Monday, August 30, 2010

Hum deewaaron se baatein karte hain

chhup chhup ke aansoo bahaate hain,
hum deewaron se baatein karte hain,
tasveer kisi ki seene se laga ke
hum tanhaayi me aahen bharte hain,

bas band kamre me band rehke hum,
us tasveer se baatein karte hain,
koi humein deewaana na keh de,
hum khudko chhupaate firte hain,

dhuan dhuan hai zindagi meri ab,
hum dhuyen ka kash lagaate hain,
us aag se dil ko jalaate hain,
aur dhuyen me ghum ko udaate hain,

pata hai sharaab buri bala hai,
hum usi ko hothon se lagaate hain,
sach kya hai bas humko pataa hai,
par humein log sharaabi kehte hain,

chitthiyaan puraani lifaafon me the,
hum ab unko nikaala karte hain,
hum un kaagaz ke panno me,
kisi ka chehra dhunda karte hain,

takiye ko lagaake seene se,
hum sone ki koshish karte hain,
aansuon se usko gila karke,
raaton ko jaaga karte hain,

tanha akele kamre mein hum,
khud se hi baatein karte hain,
tasveer kisi ki seene se laga ke,
hum deewaaron ko dekha karte hain,

jasbaaton ko shabdon me sajaake,
hum ghazal banaaya karte hain,
hamaare dard ko geet samajhke,
log taaliyan bajaaya karte hain...

No comments:

Post a Comment