Wednesday, August 18, 2010

Dard dawa ban jaata hai

dard jab had se guzarta hai to dawa ban jaata hai,
kisi kisi ke liye dard bhi jarurat ban jaata hai,

khushiyon se itne dur rahe hain hum har pal,
ki ab to khushi humein khwaab sa nazar aata hai,

ranga hai khud ko is qadar dard ke rang me ki,
ab to khushi ka har rang berang nazar aata hai,

dekhta hoon jab duniya me tadap main auron ki,
mujhe tab apna har dard bahut kam nazar aata hai,

ab to dard se bepanaah mohabbat hai mujhko,
kyun ki dard hi har lamha saamne nazar aata hai...

1 comment:

  1. It is such a wonderful song, is it Ghalib's?

    Your introduction of yourself is like a song, like to know more about you.

    Kirti

    ReplyDelete