Tuesday, August 31, 2010

Deewana bana rakha hai

chaahat ko aaj logon ne vyaapaar bana rakha hai,
pyaar ko apne numaish ka saamaan bana rakha hai,

jo chaahe khel jaata hai maasoom dilon se,
logon ne dil ko ek khilona bana rakha hai,

kuchal jaate hain khwaab saare pairon tale,
jasbaat ko pairon ka dhool bana rakha hai,

jahaan me aaj har kahaani ka yahi anjaam hai,
pyaar ne har ghar me ek laash bana rakha hai,

jahaan bikti ho mohabbat kaudiyon ke bhaaww,
mohabbat ka aaj aisa baazaar bana rakha hai,

anjaam-e-mohabbat ka ehsaas to sabhi ko hai,
phir kyun har kisi ko majnu bana rakha hai,

tut ta hai dil to log shayari karne lagte hain,
padhne walon ko usi ka deewaana bana rakha hai...
Chaahat ko dosti samajhte rahe

zindagi ki jo haqeeqat thi,
hum use khwaab samajhte rahe,
aur unhi khwaabon ke tutneka,
hum afsos hamesha karte rahe,

zindagi bahut kareeb thi hamaare,
aur hum usi se dur bhaagte rahe,
ye soch ki koi aur khwaab na tute,
hum raaton ko tanha jaagte rahe,

paake kisi ki chaahat ko paa na sake hum,
uski iqraar ko hum inkaar samajhte rahe,
koshsish to ki usne kai baar bataane ki,
par hum uski chahat ko dosti samajhte rahe...
Sheeshe ke khwaab

kitna sambhaaloge sheeshe se bane khwaabon ko,
ek hawaa ke jhaunke se tut ke bikhar jaana hai,

baste nahi aankhon me tute huye khwaab hain jo,
dil me unhe rehna hai aur ghayal kar jaana hai,

aankhon me baste hain khwaab hasi hote hain jab,
poore agar na huye to aankhon ko chhod jaana hai,

zindagi ke safar mein har kadam naya khwaab hai,
tutne ka dar ho to bas theher humein jaana hai,

aankhon me kai khwaab honge, unme kuch poore bhi honge,
khwaab kuch tute bhi hon to, chalte humein jaana hai...

Monday, August 30, 2010

Mausam thokron ka hai

ye mausam thokron ka hai, ek thokar aur sahi,
dard ki aadat hai humein, ek dard aur sahi,

wafaa karke bhi bewafai ki badnaami mili,
koi shikayat nahi karte, hum bewafa hi sahi,

suna hai lambi raat ke baad subah hoti hai,
hamaari zindagi me bas kaali raat hi sahi,

suna hai kaanton ke sang gulaab khilte hain,
hamaare dil ki bagiya me bas kaante hi sahi,

intezaar me unke saanse saath chhod gayi,
par unka humein deedaar na ho saka, na sahi,

janaaze pe wo hamaare aansoo bahaane aaye the,
chalo usi bahaane se wo yahaan aaye to sahi....
Ek fariyaad

koi pyaar ki band kitaab tu mere naam kar de,
mere khuda tu bas itna sa mera kaam kar de,

lagaake seene se us kitaab ko mehek jaane de mujhe,
tu kisi khoobsurat gulaab ko mera anjaam kar de,

tadapta hoon main dusron ki baahon me dekh logo ko,
kisi mehekte huye phool ko mere baahon me bhar de,

raahen sooni hain meri aur har shaam andheri hai yahaan,
tu kisi ki pyar ki roshni se jagmag meri har shaam kar de,

tanha hoon main is duniya ki anjaani ajnabi bheed me,
mere khuda tu kisi apne ka saath aaj mere naam kar de...
Maut hi muqaam hai

tum thi to har shaam mehekti thi,
hamaare baahon me bas tum hoti thi,
ab shaam roz aati hai magar,
ab har shaam bas ek shaam hai,

hothon pe har lamha rehta tha,
jo naam wo bas tumhaara tha,
ab bhi honth khulte hain mere,
magar ab har naam bas ek naam hai,

hothon se lagaate hain sharaab,
jaam pe jaam lagaate hain hum,
nashe ka naamo nishaan nahi,
ab har jaam bas ek jaam hai,

har khat pe tumhaara naam hota tha,
dil se bas tumhaare liye likhte the,
ab bhi likhte hain hum magar,
ab har paigaam bas ek paigaam hai,

chahke tumko paaya tha ye jahaan,
tumhaare jaane se kuch na bacha,
zindagi se ab mohabbat na rahi,
ab to maut hi hamara muqaam hai...

Wo hain nahi hamaari ab

anjaani si ek dhadkan hai,
tanhaayi me sunaayi deti hai,
gulaab ki wo mehek humein,
raaton ko jagaa jaati hai,

baarish ki har boond humein,
uske kareeb le jaati hai,
tanha jab hum hote hain,
humein uski yaad sataati hai,

aag lag jaati hai seene me,
jab uski yadein aati hain,
wo hain nahi hamaari ab,
unki yaadein bataati hain...
Mohabbat - ek ehsaas

kabhi koshish nahi ki is zamaane ko samajhne ki,
main to bas tumhe samajhne ki koshish karta raha,
kaise tumhaari muskaan tumhaare hothon pe bani rahe,
main to bas is raaz ko samajhne ki koshish karta raha,

main naadaan bhalaa kya jaanu tanhaayi kya hoti hai,
har lamha tumhaare saaye ka saath mehsoos karta raha,
maine kabhi koshish nahi ki tumhaari baat samajhne ki,
tumhaari khaamoshi ko hi main tumhaari awaaz samajhta raha,

main bhala kya dekh paata tumhaare aankhon ke sapno ko,
main tumhaari aankhon ko dekh har pal unhi me khoya raha,
nazar hi nahi padi kabhi tumhaare hothon pe meri,
sang tumhaare khud ko hi tumhaari parchhai samajhta raha,

main bhalaa kya tumhaari uljhano ko suljhaata yahaan pe,
main har pal apne hi uljhano me jaane kyun ulajhta raha,
dekha hai maine har ghadi tumhe hothon pe muskaan sajaate,
main tumhaari muskaan ko hi sabse bada sach samajhta raha,

is samajhne samjhaane me hi zaalim waqt guzarta raha,
izhaar nahi kar sakaa par intezaar main karta raha,
tum baithi rahi ki main aake paheli suljhaun tumhaari,
aur mohabbat ko main koi paheli nahi, ehsaas samajhta raha...
Hum pehli mohabbt ko yaad karte hain

ummeed me pyaar ke ab bhi use yaad karte hain,
ab bhi hum usse milne ki fariyaad karte hain,

dil mera maanne ko tayyar nahi ki wo meri na rahi,
har roz khwaabon me bhi hum use yaad karte hain,

kya pata jo aayegi zindagi me meri kaisi hogi,
hum hamaari pehle mohabbat ko yaad karte hain....

Tumhaare intezaar me

tumhaare intezaar me, baadal bhi ruke huye hain,
aa bhi jao ab to tum, ye barasne ko tayyar hain,

tumhaare intezar me, kaliyaan bhi ruki hui hain,
aa bhi jao ab to tum, ye khilne ko tayyar hain,

tumhaare intezaar me, raahi bhi ruka hua hai,
aa bhi jao ab to tum, ye chalne ko tayyar hai,

tumhaare intezaar me, shaam bhi ruka hua hai,
aa bhi jao ab to tum, ye dhalne ko tayyar hai,

tumhare intezaar me, hain ghadiya lambi ho gayi,
tumhaare intezaar me, din bhi lage hai saal sa,

tumhaare intezaar me, haal hai behaal sa,
tumhaare intezaar me, dil me hai bhoochaal sa,

tumhare intezaar me, saanse bhi ruki hui hain,
tumhaare intezaar me, dil me hai ek aas sa,

aa bhi jao ab to tum, ki tumse mulaqaaat ho,
khatam intezaar ho, khatam kaali raat ho...
Main piya ke ghar chali

mehendi haathon me lagi hai,
jaana piya ke ghar mujhe,
chhod ke baabul ka ghar,
main piya ke ghar chali,

aakhon me sapne kuch liye,
dil me ummeedon ko sajaake,
khwaabon ko apne poora karne,
apne piya ke ghar chali,

aankhen hain geeli aansuon se,
ghunghat me hai chehra chhupa,
apne piya ka haath thaame,
main piya ke sang chali,

kheli thi sakhiyon ke hi sang,
bachpan se leke aaj tak,
chhod ke us aangan ko main,
apne piya ke ghar chali,

baabul ki aankhon ko bhigoke,
maa ko bhi apne rulaake,
ek naye ghar ko sajaane,
apne piya ke sang chali,

maa milegi us ghar me bhi,
paapa bhi honge saath hi,
kuch naye rishton se judne,
apne piya ke ghar chali,

