon pe aankhen bichaayen baithe hain,
tumhe seene se lagaane ke liye apni baahen failaaye baithe hain....
Ghazal ban jaayenge ab

saare ehsaas jud jaayenge, aur ghazal ban jaayenge ab,
na hoga ghum kahin, suhaane saare pal ban jaayenge ab...
Gaa nahi paate the

mehfilen sajaate the hum tumse judaa ho ke par gaa nahi paate the,
tadapte the tumse duur reh ke par haal-e-dil sunaa nahi paate the...
Mohabbat humse karte ho

maloom hai humein bhi ye baat ki tum hamaare sharaaraton pe marte ho,
rehte ho dur dur humse har pal, magar mohabbat bus humi se karte ho...

Saturday, June 9, 2012

Tumhaari har baat me nazar aaunga

kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har baat me nazar aaunga,
kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har raat me nazar aaunga,

bheegi baarishon ki bheegi kisi boond ko chhoo loon agar,
bin tumhe dekhe hi tumhaari chaahat me main bheeg jaaunga,
aataa hoon main tumhaare khwaabon me har haseen raat magar,
yakeen hai kabhi naa aa sakun to tumhe raat bhar jagaa jaaunga,

roshan karne ke liye tumhaari har raat ko jugnu hi bahut hai,
koi chiraag banke tumhaare aangan me aake roshni kar jaaunga,
mehkaane ke liye tumhaare aashiyaane ko ek gulaab bahut hai magar,
main kabhi mohabbat banke tumhaare tan badan ko mehka jaaunga,

kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har baat me nazar aaunga,
kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har raat me nazar aaunga,

sawaarne apni zulfen kabhi tum baitho aaeene ke saamne agar,
main tumhaaraa hi aks banke us aaeene me tumhe nazar aaunga,
chhoonaa chaaho agar kisi chhote bachche ko tum pyaar banke,
main uusi ka roop leke tumhaare gulaabi hothon ko chhuu jaaunga,

tum khuli aankhon se kabhi chaaho agar koi khwaab dekhna,
tumhaari aankhon me khwaab ka roop leke unme bas jaaunga,
raat neendon me agar mesoos karna chaahon pyaar tum,
apne baahon me tumhe leke main tumse pyaar kar jaaunga,

kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har baat me nazar aaunga,
kabhi dekhna gaur se main tumhe tumhaari har raat me nazar aaunga...

Friday, June 8, 2012

Saath jee lenge

miloge is baar to jaanaa baahon me tumhe bhar lenge,
seene se lagaake apne tumhe thoda saa pyaar kar lenge,
na rahegi koi shikaayat fir tumhe mujhse bewafaai ki,
un lamhon me hum saath thodaa jee lenge, thoda mar lenge...
Mohabbat karke main mar gayaa

mere apno ne mujhe samjhaayaa khoob ki pyaar na karna, par main kar gayaa,
kisi qaatil ki qaatilanaa adaaon ko dekhke uspe jaane kyun main mar gayaa,

safar kathin hai chaahat ka jaan kar bhi us raah se hoke main guzar gayaa,
talaash me zindagi ke khushiyon ki qatl apne hi armaano ka main kar gayaa,

nasheeli aankhen, shabnami honth, reshmi zulfen, inhe dekh main mar gayaa,
jaane kyun kisi bewafa ke husn ko dekh usse wafaa ki umeed main kar gayaa,

dekha ek nazar jise, wo pehli nazar me hi jaane kyun is dil me utar gayaa,
mehboob kahaa tha maine jise kabhi, wo khud ko mera maanne se mukar gayaa,

ab kehta hoon sabse, mohabbat buri balaa hai, naa karna jo main kar gayaa,
banaanaa tha aashiyaanaa chaahat ka, par tutke tinko me main bikhar gayaa,

chaah ke kisi ko sheese jaise dil pe chot kisi paththar se main kar gayaa,
paanaa chahta tha zindagi, par karke mohabbat khud ba khud main mar gayaa...

