Friday, August 13, 2010


Teri kahaani ko aaj sakaar hum kar de

barsaat me intezaar ka mazaa hi kuch aur hai,
bheegi hui yaadon ka mazaa hi kuch aur hai,
ye tadap jo raaton ko jagati hai hume har pal,
un tadapti raaton mazaa hi kuch aur hai,

reh reh ke uthta hai jab ye dard judaai ka,
madhosh kar deta hai bas khayal mehboob ka,
hoti nahi hai paas tu meri pyaas bujhaane ko,
barsaat bhi badhaata hai tab pyaas teri chaahat ka,

karwatein jab badalti hai tu apne bistar pe,
mehsoos karte hain hum us dard ko palbhar me,
tu hai tanha, hum hain tanha in raat ke andhero me,
sochte hain kaash us pal hoti tu hamaare ghar me,

adhuri ghazal teri hai, adhuri ghazal hamaari hai,
aao dono milke hum is ghazal ko poora kar de,
kab tak yunhi hum tadpe, kab tak yunhi hum tarse,
aajao paas hamaare, baahon me tujhko hum bhar le,

apni mohabbat se tujko hum poora aaj kar de,
adhuri is kahaani ko sakaar aaj hum kar de,
sooni teri kalai pe hari chudiyaan pehna de,
maang me sindoor ki tere ek chutki aaj hum bhar de...

No comments:

Post a Comment