saath hongi yaadein puraani,
yaad hongi baatein puraani,
un yaadon ko saath leke,
apne piya ke ghar chali...
Saath na chhodo mera

aaye ho na jaao ab, tumhaare sang humein rehna hai,
humein ek do baat nahi, bahut kuch tumse kehna hai,

baatein hamaari khatam na ho, inti saari baatein hain,
raatein kabhi khatam na ho, kitni haseen ye raatein hain,

har shaam ab rangeen ho, agar tum hamaare saath ho,
khili hui bagiyaa me hamaare, khila har gulaab ho,

jamke barse aaj megha, har boond me bas tum hi tum ho,
mehek jaaye hamaari duniya, har mehek me bas tum raho,

jeewan safar ka raahi hoon, sang tumhaare chalna hai,
raahon pe agar kaatein biche ho, unpe bhi humko chalna hai,

jee lene do is zindagi ko, dil me tumhaare rehna hai,
saath na chhodo mera, bas itna hi tumse humein kehna hai...
Mujhse kyun darti hai tu

saaye se apne kyun darti hai tu,
jispe dilo jaan se marti hai tu,

parchhayi banke sang hoon tere,
parchhai se kyun darti hai tu,

baahon me aane me dar hai kaisa,
mujhse hi to pyaar karti hai tu,

hamaara wajood ek dusre se hai,
aetbaar kyun nahi karti hai tu,

khudse jyaada chaahta hoon tujhe,
par mujhse hi kyun darti hai tu....
Dost hai wo

kisi aur ki parchhai hai par, hai tumhaare saath hi wo,
hoga koi rishta tumse, tabhi tumhaare aas paas hai wo,

jaan lo , pehchaan lo use, hai tumhaara koi apna hi wo,
kuch to chaahat hogi uski, tabhi tumhaare paas hai wo,

darr ko apne jeet lo tum, hai tumhaara darr nahi wo,
ghera hua hai jisne tumko, dushman nahi hai dost hai wo...
kuch baatein ishaaron se samajh liye jaate hain,
dil ki aankhon se wo humein nazar aa jaate hain,

aankhen band karke sachche dil se mehsoos karo agar,
kai ankahe afsaane khaamoshi se bayaan ho jaate hain...
Mere har saans se judi ho tum

sach hai ki meri har saans se judi thi tum,
chalta tha main magar meri manzil thi tum.

baadal tha main agar to unse barasti thi tum,
dil tha mera magar usme dhadakti thi tum,

kehta tha main magar meri aawaaz thi tum,
likhta tha main agar to meri ghazal thi tum,

dur hoon tumse main tumhaari yaadon se nahi,
dil me agar dekho mere to aaj bhi ho tum...
Usi ehsaas ko pyaar kehte hain

andheron me jo chiraag ban jalta rahe,
toofaan me jo deewar ban khada rahe,

raaton ko jo khwaab ban aankhon me ho,
aur jo ek khushboo ban saanson me ho,

maikhaane pe kuch mai se besudh rehte hain,
wo to sirf mai ko hi mohabbat kehte hain,

aankhon me chehra kisi ka har lamha rahe,
bin kahe aankhon se jo sab baatein kahe,

maangi hui har duwa jab poori lage,
bin sanam duniya agar adhuri lage,

jaan se badhke agar koi lagne lage,
shayad usi ehsaas ko pyaar kehte hain...
Isi ka naam pyaar hai

baarish ki har boond me basaa hai pyaar,
suraj ki har kiran ko kehte hain pyaar,

dil ki dhadkan me hota hai pyaar,
ek andekha sa rishta hai pyaar,

ek khoobsurat tofha hai zindagi ka,
zindagi bhar saath nibhaata hai pyaar,

khaamoshi me kisi ki aawaaz sunai de,
band aankhon se agar koi dikhai de,

neendon me jo aaye khwaab banke,
shayad usi ehsaas ko kehte hain pyaar,

apni haar bhi agar humein jeet lage,
kisi ki baatein agar sangeet lage,

kisi ke saamne hoke agar hum gum ho jaaye,
usi madhoshi ka hi naam hai pyaar,

haan isi ko kehte hain pyaar,
mere dost isi ka naam hai pyaar....
Hum Kyun likhte hain

hum is shauk se nahi likhte ki koi padhe aur wah wah kahe,
hum to is shauk se likhte hain ki apna dard kam kar saken,

jahaan me log aur honge jo shayari numaaish ke liye karte hain,
hum apne shabdon ki numaaish nahi dil ki baat kahaa karte hain,

aake padhna meri ghazal, na ho pasand to waapas chale jaana,
kehna ho jo bhi meri ghazal ke baare me dil se tum keh jaana,

humko na hunar hai likhne ka, na kabhi sikha hai ki kaise likha karte hain,
hum to wo ghayal hain, jo apne dil ke zakhmon ko shabdon me bayaan karte hain...

Hum deewaaron se baatein karte hain

chhup chhup ke aansoo bahaate hain,
hum deewaron se baatein karte hain,
tasveer kisi ki seene se laga ke
hum tanhaayi me aahen bharte hain,

bas band kamre me band rehke hum,
us tasveer se baatein karte hain,
koi humein deewaana na keh de,
hum khudko chhupaate firte hain,

dhuan dhuan hai zindagi meri ab,
hum dhuyen ka kash lagaate hain,
us aag se dil ko jalaate hain,
aur dhuyen me ghum ko udaate hain,

pata hai sharaab buri bala hai,
hum usi ko hothon se lagaate hain,
sach kya hai bas humko pataa hai,
par humein log sharaabi kehte hain,

chitthiyaan puraani lifaafon me the,
hum ab unko nikaala karte hain,
hum un kaagaz ke panno me,
kisi ka chehra dhunda karte hain,

takiye ko lagaake seene se,
hum sone ki koshish karte hain,
aansuon se usko gila karke,
raaton ko jaaga karte hain,

tanha akele kamre mein hum,
khud se hi baatein karte hain,
tasveer kisi ki seene se laga ke,
hum deewaaron ko dekha karte hain,

jasbaaton ko shabdon me sajaake,
hum ghazal banaaya karte hain,
hamaare dard ko geet samajhke,
log taaliyan bajaaya karte hain...
Na saathi na koi sahaara hai

raatein jab chaandni hoti hai,
hum khidki se jhaanka karte hain,
aasmaan ke us chaand me hum,
apne chaand ko dhunda karte hain,

taaron se saji hai raat magar,
tum bin hum to tanha hain,
kis kaam ki chaandni hai, jab
dur humse hamaari chandaa hai,

un raahon pe ab hum na milenge,
wo chauraahe ab anjaane hain,
shahar tumhaara chhod chuke hain,
wo galiyaan lage puraane hain,

lehron me saagar ke beh rahe hain,
na kashti hai, na koi kinara hai,
bheed me bhi hum tanhaa hai,
na saathi hai, na koi sahaara hai...

Thaam lo aake baahen meri

thaam lo aake baahen meri,
ye baahen tumhe bulaati hain,
tasveer mere dil me basi hai,
mujhe tumhaare kareeb bataati hain,

saanson ka hi rishta hai tumse,
ye saanse tum bin ruk jaati hain,
dhadkano pe bhi naam hai tumhaara,
har dhadkan mujhse bataati hai,

tanha to tum aaj bhi nahi ho,
meri yaadein saath nibhaati hain,
suni raaton ke andheron me bhi wo,
tumhe meri hi yaad dilaati hain....

Tumse mohabbat karte hain

aankhon me kuch sapne the,
wo tute khandar lagte hain,
ret ka mahal khada kiya tha,
ab baaloo ke dher lagte hain,

aaj bhi baadal garajte hain,
bin mausam bhi baraste hain,
tumhaari ek jhalak paane ko,
wo din raina taraste hain,

hawa me udte us aanchal ko,
hum mehsoos kiya karte hain,
par kadam aage badhaane ko,
jane hum kyun daraa karte hain,

ho tum tanha agar tanhaayi me,
to bheed me tanha hum bhi hain,
keh nahi paate hain tumse magar,
tumse aaj bhi mohabbat karte hain..
Na jaao humein chhod ke

paas ho nahi hamaare, tum dur ho aaj,
hum tumko har pal dhunda karte hain,
kisi ke chehre me tumhara chehra dikh jaaye,
ye soch ke har kisi se pyaar karte hain,

hamaari berukhi na kaho isko tum sanam,
tumhe kareeb laane ke liye sab karte hain,
jalan se laut aao tum hamaari baahon mein,
tumhe fir se apnaane ke liye sab karte hain,

khataa hamaari jo humne kabhi tumhe bewafaa kahaa ho,
hum to tumhe wafaa ki moorat samajhte hain,
samajh sakte hain mazboori tumhaari hum bhi,
tabhi to tumhaare aane ka intezaar karte hain,

tumhe fir se paake khona nahi chaahte hain hum,
tabhi tumhaare kareeb aane se ghabraate hain,
waadaa karo na jaoge tum humein chhod ke tanha,
bulaake dekho dil se hum kis tarha daude chale aate hain...

