Monday, August 30, 2010

Tumse mohabbat karte hain

aankhon me kuch sapne the,
wo tute khandar lagte hain,
ret ka mahal khada kiya tha,
ab baaloo ke dher lagte hain,

aaj bhi baadal garajte hain,
bin mausam bhi baraste hain,
tumhaari ek jhalak paane ko,
wo din raina taraste hain,

hawa me udte us aanchal ko,
hum mehsoos kiya karte hain,
par kadam aage badhaane ko,
jane hum kyun daraa karte hain,

ho tum tanha agar tanhaayi me,
to bheed me tanha hum bhi hain,
keh nahi paate hain tumse magar,
tumse aaj bhi mohabbat karte hain..

No comments:

Post a Comment