Thursday, June 7, 2012

Mujhe aisaa inaam naa do

yun meri mohabbat ko tum berukhi ka naam naa do,
chhuda lun tumse daaman aisa mujhe inaam naa do,
judaa tumse ho ke meri koi pehchaan hi nahi hai,
mujhe tumse pyaar nahi aisa mujhpe ilzaam naa do...

Wednesday, June 6, 2012

Tum mujhe paagal kar jaate ho

main deewaanaa hoon, kyun meri deewaangi ko aazmaate ho,
nasheelee adaaon se kyun meri dhadkano ko badhaate ho,
chhu jaate ho mujhe aake mere khwaabon me kuch is tarha,
tadap uth_ta hoon main, aur tum dekh mujhe muskuraate ho,

jangal me kisi mor ki tarha, tum naachti ho, kabhi gaati ho,
chaahun tumhe chhuna agar main, tum chhui mui si ban jaati ho,
pyaasaa hoon tumhaare pyaar ka main, chain mujhe ek pal nahi,
dikhaake jheel si aankhen apni meri pyaas ko badhaa jaati ho,

geelee si baarishon me jab kabhi bheeg jaataa hoon main,
sharaabi hothon se tum mujhe chhu ke paagal kar jaate ho,
aag si lag jaatee hai paani me tab, jal jaata hoon main,
aur tum jalte huye mere tan badan ko aur jalaa jaate ho,

tum raho aankhon ke saamne to geet koi adhuri rehti nahi,
jazbaat behte rehte hain aur tum khud ghazal ban jaate ho,
log kehte hai ki mohabbat me sirf dard hi mil paataa hai,
sach to ye hai ki tum mere har dard ki dawaa ban jaate ho...
Ek baar aa jaao naa

ek baar meri baahon me aa jaao naa
aake mujhse pyaar kar jaao naa

kyun tadpaati ho tum mujhe itna
aake mere seene se lag jaao naa
apne kanpkapaate hothon se ek baar
aake mere hothon ko chhoo jaao naa

aakhen bichaaye baitha hoon raahon pe
un raahon se tum ek baar aa jaao naa
yun reh ke duur duur mujhse har ghadi
meri bekaraari ko tum yun badhaao naa

kab se pyaasaa hoon tumhaare deedaar ka
aake mujhe tum apni ek jhalak dikhaao naa
chhoo loon tumhaare zulfon ko haathon se
lehraake apni ghani zulfen tum aa jaao naa

dhadkane bhi ab to kuch dheemee si hain
aake meri dhadkano ko tez kar jaao naa
bhar loon tumhaara chehra apne haathon me
tum ek baar jaanaa nazar aa jaao naa

vaadaa hai main khushiyaan hazaar laa dunga
ek baar meri baaton pe aetbar kar jaao naa
kyun sataati ho tum apne is deewaane ko
aake ek baar mujhse thoda pyaar kar jaao naa....
Main dhang se dekhlun tumhe

main yeh nahi kehta ki baithi raho mere saath ghanto tak
aao to thehro bas utni der ki main dekhlun dhang se tumhe
main mehsoos karlun narmi tumhaare gaalon ki choo ke unhe
aur mehsoos karlun garmi saanson ki seene se lagaake tumhe

yun to man nahi bharta kuch lamhon ki mulaaqaat se jaanaa
par kuch palon ke saath se samajh lunga ki paa liya tumhe
aanaa, baith jaanaa mere paas, mann kare to baat kar lena
par theher jaanaa bas utni der ki main mehsoos karlun tumhe....
Zarurat kya hai

dooba hoon uski aankhon me mujhe saagar ki zarurat kya hai,
pee loon main uske hothon se mujhe jaam ki zarurat kya hai...
Tumhaare dard ka ehsaas rehta hai