Thursday, August 26, 2010

Dil se uski yaad nahi jaati

dikhti to hai mujhe khwaab me ,
haqeeqat me nazar nahi aati,

dil me uske yaadon ka toofaan hai,
par wo mere kareeb nahi aati,

chahte hain kabhi ki bhoola de use hum,
par kya karein, dil se uski yaad hi nahi jaati...


Kashmakash

kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
us pyaari si tasveer ko dil me chhipaake,
kisi aur ki tasveer sajaane chala hoon,

aankhon me sharaarat, hothon pe hasi hai,
use pyaar ki murat banaane chala hoon,
kisi aur ke naam thi zindagi meri, par
kisi aur ke sang main bitaane chala hoon,

naam-e-mohabbat ke chehre kai hain,
dil ko apne main samjhaane chala hoon,
bhoolaake kisi ki mohaabat ko main,
kisi aur se mohabbat karne chala hoon,

dur hai wo par main bhoola nahi hoon,
uski yaadon ko main mitaane chala hoon,
apni looti hui mohabbat ko main,
kisi aur pe aaj lootaane chala hoon,

raah-e-mohabbat kathin hai magar,
us raah pe main dobaara chala hoon,
thak ke haara hoon ek baar magar,
ek nayi koshish main karne chala hoon,

kisi aur ki mohabbat ko dil se lagaake,
kisi aur se dil main lagane chala hoon,
apni khuli baahon ko failaa ke, main
kisi aur ko seene se lagaane chala hoon...
Dil ko kuch ho gaya hai

aata nahi ab is dil me kuch naya hai,
lagta hai shabdon se naata tut sa gaya hai,

koshish to karte hain likhne ki bahut par,
lagta hai mere dil ko hi kuch ho sa gaya hai...
Har kahani poori nahi hoti

mohabbat ki nazar me doori doori nahi hoti,
uske liye koi mulaaquat adhuri nahi hoti,

mohabbat wo rishta hai jo dil samajhta hai,
isme hamesha milne ki jarurat nahi hoti,

har kisi ko yahaan haasil nahi mil paata,
sabki kahaaniyaan yahaan poori nahi hoti...
Zindagi

zindagi ko hum bhalaa kya jeena sikhaayenge,
tu meri zindagi hai, bas tera saath nibhaayemge,
mera aagaaz bhi tu hai aur mera anjaam bhi tu,
tujhse hi shuru hoke tujhpe khatam ho jaayenge...
Tu ne har gulaab ko mehkaaya hai

uparwaale ne mohabbat ka khoobsurat jahaan banaaya hai,
mohabbat ko bhagwaan chaahne waalon ne banaaya hai,

kya hoga deewanepan ka anjaam ye soch ke na niraash ho,
usne kuch khaas soch ke ji humein yahaan milaaya hai,

naam tera ab to jud gaya hai mere har paighaam se,
tere sangh humne khwaabon ka gulistaan sajaaya hai,

har kali se ab to tere naam ki pukaar sunaai deti hai,
tune hi apni mohabbat se har gulaab ko mehkaaya hai,

kya maangu ab main bhagwaan se apni duwaon mein,
usse kuch maange bina hi maine tujhe paaya hai...
Hum se hai zamaana

shamaa hai tu parwane hum bhi kam nahi,
na mil saka saath tera to hume gum nahi,

jal jaayenge teri lau me aag banke,
dar jaayen aashiqui se aise hum nahi,

kya hua jo tere aashiq hazaaron hai to,
hamaari chahat jaisa kisi ki chahat me dum nahi,

dekh le aazmaa ke hamaari chaahat ko tu,
humse hai zamaana , zamaane se hum nahi...
Humein kashish si ho gayi hai

tere pehle sparsh ki mehek hamaare saanson me bas gayi hai,
hawaaon me ghul ke wo mehek humein madhosh si kar gayi hai,

tere naram gulaabi hothon ko chhua tha humne apne hothon se,
maano hamaare pyaase hothon ki ek khwaish poori si ho gayi hai,

tamanna hamaari bhi hai tujhe baahon me bharke pyaar karne ki,
tere kareeb na hone se jaise ye barsaat bhi niras si ho gayi hai,

aaja aake lag ja hamaare seene se hamaari saanson ko ek kar de,
ab to lagta hai ki jaise tujhse milke sadiyaan si ho gayi hai,

faila de aake ek baar apni julfon ke baadal hamaare chehre pe,
ab to tere aane ke intezaar ki intehaa si ho gayi hai,

bharke tujhe baahon me hum teri har kasak mita de,
tere saanson ki mehek se humein kashish si ho gayi hai...
Dard ki ek kahaani

ye prakriti ka niyam hai,
jo aata hai ek din jaata hai,
har kisi ka saath humein,
umra bhar nahi mil paata hai,

na tere dard ko main samajh sakta hoon,
na is bare me tujhse kuch keh sakta hoon,
bhagwaan ke ghar der hai andher nahi,
tujhse aaj bas main itna keh sakta hoon,

maaloom hai dard me muskuraana asaan nahi,
aansoun se dard dhulta hai, main ye kehta nahi,
kisi ke kehne se kabhi dard kam nahi hota,
khud ko samjha sako to dard rehta nahi...
Meri behna

tujhe aaj ke din main kya tohfa du,
mere liye ek anmol tohfa hai tu,
maanga tha bhagwaan se apne liye khushi,
mere khushi ka rang leke aayi hai tu,

wo teri shararatein, teri badmashiyaan,
har pal mere sang teri shaitaaniyaan,
chaahe ho wo din bachpan ka, chaahe aaj ka,
mausam ye nahi badla hamaare pyaar ka,

kabhi ladna , kabhi jhagadna,
kabhi beshoomaar pyaar karna,
kabhi maa se shikaayat karna,
kabhi papa se chugli karna,

daant kabhi khaake unse,
tera mere paas aana,
kuch pal aansoo bahaake,
fir mere sang ghul jaana,

ye rishta hai mera tujhse aisa,
maano bandha ho kisi dor se,
chaahe karle koi kitni bhi koshish,
ye bandhan na toote kisi ke zor se,

ye rishta hai hamaare pyaar ka,
maa papa se mile sanskaar ka,
mera rishta to hai tujhse meri behna,
ye rishtaa hai aetbaar ka,

baant sakta hoon tujhse har sukh dukh,
meri sabse achchi dost hai tu,
chaahta hoon har pal khushiyan teri,
mujhe sabse pyaari meri behna hai tu...
Tumse mujhe mohabbat hai

kai dino se kuch baat thi dil me,
tumse aaj mai kehna chaahta hoon,
sochta hoon aaj bol hi daalun,
jo baat main kehna chaahta hoon,

aansoo tumhaare chhin loon saare,
muskaan tumhaare chaahta hoon,
dard na ho tumko ek pal bhi,
har dard main sehna chahta hoon,

tumhaare badan ki khushboo banke,
main tum sang behna chahta hoon,
dhadkan banke dil me tumhaare,
main har lamha rehna chahta hoon,

kai dino se wo baat hai dil me,
jo baat main kehna chahta hoon,
tumse mujhe mohabbat hai,
bas itna kehna chaahta hoon...
Tujhe hi hum khuda kehte hain

kuch afsaane shabdon se nahi, khamoshi se bayaan ho jaate hain,
zubaan khaamosh rehti hai par nigaahon se bayaan ho jaate hain,

tujhko shaayad khabar nahi ki tere khwaabon me chupke se aate hain,
raat ko jab tu soti hai hum hawa ban tere gaalon ko sehlaate hain,

julfon se tere khelte hain hum, kabhi unme hi hum chhup jaate hain,
teri gulabi hothon ki taazgi ko apne hothon ka ras hum pilaate hain,

mehsoos to tu bhi karti hogi mujhe raat ko apni baahon me,
khwaabon me bhi rakhti hogi tu mujhko apni chaahon me,

lab hamaare chaahe kuch na kahen par dil ki dhadkan kehti hai,
hum har pal chahen chup hi rahen par dil me tu hamaare rehti hai,

yaadon me tujhe hum rakhte nahi hain, hum dhadkan banaake rakhte hain,
teri pyaari ek tasveer ko har lamha hum seene se lagaake rakhte hain,

chaahe humse tu kuch bhi na kahe, par hum aaj ye sach tujhe kehte hain,
bas tujhse hi humko mohabbat hai aur tujhe hi hum khuda kehte hain....
Tu hi meri pooja hai

intezaar tu karna mera,
main waada apna nibhaunga,
maut se bhi main ladke,
jaana tujhse milne aaunga,

baandh sake koi zor se tujhko,
aisi bani koi dor nahi,
pyaar se apne jeet lu tujhko,
tujh bin maangu kuch or nahi,

kesri rang se ranga hua hai,
haath tera to kya hai,
pyaar ke rishton ke aage,
saat feron ka bandhan kya hai,

rishta kisi se jod chuki hai,
us rishte ki koi buniyaad nahi,
kuch waaden kiye the mujhse,
kya tujhe wo waade yaad nahi,

mere liye to tu hi hai sab kuch,
tere siwa na koi dooja hai,
mere liye to tu hi ibaadat,
aur tu hi meri pooja hai.....

