Monday, August 16, 2010

Usi ka naam mohabbat hai

dur hoke bhi jo paas lage, usi ka naam mohabbat hai,
paraaya hoke bhi jo apna sa lage, usi ka naam mohabbat hai,

sukhe me bhi jab barsaat lage, barsaat me jab dhoop lage,
har mausam jab apna sa lage, usi ka naam mohabbat hai,

andheron me jo saaya sa lage, usi ka naam mohabbat hai,
kore kaagaz pe jo tasveer dikhe, usi ka naam mohabbat hai,

khwaab bhi jo poora sa lage, sach bhi jo sapna sa lage,
raat aur din jab sab ek lage, usi ka naam mohabbat hai,

dard bhi jab dawa sa lage, usi ka naam mohabbat hai,
zeher bhi jab meetha sa lage, usi ka naam mohabbat hai...

No comments:

Post a Comment