jaate hain hum pardes par dil hamaaraa tumhaare paas rehta hai
milte hain kai chehron se par chehra tumhaaraa khaas rehta hai
kabhi nahi chaahenge ki tum aansoo bahaao hamaari judaai mein
chaahte hain tumhe bepanaah, tumhaare dard ka ehsaas rehta hai...
Kya pyaar kar paate tum

pehle jaan jaate use to kya usse pyaar kar paate tum,
jaan tumhaari hi legaa jaanke kya uspe mar paate tum,
dil hi naadaan tha jo kisi bewafaa se dil lagaa baitha,
agar hoti samajh to kya uspe kabhi aetbaar kar paate tum...
Der nahi hoti

har kisi ke kismat me deepaawali jaldi nahi hoti,
kehhe hain uske ghar me der hai andher nahi hoti,
maanaa ghum ke baadal se aasmaan dhakaa hai saara,
khushiyaan aayengi, aane me zyaadaa der nahi hoti....

Tuesday, June 5, 2012

Maine shaam ko dhalte dekha

har haseen shaam ko maine tanha rehke dhalte dekha,
na aaye tum kabhi, maine bas waqt ko nikalte dekha,

kuch chiraag jalaaye the is ummeed me ki tum aaoge,
ummeed ke chiraagon ko maine har ghadi jalte dekha,

thaamaa tha kabhi mera haath, kuch kasme khaayi thi,
kasme toot gayi aur maine us haath ko fisalte dekha,

kehte ho ki maine chhoo ke tumhe kohinoor kar diyaa,
maine waqt ke saath heere ko mitti me badalte dekha,

mohabbat jaisa hasi inaam paake log bhul jaate hain,
todke dil chaahat me kai logon ko main chalte dekha,

kai baar farebi aansuon ko aankhon se nikalte dekha,
chot khaake sakht paththaron ko maine pighalte dekha,

jab saath tha main tumhaare tumne meri qadar nahi ki,
maine har roz tumhaari mohabbat ko bas badalte dekha,

har haseen shaam ko maine tanha rehke dhalte dekha,
na aaye tum kabhi, maine bas waqt ko nikalte dekha....
Agar tum mere saath hote

agar tum mere saath hote
zindagi ki kuch aur baat hoti
roz tumse koi nai mulaaquaat hoti
aur tumse ghanto meri baat hoti
seene se lagaake tumhe main
aankhon me basaa leta tab
hothon se chhoo leta
baahon me bhar leta tab
agar tum mere saath hote
meri kahaani kuch aur hoti
ye jawaani kuch aur hoti
baagon me bahaaren hoti
agar tum mere saath hote....
Chaand aur aap

dekh is poonam ke chaand ko hum aapse baat karte hain,
aapka chehra chaand me dekh aapse mulaaqaat karte hain,

mil nahi paate aapse zyaadaa iska ehsaas hai humein,
isiliye chaand ko dekh guzar apni har raat karte hain,

baith apne aangan me dekh rahe ho aap bhi us chaand ko,
aapki tarha dekh us chaand ko hum aapko yaad karte hain,

kisi raat agar baadalon se dhakaa ho aasmaan wo saaraa,
dikhaa de aapka chehra bas yahi hum fariyaad karte hain,

har raat chaaand ko dekh dekh hum aapse baat karte hain,
aapka chehra chaand me dekh aapse mulaaqaat karte hain...
Khushiyaan duur nahi

har andheri raat ke baad subah hoti hai,
aane waalaa savera ab itna bhi duur nahi,

maangti raho madat us khuda se har pal,
tum ho thodi si par itni bhi majboor nahi,

koi khelta rahe maasoom dil se tumhaare,
tum mohabbat ke nashe me itni bhi choor nahi,

suna hai tut jaate hain dil aksar pyaar hai,
ye kahaaniyaan hain par itni bhi mash_hoor nahi,

ho sakta hai abhi mausam gham ka hai magar,
khushiyon ko jald aanaa hai wo bahut duur nahi...
Banta raha sahaaraa tumhaaraa

doobti kashti thi majdhaar me aur wo samajhtaa rahaa kinaaraa,
khud ko sambhaal saka nahi aur banta raha sahaaraa tumhaaraa,
armaano ke saath usne sajaayaa hoga kabhi ashiyaanaa apnaa,
achcha huwa jaldi tuta, der se tut_ta ho hota dard gehraa tumhaaraa....