Sunday, August 22, 2010

Ek ansuni fariyaad

main baag ka gulaab nahi, van ka koi phool hoon main,
maathe ka main taaz nahi, charno ka koi dhool hoon main,

kya paoge mujhko paake, ek bhatka hua musaafir hoon main,
apne jeewan ke hi safar me, jaane kahaan aaj gum hoon main,

kaanch ke band botal me sasti si koi sharaab hoon main,
mujhse dil na lagaana tum aadat koi kharaab hoon main,

jiski koi disha nahi, saagar ki aisi lahar hoon main,
suhani si koi shaam nahi, jalti hui ek dopahar hoon main,

mujhse mohabbat na karna tum, bhooli hui koi yaad hoon main,
har kisi ne thukraya jise, aisi ansuni fariyaad hoon main...
Raahi hoon mai jeewan ka

raahi hoon main jeewan ka, jeewan me chalte jaana hai,
kya paana kya khona hai, kismat ka yahi fasaana hai,

aahsaayein hi jeewan hai, unka saath nibhaana hai,
saath leke unko safar mein humko chalte jaana hai,

bich safar me aayengi badhaayein pahaad banke,
baadhaon ko paar karke humko badhte jaana hai,

na sangi ho, na saathi ho, na ghum ka koi bhaagi ho,
aaye the jahaan me akele, akele hi laut jaana hai,

kya chaahe hum daulat ko, daulat to haath ka mail hai,
pehli baarish ke paani me, usko to dhul hi jaana hai,

insaan banke aaye hain, insaan ka saath nibhaana hai,
chalna hi zindagaani hai, humko chalte hi jaana hai...
Main tera intezaar karta hoon

aaj bhi aisa lagta hai, aake seene se lag jaayegi tu,
naam tera pukaarun main, aur daudi chali aayegi tu,
tujhse chaahe dur hoon par dhadkan ab bhi tere paas hai,
tut gaye hain sapne saare par ab bhi tujhe paane ki aas hai,

mujhe rote huye na dekhle tu isliye main chehra chhupaata hoon,
har lamha main tujhe bas apna muskuraata hua chehra dikhaata hoon,
main nahi chaahta ki tu mujhe mere aansoo dekh ke chaahne lage,
main tujhse daya ki bheek nahi, mai to teri mohabbat chaahta hoon,

aaj bhi teri raahon pe main nazre bichaayen baitha hoon,
maine mohabbat ki thi tujhse main aaj bhi tujhe chaahta hoon,
wo gulaab jo tu ne mujhe mohabbat ke saath diya tha kabhi,
kitaab me rakhe us sukhe gulaab ki khushboo mehsoos karta hoon,

band kamre ki khaali deewaaron pe main teri tasveer sajaata hoon,
tere likhe geeton ko main aaj tanhaayi me gungunaata hoon,
aisi bhi kya naraazgi humse ki chhod gayi tu mujhko yun tanha,
main uparwaale se bas teri mohabbat ki ek nazar chaahta hoon,

tere aane ka aetbaar tha mujhe, main aaj bhi aetbaar karta hoon,
maine kahaa tha main intezaar karunga, main aaj bhi karta hoon...

Saturday, August 21, 2010

Main kya chaahta hoon

main jeewan ke kitaab ke kuch panne pichhe palatna chaahta hoon,
jo lamhe kho diye hain maine unhe fir waapas paana chaahta hoon,

main fir ek baar zindagi ka saath nibhaana chaahta hoon,
apne hothon pe fir se wo pehle jaisi muskaan chaahta hoon,

ab tak socha na tha ki main khud ke liye kya chaahta hoon,
aaj tanha hoon to jaana maine bas kisi ka saath chaahta hoon,

raah me zindagi ke chalte huye kai log mile, kai bichhad gaye,
main un bichhde huye doston se ek baar fir milna chaahta hoon,

is daudti zindagi me waqt bhi bahut tezi se guzarta gaya,
main khushi ke kuch pal ek baar firse jeena chaahta hoon,

na mila koi aisa jo saath nibhaye mera umra bhar,
main kisi hamsafar ka umra bhar ka saath chaahta hoon...
Ae ajnabi

ajnabi tum kuch jaane pehchaane se lagte ho,
mujhe tum kuch kuch apne se ab lagte ho,
kya rishta hai tumse, kya naata hai tumse,
tum mujhe apne dil ke bahut kareeb lagte ho,
na jaanu main, par tum anjaane se nahi lagte ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho,

baatein tumhaari ab mujhe achchi lagne lagi hain,
yaadein tumhaari ab shaam-o-seher aane lagi hain,
khoya rahun khayalon me unme bhi tum hi ho ab,
tumhaari muskaan ab har taraf nazar aane lagi hain,
har chehre me ab tum mujhe apna chehra dikhlaate ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho,

milta hoon tumse to lagta hai barso se jaanta hoon,
jaise tumhaari khushboo ko main pehchaanta hoon,
aawaaz tumhaari kuch jaani pehchaani si lagti hai,
maano tumhaare har andaaz ko main pehle se jaanta hoon,
ajnabi tum mujhe koi dost puraane se lagte ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho...
Hamaari dosti aazmaa kar dekho

ek baar fir tum is jahaan me muskurake to dekho,
kisi apne jaise hamsafar se dosti karke to dekho,

itni bhi badtar nahi hai ye duniya mere dost,
ek baar is jahaan ko firse chaahkar to dekho,

kya hua agar ghum ke ghane baadal chhayen hain har taraf,
ek baar un baadlon se baraste paani me bheegkar to dekho,

kya hua agar rab zaruraton ke hisaab se khushiyaan deta hai,
ek baar sachche dil se usse thodi aur khushi maang kar to dekho,

kehte hain log uske ghar me der hai andher nahi,
ek baar us bhagwaan pe tum aetbaar karke to dekho,

maante ho tum ki bahut ho chuka ab maayusi ka daur,
aao, aake ek bar hamaari dosti aazmaa kar to dekho...
Aagaaz ko anjaam samajh baithe the

palbhar ke saath ko umra bhar ka samajh baithe the,
jise jaana tha use apni zindagi samajh baithe the,

ab to ro bhi nahi sakte ki zamaana hasega humpe,
apni mohabbat ko uski chaahat samajh baithe the,

jisne kabhi hamaari mohabbat ko samjha hi nahi,
uski muskaan ko hum iqraar samajh baithe the,

chaahne se pehle ye na socha tha ki anjaam kya hoga,
khushnuma aaghaaz ko hi anjaam samajh baithe the...
Chaahat hai ki nahi hai

maine dekha hai usko mohabbat me hadd se guzarte,
meri chaahat me dekha hai usko kuch bhi karte,
keh dun agar main kuch bhi use bhoole se bhi,
dekha hai maine use wo har baar poora karte,
ye bataa do koi mujhe ki haqeeqat kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

dekha hai usko mere gum me aansoo bahaate,
dekha hai usko mujhse dur rehkar tadapte,
agar na kar paaun baat main kuch palo tak,
dekha hai usko maine pareshaan hote,
koi bataa de mujhko ki sach kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

kehti thi har baar wo ki tum ho mere,
jeena mushkil hai hamaara bin tumhaare,
chhod ke ye duniya saari ho jaun tumhaari,
rehna hai mujhe zindagi bhar sang tumhaare,
sochta hoon uski un baaton ka raaz kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

kal tha dekha usko maine doli me jaate,
sang kisike usko dekha tha muskuraate,
khush hai wo meri mohabbat se dur jaake,
maang me kisi aur ke naam ka sindoor sajaake,
ye bataa do koi mujhe ki haqeeqat kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai...

