Monday, August 30, 2010

Main piya ke ghar chali

mehendi haathon me lagi hai,
jaana piya ke ghar mujhe,
chhod ke baabul ka ghar,
main piya ke ghar chali,

aakhon me sapne kuch liye,
dil me ummeedon ko sajaake,
khwaabon ko apne poora karne,
apne piya ke ghar chali,

aankhen hain geeli aansuon se,
ghunghat me hai chehra chhupa,
apne piya ka haath thaame,
main piya ke sang chali,

kheli thi sakhiyon ke hi sang,
bachpan se leke aaj tak,
chhod ke us aangan ko main,
apne piya ke ghar chali,

baabul ki aankhon ko bhigoke,
maa ko bhi apne rulaake,
ek naye ghar ko sajaane,
apne piya ke sang chali,

maa milegi us ghar me bhi,
paapa bhi honge saath hi,
kuch naye rishton se judne,
apne piya ke ghar chali,

saath hongi yaadein puraani,
yaad hongi baatein puraani,
un yaadon ko saath leke,
apne piya ke ghar chali...

No comments:

Post a Comment