Monday, June 4, 2012

Dil toot jaataa hai

ishq koi karne waali cheez nahi ye to apne aap ho jaataa hai,
bahut kam hota hai ki ye ehsaas dono taraf ek sa ho paataa hai,
ek taraf agar toofaan hota hai dil me to kahin koi asar tak nahi,
agar ho mohabbat ek tarfa to aksar ek dil toot ke bikhar jaataa hai...
Na badle hum hain, na badle tum ho

wo waqt hi kuch aisa tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho
hawaa ka ek jhaunka tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo pal jo kabhi hamaare the badal gaye
ehsaas jo kabhi tumhaare the badal gaye
badalne ko to ye zamaanaa badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri un baaton ko kya tum bhool paaye ho
haseen mulaaquaaton ko kya bhool paaye ho
kehte ho tum ki hum badal gaye,  par
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo chiraag chaahat ke aaj bhi jal rahe hain
yaadon ke wo kaafile aaj bhi chal rahe hain
ek lamha tha jo guzar gaya, wo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

jin baahon ke gheron me kabhi rehte the tum
jin nigaahon ke chaaon me kabhi rehte the tum
mudke dekhlo ek baar wo baahen, nigahen wahi hain
aajaao, na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri har dua me aaj bhi tum hi tum ho
meri dhadkano me ho, saanso me tum ho
badal gaya ho chaahe wo beetaa lamha
na badle hum hain, na hi badle tum ho...
Main aa jaaun

banke koi baadal mohabbat ka main aake tumpe baras jaaun,
banke koi phool gulaab ka main aake hothon ko chhoo jaaun,
ye maaloom hai ki taras rahi ho tum bhi meri tarha jaanaa,
ho aisa karishma, ki kholo rum darwaazaa aur main aajaaun...

Saturday, June 2, 2012

Baat hi kya

rajnigandha phool koi, na gajre me saje to baat hi kya,
taaron se saji ho raat koi, chaand na ho to baat hi kya,
dil me chhipi ho baat koi, zubaan pe na aaye to baat hi kya,
humdun na ho agar saath koi, koi saath bhi ho to saath ki kya...
Kab tak reh paaoge

tum apne pyaar se rooth ke kab tak reh paaoge,
dekh ke uski surat har baar tum pighal jaaoge,

aasaan hai keh dena ki mujhe tumse mohabbat nahi,
par dard me judaai ke tum tut ke bikhar jaaoge,

chaahe laakh dukh diye ho usne tumhe pyaar me,
par kya tum usko ek kharonch bhi lagaa paaoge,

jiski ek aawaaz se tadap uth_te the tum kabhi,
kya tum kabhi uske dil ko chot pahuchaa paaoge,

naraaz ho tum, ye maaloom hoga use bhi lekin,
yakeen hai usko hi tum bahut jald maan jaaoge,

chaahe na maane wo khud se ki galtiyaan uski thi,
tum mohabbat ke khaatir uske seene se lag jaaoge,

ek mulaaquaat zaroori hai fir se mohabbat ke liye,
mit jaayengi duuriyaan aur tum firse ek ho jaaoge...
Apno ko sataayaa nahi karte

apno pe is tarha ilzaam lagaayaa nahi karte,
agar karte hain mohabbat to rulaayaa nahi karte,
har shaqs khud ko khuda samajhne lagta hai,
par kabhi khud ko insaan banaayaa nahi karte....
Hamaari zindagi maanga karte hain

apni duwaaon me wo hamaaree khushi maangaa karte hain,
duur rehke humse wo hamaaraa pyaar maangaa karte hain,
paas jaataa hoon to wo kehte hain ki naa milo humse,
is andaaz me humse wo hamari zindagi maangaa karte hain....