Wednesday, August 18, 2010

Jarurat hai tumhari jeene ke liye

apni maasoomiyat se keh jaati ho,
ki sab kuch hoon main tumhaare liye,
tum kya jaano kya ho tum,
kya hai tumhaari ehmiyat mere liye,

baarish ki pehli boond se poochho,
kya hai uski pyaas zameen ke liye,
suraj ki pehli kiran se poochho,
kya hai uski chaah roshni ke liye,

lehren ho tum, to saahil se poochho,
kya hai uski tadap lehron ke liye,
phoolon se mehekti khoosboo se poochho,
kya hai chaahat uski hawaa ke liye,

kudrat ka koi karishma ho tum,
usne sajaaya hoga tumhe apne liye,
kisi gaayak ki koi ghazal ho tum,
usne gaaya hoga tumhe apne liye,

aake ek baar zaraa mujhse poochho,
kya ho tum is nacheez ke liye,
kahunga tumse dil pe haath rakh ke,
jaan ho tum, jarurat hai tumhaari jeene ke liye...
Muskura ke ji lo aaj

nazar uthaake dekho humein hamesha paas paoge,
hamaari dosti se bachke tum ab kahaan jaoge,

raah pe chalke kisi paththar ko dekh ruk jaoge,
to kahaan is jeewan ke safar me aage badh paoge,

kya hua agar khwaabon ka aaina tumse tut gaya aaj,
kal tanha they, ab in tukdo me hazaaron nazar aaoge,

apni parchhai me khud ko dhund lo tum ek baar,
apne hi ruh se tum kis tarha muh mod paoge,

nahi hai ab lambi ye raat judai ki mere dost,
kab tak yunhi andheron me khud ko chhupaoge,

nafraton ki is duniya me ab bhi mohabbat bachi hai,
in pyaar ke rishton se bachke tum kahaan jaa paoge,

zindagi hai chaar din ki ro ke kyun khatam karna,
muskura ke ji lo aaj, ye mauka fir kahaan tum paoge...
Wo gulaab

mere kitaab me chhupi ek gulaab ki kahaani aaj sunaata hoon,
is gulaab ki khushboo kaise udi aaj main bataata hoon,

ye kisi haseen humsafar ne mujhe diya tha apna maankar,
rakha tha maine ise apni kitaab me pyaar ka tohfa jaankar,

keh na saka kabhi main haale-e-dil apna us haseena se,
chali gayi wo bahut dur humse kisi aur ka haath thaam kar,

ab wo gulaab mere kitaab ke panno ko sajaati hai,
jise rakha hai sambhaalke maine uske pyar ki nishaani maankar...
Jeewan ho tum

main hawaa banke tum sang aaj beh jaunga,
lahu banke tumhaare dil me main reh jaunga,
mehek me tumhaari main yun khoya hoon aaj,
tumhaari khushboo se khud ko mehka jaunga,

dil me hai dhadkan aur dhadkan me tum,
saanso me khushboo hai, khushboo ho tum,
jaane ye kaisa hai rishta hamaara,
tum se hi main hoon aur mujhse ho tum,

paake tumhe paaya maine saara jahaan,
tumse haseen ab kuch main paaun kahaan,
jaane na dunga tumhe mujhse main dur,
chhodke tumhe main ab jaaun kahaan,

saagar hai dil mera, lehren ho tum,
phool hoon main agar to titli ho tum,
tumse si rishta hai, tumse se hi sab kuch,
zinda hoon main agar to jeewan ho tum,

saanse bhi tum ho, meri dhadkan bhi tum,
aansoo bhi tum ho, meri muskaan bhi tum,
syaahi hoon main agar to kalam ho tum,
ghazal hoon main agar to ehsaas ho tum...
Dard dawa ban jaata hai

dard jab had se guzarta hai to dawa ban jaata hai,
kisi kisi ke liye dard bhi jarurat ban jaata hai,

khushiyon se itne dur rahe hain hum har pal,
ki ab to khushi humein khwaab sa nazar aata hai,

ranga hai khud ko is qadar dard ke rang me ki,
ab to khushi ka har rang berang nazar aata hai,

dekhta hoon jab duniya me tadap main auron ki,
mujhe tab apna har dard bahut kam nazar aata hai,

ab to dard se bepanaah mohabbat hai mujhko,
kyun ki dard hi har lamha saamne nazar aata hai...
Tumhaara saath maangta hoon main

tumhaare dil ke siwa aur kuch maangta nahi hoon main,
tumhaare naam ke siwa aur kuch jaanta nahi hoon main,

kabhi maathe ki rekha to kabhi haathon ki lakeeron ko,
dekhta hoon aur bas yahi mann hi mann sochta hoon main,

paaya hai tumko maine bin maange kisi muraad ki tarha,
ab to bas tumhaara umra bhar ka saath chaahta hoon main,

roko na khud ko, bandho na tum samaaj ke bandhano me,
aajao ki ab to bas tumhaara intezaar karta hoon main,

maanga nahi tha parwardigaar se kabhi kuch apne liye,
par ab apni har duwa me tumhaara saath maangta hoon main...
Zindagi ka safar

har subah ek naya rang leke aata hai,
suraj har subha ko roshan kar hi jaata hai,

hoti hai andheri raat agar berehem,
har subah sukoon ki saans leke aata hai,

toofaan me agar doob jaati hai koi kashti,
lehron ke saath wo saahil tak aa hi jaata hai,

kuch pal ke liye agar ghum ho zindagi me,
agle pal hothon pe muskaan aa hi jaata hai,

har raat hoti nahi andheri amaawas ki tarha,
ghar ke koney me ek chiraag jal hi jaata hai,

chot khaake insaan gir to jaata hai kai bar,
par waqt ke saath wo sambhal hi jaata hai,

tanha hai agar jeewan ka safar kuch pal ke liye,
kuch doori pe haseen hamsafar mil hi jata hai...
Baarish

aaj bhi ye bheegi barsaatein mujhe bahut tadpaati hain,
baarish ki har ek boond mujhe tumhaari yaad dilaati hain,

bheegta hoon ye soch ke ki mere aansoo na dekh lo tum,
jaane kaise tumko meri aankhen geeli dikh jaati hain,

tumhaare dil ka aag bujhaata hai ye baarish ka paani,
aur hamaare dil ko jala jaata hai ye baarish ka paani,

bijli ki kadak ke saath tum mere baahon me samaa jaati thi,
aaj bhi unki har chamak mujhe tumhaare kareeb le jaati hai,

tumse juda hoke aaj ye baarish ki boondein begaani lagti hain,
aaj baarish ki har boond meri tanhaayi ka ehsaas dilaati hain...
Main tumhaare paas hi hoon

pyaar bhulaale ke liye nahi kiya karte,
yaad mitaane ke liye nahi kiya karte,
kiya ho agar pyaar sachche dil se,
to usse dur jaane ki baat nahi kiya karte,

yadein to paagal hoti hain,
bin bulaaye aa hi jaati hain,
tanhaayion me humein chhedkar,
humein bahut tadpaati hain,

ye na socho ki main tumse mil nahi sakta,
dur hoke bhi main aaj bhi tumhaare paas hi hoon,
dil me jo ho use nazron se nahi dhunda karte,
dil se bula ke dekho main tumhaare saamne hi hoon...
Ek aur mulaqat

kuch anjaana sa rishta tha mera tumse,
aaj bhi mujhe wo rishta yaad aata hai,
aaine me khudko dekhna chaahun to,
aaj bhi tumhaara chehra nazar aata hai,

waqt paani ki tarha behta chala gaya,
aur us bahaaw me main bhi beh gaya,
chhoot gaya mujhse tumhaara saath o saathi,
bas tumhaare yaadon ka sahaara reh gaya,

baarish me bheegta hoon ye sochke main,
ki dil se tumhaari yaadein dhul jaayengi,
na mit paaya ek bhi daag tumhaari yaadon ka,
shayaad ye umra bhar hi saath reh jaayengi,

kami nahi hai zindagi me mere doston ki,
kami to bas tumhaari hai mere jaana,
doston se badhke tumhe chaaha tha maine,
tumhi ko tha maine apni zindagi maana,

safar me zindagi ke chhod gaye tum mera haath,
jab chaaha tha maine tumse janam janam ka saath,
na sambhal paaya hoon ab tak main us chot se,
bas chaahta hoon tumhaare sang ek aur mulaaqaat...

Monday, August 16, 2010

Kahaan bachche samajh paate hain

maa baap ke paon chhuke kabhi bachche aashish liya kate the,
aaj wahi bachche maa baap ko tuta saamaan samajhte hain,

ghar ke kisi kone me ek tuti chaarpaai, ek kambal ek takiya,
bas itna sa kuch deke diya bahut saamaan samajhte hain,

ek thaali, ek mug aur ek paaani ka matka,
do waqt ki roti deke bahut khilaaya samajhte hain,

bado ki sewa param dharm hai, bachpan se yahi sikhate hain,
tab bhi jaane aajkal ke bachche kahaan samajh paate hain,

sochta hoon main to bas ki ye bachche bhi buddhe to honge,
unki bhi ye haalat hogi we kahaan ye samajh paate hain....
Meri Zindagi

tumhaari baaton se jaane kyun mujhe kuch yaad aa gaya,
likhte likhte kisi wajaah se main aaj ruk sa gaya,

bhulaake bhi shayad ab tak na bhula paaya hoon main tumhe,
kisi apne se baat karte waqt dil me tumhaara khayaal aa gaya,

ek waqt tha jab har baat se , har cheez se tum judi thi,
jaane kahaan ab kho gayi ho tum is duniya ki bheed me,
jaane kyun ab mere liye ye waqt kuch tham sa gaya,

