Monday, August 9, 2010


Un barsaat ke dino ko yaad na karo

yun apni mohabbat ko tum aaj badnaam na karo,
kisi aur ki ho ke tum ab aisa kaam na karo,

zamaane ko to bas mauka chahiye hasi udaane ka,
tum apni izzat ko yun sare aam neelam na karo,

hamaara milan mumkin nahi ye tumhe bhi hai pata,
bewajah tum mere kareeb aane ki koshish na karo,

ab tumhaari zindagi sirf tumhaari nahi rahi,
tum yun kisi aur ki zindagi kharaab na karo,

chahta hai wo bhi tumhe apni jaan se badhkar,
tum uski mohabbat ko mere liye ruswa na karo,

ab uske sang kai aur rishte jud gaye hain tumse,
tum un rishton ko aaj yun qurbaan na karo,

bhool jao tum ki kabhi mile bhi the hum tum,
tum un barsaat ke dino ko ab yaad na karo...

No comments:

Post a Comment