Friday, June 1, 2012

Sawera ho jaayegaa

maut ko seene se lagaa loge to kya mil jaayega,
kya iss se tumhaare dil ka dard kam ho jaayega,
har raat ke baad subah hoti hai suna to hoga,
kuch waqt baad khushiyon ka sawera ho jaayega...
Main aa rahaa hoon

tum is tarha mujhe badnaam na karo, main aa rahaa hoon,
chhod ke apne saare kaam adhure aaj main aa rahaa hoon,
meri wafaaon ka tum ye sila na do ki main tut jaaun,
aazmaa lena mohabbat meri tum aaj main aa rahaa hoon....
Mera koi iraadaa nahi tha

kar na sakun pooraa jise aisa mera koi vaadaa nahi tha,
toda tumhaaraa dil, par aisa mera koi iraadaa nahi tha,

ye to waqt hi kuch aisa tha ki main badal gaya zyaadaa,
karke mohabbat bhul jaane ka mera koi iraadaa nahi tha,

tum hi kaho, kya koi kami reh gayi thi meri mohabbat me,
jo kiye tumne mujhpe zulm kya wo kuch zyaadaa nahi tha,

kahaa tha saath nibhaaoge umra bhar har haal me tum mera,
tod gaye har vaade ko kya dil se kiya koi vaadaa nahi tha,

meri jaanaa, main seh na paaya dard tute huye dil ka apne,
varna tumhe chot pahuchaane ka mera koi iraadaa nahi tha...

Milan ke baad judaai

dekh nahi sakte tumhe rote huye jaanaa hum tumse bahut pyaar karte hain,
hum darte nahi anjaam se mohabbat ke bas tumhaare aansuon se darte hain,
khoobsurat ek ehsaas hai mohabbat maaloom hai humko bhi ye baat magar,
darte nahi hum kisi imtihaan se magar milan ke baad judaai se darte hain...
Hum koi nahi unke

jab bhi kabhi un galiyon se wo nikalte honge,
un haseen lamho ko yaad bahut wo karte honge,

kal haathon me haath liye chalte the jahaan,
aaj un raahon se shayad tanha guzarte honge,

dikhaane ke liye zamaane ko muskuraate honge,
par dard-e-judaai me tutke wo bikharte honge,

mashroof honge wo apni nayi zindagi me lekin,
wo roz hamaari tarha hazaar baar marte honge,

kehne ko to kehte hain ki hum koi nahi unke,
par aaj bhi humse pyaar bahut wo karte honge...
Mehek mohabbat ki

main baitha hoon tumhaare saamne aaj tum bas kehti raho
pyaar ke kisi dariyaa ki tarha tum aaj yunhi behti raho

jheel si tumhaari aankhen hain, honth gulaab ke jaise hain
dhadkano ko tez karke mere dil me tum bas yunhi rehti raho

bahut akela tha main tumse bichhad ke, suni koi aawaaaz nahi
aaj sunna hai tumhe jee bhar ke apne dil ki yunhi kehti raho

aaine ke jaisa hai chehra tumhaaraa, khud ko usme dekh lun
tum baate dil ki apne sunaati raho, saamne yunhi baithi raho

chhod ke mujhe kabhi tum jaanaa nahi, paas mere rehti raho
banke mehek mohabbat ki tum meri zindagi me tum behti raho...
Main tumse pyaar nahi karta hoon

na main tumse pyaar nahi karta hoon
par jaane kyun intzaar karta hoon
main karta nahi khud pe bharosa
jaane kyun tumpe aetbaar karta hoon

bahut waqt ho chuka tumse mile huye
roz milta hoon, baatein karta hoon
dekh leta hoon tumhe muskuraate huye
to main bhi muskuraa leta hoon

dekh nahi sakta tumhe rote huye
tumhe dekh main bhi ro parta hoon
kehta hoon roz roz tumse ye jhoot
ki main tumse pyaar nahi karta hoon....