baatein karo doston se to jaise baaton me aaj bhi tum ho,
ho nahi kareeb tum mere par mere dil me aaj bhi tum hi ho,
kyun neend khulne se pehle mera har sapna tut sa gaya,

wo baatein, wo mulaqaatein aaj bhi yaad aa jaati hain,
tumhaari har ek baat aaj jaane kyun mujhe tadpaati hai,
ab to aisa lagta hai is zindagi se main thak sa gaya,

haan main is sukhi veeran zindagi se pak sa gaya hoon,
apne hi tanhaayiyon ke ghere me main fas sa gaya hoon,
main ab apne is zindagi se thak sa gaya hoon...
Mere pyaar ki moorat

leke laali us suraj se main tere hothon ko laal karta hoon,
leke paani sagar se main tere aankhon ko giley karta hoon,
leke shyaam rang baadal se teri aankhon pe kaajal lagaata hoon,
barish ki boondon se main tere aankhon ko sajaata hoon,
aankhein band karke main tere pyaar ki moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari si surat sajaata hoon,

chaand ki chaandni se tere maathe ki bindi sajaata hoon,
indradhanush ke har rang se main tujhko yun nehlaata hoon,
os ki boondon se tere hothon ko main bhigota hoon,
kamal ke phoolon se main tere gaalon ko rangta hoon,
kuch aise hi pyaari si main teri moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari surat sajaata hoon,

bijli ki har chamak se tere hothon ki muskaan sajaata hoon,
har raat khwaabon me apne main tujhko gale lagaata hoon,
apne hi khwaabon me main tere rang me yun rang jaata hoon,
teri chaahat ke bandhan se main tujhse hi bandh jaata hoon,
har raat khwaab me main teri pyaar ki moorat banaata hoon,
khul jaati jab neend hai meri, main mann hi mann pachhtaata hoon...

Kya itna mushkil hota hai

kya itna mushkil hota hai kisi aur ke pyaar se pyaar karna,
kya ye koi jurm hai kisi aur ke pyaar ko sweekaar karna,

pyaar to pyaar hota hai, pyaar me koi shart nahi hoti,
pyaar me shart ho wo pyaar nahi, wo to hai vyapaar karna,

agar pyaar se pyaar na kar sako to tum pyaar kabhi na karna,
pyaar ke naam pe jhoot kapat ka tum vyaapaar kabhi na karna,

pyaar karne waalon ke liye to pyaar hi pooja hai bhagwaan hai,
pyaar ko bhagwaan na maan sako to tum pyaar sweekaar na karna...
Kuch meethi yaadein

haan ye yaadon ke rang se bani tasveerein hain,
kuch meri baatein hain, kuch tumhaari yaadein hai,
kho ke kabhi unme is tarah doob jaata hoon main,
kya kahun wo de jaati kitni saugaatein hain,
wo tuhmaaraa muskurake saamne se guzarna,
aur aisi hi kuch haseen meethi yaadein hain,


kaagaz pe to bante bante ab tak na ban saki,
tumhaari wo tasveer maine apne dil me banaayi hai,
chaah ke bhi koi mita na sakega ye tasveer tumhaari,
kisi syaahi se nahi ye maine apni chahat se banayi hai,
tumhaara khayaal hi mere dil me gudgudi kar jaati hai,
aur aise hi kuch khoobsurat haseen baatein hain,


wo aankhon me tumhaare kaajal ka jo rang hai,
wo tumhaare hothon pe gulaab ka jo rang hai,
tumhaare maathe ki safed bindi bahut pyaari hai,
aur tumhaare chehre ka jo pyaara rang hai,
haan inhi rangon se banayi tumhaari tasveer maine,
aur usi tasveer se judi ab meri saanse hain,

aur aise hi kuch khoobsurat haseen baatein hain,
aur aisi hi kuch haseen meethi yaadein hain....
Humne tumhe sweekaar kiya hai

duniya ki isi bheed me humne tumhe paaya hai, khone ke liye nahi,
fir se humne muskuraana sikha hai ek baar, rone ke liye nahi,

tum ye na sochna kabhi ki hum tumse khafa ho sakte hain,
humne tumhe khud se badhke chaha hai, tumhe rulaane ke liye nahi,

pyaar itna denge tumhe ki jagah kam pad jaayegi use rakhne ke liye,
tumhe is jahaan me humne sweekar kiya hai, thukraane ke liye nahi...
Aao aaj sabko hasna sikha de

aao aaj hum ek dusre ko muskuraana sikha de,
bhulaake apne ghum, khushiyon ko gale laga le,

tum apne aanchal me humein bandh lo aaj kaske,
aur hum tumhe apne baahon me bharle aaj kaske,

aao apna sansaar hum khushiyon se bhar de is tarha,
ki dekhne waale bhi dekhen to dekhte reh jaayein,

aao hum aaj is duniya ko bhi hasna sikha de,
kya hoti hai sachchi muskaan hum sabko bata de,

mita de saari duriyaan saare rishto ki,
aao hum apne mohabbat se sabko apna bana le...
Usi ka naam mohabbat hai

dur hoke bhi jo paas lage, usi ka naam mohabbat hai,
paraaya hoke bhi jo apna sa lage, usi ka naam mohabbat hai,

sukhe me bhi jab barsaat lage, barsaat me jab dhoop lage,
har mausam jab apna sa lage, usi ka naam mohabbat hai,

andheron me jo saaya sa lage, usi ka naam mohabbat hai,
kore kaagaz pe jo tasveer dikhe, usi ka naam mohabbat hai,

khwaab bhi jo poora sa lage, sach bhi jo sapna sa lage,
raat aur din jab sab ek lage, usi ka naam mohabbat hai,

dard bhi jab dawa sa lage, usi ka naam mohabbat hai,
zeher bhi jab meetha sa lage, usi ka naam mohabbat hai...
Mohabbat aag hai

mohabbat karne se pehle humne kaaton ki fikar nahi ki thi,
phoolon ki raah pe kaatein bhi bichha do to hum chal lenge,

mohabbat ka itna junoon hai hamaare sar pe kya bataayen tumhe,
humein agar mohabbat me jalna bhi pad jaye to hum jal lenge...
Aajkal ke bachche

aaj khoon ke rishton ki koi ehmiyat nahi hoti,
budhe maa baap ki santaan kabhi unki apni nahi hoti,

bachpan se jise paal poske bada karte hain,
wahi jarurat ke samay kabhi apni nahi hoti,

khud bhoonke rehkar bachcho ko khana khilaate the,
aaj unhi maa baap ke muh me roti tak nahi hoti,

apni khushiyon ko alag rakhkar sab khushiyaan bachchon ko di,
aaj unhi maa baap ke hothon pe muskaan tak nahi hoti,

jis chiraag se apne ghar ko roshan karne ka socha tha,
aaj usi chiraag me unke liye raakh tak nahi hoti,

raaton ko jo jaag jaag kar bachchon ko sulaaya karte the,
aaj unki ki aankhon me chain ki neend tak nahi hoti,

arthi ko kaandha dene ke liye gairon ki madat leni padti hai,
kuch arthiyon ko apne bachchon ke haathon ki aag tak naseeb nahi hoti...

Friday, August 13, 2010


Tumhaari chaahat

tumhaari har tadap ko apni mohabbat se main mita dunga,
tum ho agar kareeb to ye duniya bhi main bhula dunga,

chaahne ke baad tumko fir na chaah paaya hoon main kisi ko,
tumhaari isi chahat se main poori duniya ko sajaa dunga...


Teri khushboo

meri saanse bhi to judi hain tere saanso ke bandhan se,
tann mann mera juda hai bas tere hi tann mann se,

banke koi gulaab tu khilti hai mere baagon me,
tere mohabbat ki mehek hai ab to mere aangan me...

Tera chhaon ban jaayenge

haath tera thaamenge, baahon me tujhko bhar lenhe,
apne mohabbat se tujhe madhosh hum kar denge,

dhup agar aaye to tera chhaon hum ban jaayenge,
us jalti hui dhoop me tujhe jhulasne hum na denge...

Tasveer teri banaata hoon mitaata hoon

ye rishta hai kaisa tujhse, hai kaisi bekaraari,
na kuch keh paata hoon, na chup reh paata hoon,
haalat hai meri aisi, kya tujhko main bataun,
shaam sawere tere khyaal me dooba main rehta hoon,
kore kisi kaagaz pe kai rang main lagaata hoon,
kaagaz pe tasveer teri banaata hoon mitata hoon,

ye kismat hai meri, ya khuda ki hai khudaai,
kuch pal tu milti hai, fir barson ki judaai,
milta hoon tujhse , main baatein karta hoon,
khushiyaan hain jeewan me, jabse yu hai aai,
haatho se apne main kalam apni chalaata hoon,
hatheli pe naam tera likhta hoon mitaata hoon,

tasveer teri mere dil me basi hai,
usko hi dekh ke main ab jeeta hoon,
kismat me tu hai mere, main khud se ye kehta hoon,
par kho ke teri aankhon me, main chup hi rehta hoon,
kaagaz pe tasveer teri banaata hoon mitata hoon,
hatheli pe naam tera likhta hoon mitaata hoon...

