Tuesday, August 31, 2010

Sheeshe ke khwaab

kitna sambhaaloge sheeshe se bane khwaabon ko,
ek hawaa ke jhaunke se tut ke bikhar jaana hai,

baste nahi aankhon me tute huye khwaab hain jo,
dil me unhe rehna hai aur ghayal kar jaana hai,

aankhon me baste hain khwaab hasi hote hain jab,
poore agar na huye to aankhon ko chhod jaana hai,

zindagi ke safar mein har kadam naya khwaab hai,
tutne ka dar ho to bas theher humein jaana hai,

aankhon me kai khwaab honge, unme kuch poore bhi honge,
khwaab kuch tute bhi hon to, chalte humein jaana hai...

No comments:

Post a Comment