Teri kahaani ko aaj sakaar hum kar de

barsaat me intezaar ka mazaa hi kuch aur hai,
bheegi hui yaadon ka mazaa hi kuch aur hai,
ye tadap jo raaton ko jagati hai hume har pal,
un tadapti raaton mazaa hi kuch aur hai,

reh reh ke uthta hai jab ye dard judaai ka,
madhosh kar deta hai bas khayal mehboob ka,
hoti nahi hai paas tu meri pyaas bujhaane ko,
barsaat bhi badhaata hai tab pyaas teri chaahat ka,

karwatein jab badalti hai tu apne bistar pe,
mehsoos karte hain hum us dard ko palbhar me,
tu hai tanha, hum hain tanha in raat ke andhero me,
sochte hain kaash us pal hoti tu hamaare ghar me,

adhuri ghazal teri hai, adhuri ghazal hamaari hai,
aao dono milke hum is ghazal ko poora kar de,
kab tak yunhi hum tadpe, kab tak yunhi hum tarse,
aajao paas hamaare, baahon me tujhko hum bhar le,

apni mohabbat se tujko hum poora aaj kar de,
adhuri is kahaani ko sakaar aaj hum kar de,
sooni teri kalai pe hari chudiyaan pehna de,
maang me sindoor ki tere ek chutki aaj hum bhar de...

Main tumse bahut pyar karta hoon

sach kehta hoon jaana main tumhe bahut yaad karta hoon,
tumse milne ke liye bhagwaan se roz fariyaad karta hoon,

jaane kis baat ki narazgi hai mujhse tumhaare bhagwaan ko,
milne nahi dete tumse main unse roz shikaayat karta hoon,

rishton me baandhke humein, usne jismon ko dur kar diya,
tumse milne ke liye main roz ek nayi koshish karta hoon,

tumhaari hi tasveer ko har pal seene se lagaaye rakhta hoon,
jaana, maano ya na maano, main tumse bahut pyaar karta hoon...

Thursday, August 12, 2010


Le jaunga tumhe main

apne baahon ke ghere me tumko chhipa lu main,
tumhaari aankhon ke aansoo ab mitaa du main,

na to ab aankh gili hogi aur na dil royega,
mohabbat se tumhaare har ghum mita du main,

bahaana nahi hai ki tumhaare kareeb hoon main,
dil ki aankhon se dekho dhadkano me hoon main,

kehti ho ki thandi hawayein tumhe tadpaati hain,
tum kaho to in hawaaon ko bhi rok du aaj main,

banke dulhan tayyar rehna le jaunga tumhe main,
tumhaare hi saath ab to ghar basaunga main....
Aa jao na

mere dil ki bekaraari ko badha jao na,
aao na , aake mujhe gale se lagao na,

bheegi barsaatein aaj kuch keh rahi hain,
aake inki baatein tum mujhe samjha jao na,

aao na, aake tum mere seene se lag jao na,
aake meri dil ki dhadkano ko badha jao na,

bheege hothon se mere hotho ko bheego jao na,
aake apne saanso ki garmi se mujhe jala jao na,

sharaabi aankhon se mujhe madhosh kar jaao na,
aao na, ek baar tum meri baahon me aa jao na,

apne gaalon ki narmi se mere gaalon ko chhoo jao na,
apne julfon ke baadal se pyaar ki baarish kar jao na,

chaand bhi aaj roshan kar raha hai andheri raat ko,
aao apni chaandni se chaand ko sharminda kar jao na,

ab to bas intezaar hai mujhe tumhaare aane ka,
aao na, aaj aake mujhe behosh kar jao na...

Kya kya main maangu

poojta hoon main tumhe, bhakt main tumhaara banke,
chaahta hoon main tumhe, ishq main tumhaara banke,

sochta hoon bhagwaan se ab maangu bhi to kya main maangu,
bin maange tumhe paa liya, ab bas tumhaari muskaan maangu,

haath ki rekhaayein meri jinme naam bas tumhaara hai,
har janam bhagwaan se main aisi hi rekhaayein maangu,

maang pe mere naam ka sindoor jo tumne lagaaya hai,
tumhaare us sindoor pe har janam ka haq main maangu,

zindagi hai chhoti si, is zindagi me kya kya main maangu,
paa liya tumhe jo maine, ab kisi se bhi main kuch na maangu...

Wednesday, August 11, 2010


Saanso me mujhe mehsoos kar lo tum

ehsaason ko shabdon ki maala me piro lo tum,
apne aansuon se apne tadap ko dho lo tum,

ye baarish jo aaj na jane kyun deewani ho rahi hai,
is barish ke paani me apne aansuon ko chhipa lo tum,

dekh nahi sakta main tumhe kabhi rote huye,
mat ro aur, zaraa khud ko sambhaalo tum,

dur hoke bhi main ek pal bhi tumse dur nahi hoon,
dil ki aankhon se mujhe dekho, aur baahon me bhar lo tum,

ye jo doori hai jismon ki hai, aatma ki nahi,
pyaar agar hai to apne saanson me mujhe mehsoos kar lo tum...

Tujhe yaad karunga

doori tujhse meri mujhe tujhse aur door kar gayi,
teri thodi si bewafai mujhe bhi bewafa bana gayi,

dosh na dena mujhe ki maine tujhe chhoda hai,
wo to tu hi thi jisne sada ke liye mu moda hai,

chaahke bhi tujhe bhula na main paaya hoon ab tak,
saanson ka saath hai jab tak tujhe yaad karunga tab tak...

Ek duje ko hum maang le

do din ki zindagi hai hanske hum guzaar le,
har lamha iska apni mohabbat se sanwaar de,

tumhari dhadkan hoon main aur dil tum ho mera,
apni har saans ke saath bas tumhaara hi naam le,

muskuraana zindagi hai kuch pal hum muskura to le,
zindagi ke har ghazal ko hum sang gunguna to le,

kaanha jo tumhaara hai wo mera bhi bhagwaan hai,
kyun na haath jodke usse ek duje ko hum maang le...
Tumhaari muskaan maangta hoon bas

meri bhi har dua me ab to naam tumhaara hai bas,
tumhi ko chaahta hoon tumhi ko maangta hoon bas,

tumhaari muskaan ki mujhe yun aadat si ho gayi hai,
har dua me main tumhaari muskaan maangta hoon bas...

Zindagi ban jaun main

khaamoshi ho tum agar tumhaari awaaz ban jaun main,
lehren ho tum agar tumhaara saahil ban jaun main,

toofaan koi agar aa bhi jaaye darna na tum kabhi,
rok loon toofaano ko tumhaari dhaal ban jaun main,

andheri ho raat agar chiraag ban jal jaun main,
maut bhi aaye agar tumse pehle mit jaun main,

thaam lo ye haath aaj aetbaar ban jaun main,
seene se lag jao mere ki pyaar ban jaun main,

aansoo bhi aa jaayen kabhi yaad kar lena mujhe,
har ghum ko tumhaare mitaake muskaan ban jaun main,

chalti ho kahin tum agar parchhayi ban jaun main,
rago me bas jaun tumhaare zindagi ban jaun main....

Humein bheeg jaane do

apne julfon ke baadal se aaj mohabbat baras jaane do,
unki andheri chaaon me ek baar fir humein kho jaane do,

pyaase hain mere honth kabse jaane tumhaare hothon ke liye,
aaj apne shabnami hothon ke dariya me humein doob jaane do,

tumhaari saanson ki mehek se hamaari saanse mehek rahi hain,
na roko humein, aaj humein tumhaari chaahat me behek jaane do,

baahon me aake hamaare tum hamaare ho jao aaj fir se,
apni dhadkano ko hamaari dhadkano me samaa jaane do,

ab na raatein tanha hongi na khatam hamaari baatein hongi,
apne mohabbat ke jaadu me tum humein besudh ho jaane do,

jal rahe the hum arse se tumhaari mohabbat paane ke liye,
aaj tumhaari mohabbat ke baarish me humein bheeg jaane do...


Tum nahi aati

haan usi raat ke intezaar me ab raaton ko neend nahi aati,
khayaal tumhaara har pal aata hai par kabhi tum nahi aati,

wo haseen raat ka sapna har pal mujhe tadpaata hai,
sapne to aa jaate hain par unke saath tum nahi aati,

kabse aas lagaye baitha hoon main tumhaare deedar ke liye,
baahen main failaaye baitha hoon tumhe unme bharne ke liye,

raahon pe meri aankhen bichi hain jaane kab tum aaoge milne,
hawaon ke saath tumhaari khushboo aati hai par tum nahi aati,

ab to aajao tum ki sahi nahi jaati ye dard-e-judai humse,
tumhaari yaad to aa jaati hai par jaane kyun tum nahi aati,

dekho ek aur haseen shaam tumhaare intezaar me dhalne chali hai,
chaand bhi nikal aata hai kabhi eed me par tum.... tum nahi aati...

Ateet ke panne

hota hai kabhi kabhi aisa bhi zindagi me,
kehna to chaahte hain par keh nahi paate,

dil me kuch yun toofaan uthta hai kabhi,
bin kahe bhi hum tab reh nahi paate,

dil ki wo bechaini kabhi had se guzar jaati hai,
dard itna badh jaata hai ki hum seh nahi paate,

na to kuch kehte hain, na chup reh paate hain,
waqt ki paheliyaan hum suljha hi nahi paate,

ateet ke kuch panne yun saamne khul jaate hain,
khamosh hote huye bhi hum khaamosh nahi reh paate...
Uski yaadein

ab to tanhaayi me bas yaad aati hain humein uski baatein,
khaamosh raaton ki khaamoshi ko chirti hain uski yaadein,

yaadon ko hum unke roke bhi to bhala kaise roke,
hamaare chain-o-sukoon chhinti hain uski yaadein...

Monday, August 9, 2010


Mai machal jaata hoon

saanse to meri ab bhi tumhaare naam se hi chalti hain,
dil ki dhadkane tumhaare khayal se hi machalti hain,

intzaar to mujhe bhi hai jab har raat chaand se roshan hogi,
haathon me tumhaara haath hoga aur tum mere baahon me hogi,

un hasi palon ke khayaal se hi main yun machal jaata hoon,
par ab bhi thoda waqt hai ye soch main sambhal jaata hoon...

Gum ho jaata hoon

kehti ho tum to maan jaata hoon main,
tumhare samjhaane se samajh jaata hoon main,

par kabhi jab main tanha hota hoon apne soch ke ghere mein,
sab kuch bhoolke kuch paagal sa ho jaata hoon main,

samajh hi nahi aata kya kar raha hoon, kya karna hai,
bas apne pagalpan me kuch na kuch kar jaata hoon main,

hosh me rehke har pal bas main khuda se tumnhe maanga karta hoon,
behoshi me khuda kya cheez hai, is baat ko bhool jaata hoon main,

meri is bimaari ki koi dawa nahi hai tumhaare siwa mere mehboob,
bas tumhaari chahton ke yaadon me gum ho jaata hoon main...

Behosh hi main reh jaunga

tum hi tum basi ho mere rom rom me, kaise tumse dur jaunga,
tumhaari yaadien hain sab kuch ab , kaise tumhe bhula paunga,

yaad tum yun aati rahi to, shayad main kuch pal khush rahunga,
par tum to ab ho nahi meri , kaise tum bin reh main paunga,

kab tak yunhi samjhaya karogi, bandhano me bandh jaogi,
apni dil ki baatein tab kaise tumse main keh paunga,

ab to mann nahi karta kabhi hosh me aane ka mujhko,
behoshi hi achchi hai ab, behosh hi main reh jaunga...

Parmaatma ho tum

dost the tum, humdum the tum, mere liye sab kuch the tum,
mere to aghaz the tum, mere geeton ke aadhaar the tum,

ab bhi tum badli nahi ho, jo the pehle aaj bhi ho tum,
tumne kaha aur main na manu, aisa kabhi na sochna tum,

dur hoke bhi tum dur nahi ho, mere har ek saans me ho tum,
tum hi meri har prerna ho, mere liye to parmaatma ho tum...
Pyaar hi to hai

haar ye pyaar hi to hai jo humein jeena sikhaata hai,
haan ye pyaar hi hai jo gairon ko apna banaata hai,

ye pyaar na hota to socho ye duniya kaisi hoti,
haan ye pyaar hi to hai jo duniya ko duniya banaata hai...

Duniya ki reet niraali hai

ye duniya ki reet hi niraali hai,
jise jo chahiye use wo nahi mil paata,

na chahke bhi kisi ko sab kuch mil jaata hai,
aur kisi ko chahke bhi kuch nahi mil paata,

mulaqat se dosti, aur dosti se pyaar ho hi jaata hai,
par har mohabbt ko uska anjaam nahi mil paata,

jaanke bhi sab kuch hum kabhi anjaan ban jaate hain,
aur anjaana banke bhi is dil ko chain nahi mil paata,

jeewan ke is safar me kuch yaadein laut ke aa hi jaati hain,
laakh koshish kar lo un yaadon ka saath chhoot hi nahi paata,

kya faida aisi zindagi ka jisme dikhaawe ke liye muskuraana pade,
par fir bhi sachchi muskaan laane ke liye himmat hi nahi jut paata,

kai rishte aise hote hain jinme bhala kisi ka nahi hota,
fir bhi jaane kyun koi un rishton ko tod hi nahi paata,

kai kashtiyaan aisi hoti hain jo samundar me hi gum ho jaati hain,
usi tarha jeewan ki kashti ko bhi hamesha saahil nahi mil paata...
Mohabbat ke sang jeete jaana hai

zindagi ke har geet ko mujhe tumhaare sang gana hai,
ghum ho ya khushi ho mujhe tumhaara saath nibhaana hai,

ji lete hain log apni zindagi bina mohabbat ke,
mujhe to sirf mohabbat ke sang hi jeete jaana hai...
Main jald aaunga

ab to bas is andheri raat ke dhalne ki deri hai,
suraj ki pehli kiran ke sang main aaunga,

os ki boondon ke sang tum mera intzaar karna,
unke ojhal hone se pehle main tumhe dikh jaunga,

churaake le jaunga tumhe main is duniya se dur,
tumhaare sang hi zindagi ka har geet gungunaunga...

Main badi mushkil me hoon

badi mushkil me hai aaj do jaan,
ek tumhaari jaan, ek hamaari haan,

samajh me kuch aata nahi ki kya karein hum,
aisi mushkil hai ise ab kaise suljhaayein hum,

pehle meri har mushkil tum yun chutiyon me suljha deti thi,
aaj kaise suljhaoge hum dono ki ye pareshaani meri jaan,

na tum mujhe bhool paati ho, na hi main tumhe bhula paata hoon,
keh to nahi sakta par aaj bhi main dil se bas tumhe chahta hoon,

rok rakha hai mujhe tumhaare badnaami ke khayaal ne,
yahi wajaah hai ki aaj main tumhaare kareeb nahi aata hoon,

zinda hoon main, par meri saanse kuch yun ruk si gayi hain,
apne in ruki hui saanson se hi main apne dhadkano ko sambhaalta hoon,

kya karein, kya na karein kuch samajh nahi aata,
sach kahun to jaana main bahut mushkil me hoon...


Main kya se kya kar jaun

tujhe paane ke liye mere sanam main kuch bhi kar jaun,
tujhe agle janam me paana ho to main aaj hi mar jaun,

ab to aur nahi sahi jaati ye judaai ki tadap mujhse,
mann karta hai saare bandhan tod ke tere paas aa jaun,

aur kitna intezaar karna padega humein milan ke liye,
tujhe paane ki chaahat me main kuch galat na kar jaun...

Bas tum mujhpe aetbaar karna

laal rang ke jode me tum laal ghungat od ke,
laali hothon pe sajaake mera intezaar karna,

aaunga le jaane tumko, le ke tum ko jaunga,
tohfa mere pyara ka tum pyaar se sweekar karna,

ab hai bas kuch pal ki deri, milan apna paas hai,
aake mere baahon me mujhe ji bharke tum pyaar karna,

julfon me apni chhipaake mere hothon ko tum rang dena,
apne hothon ki laali se mujhko bhi tum laal karna,

maang me bhar dun tumhaare laal rang apne lahu se,
meri ho tum bas meri ho, bas tum mujhpe aetbaar karna...

Tum bin main kuch bhi nahi hoon

kabhi chhodna na saath mera, tum bin ji na paunga main,
saath tumhaara na mila to, pal bhar me mar jaunga main,

tumko hi pooja hai maine, maana hai bhagwaan tumhi ko,
pooja ki thaali me mere phoolon ki khushboo tumhi ho,

jo bhi hoon main tumse hi hoon, tum bin main kuch bhi nahi hoon,
mitti ka putla hoon main to, mitti me hi mil jaunga main,

tumse hi meri saanse bhi hain, tumsi hi meri dhadkane hain,
haasil tumhe kar na sakaa to, khud ba khud mit jaunga main...
Upar waale ka khel

us upar waale ka bhi khel niraala hai,
dilon ko mila ke juda kar deta hai,
poojte hain jis bhagwaan ko chaahne waale,
wahi bhagwaan dilon ko barbaad kar deta hai...

Un barsaat ke dino ko yaad na karo

yun apni mohabbat ko tum aaj badnaam na karo,
kisi aur ki ho ke tum ab aisa kaam na karo,

zamaane ko to bas mauka chahiye hasi udaane ka,
tum apni izzat ko yun sare aam neelam na karo,

hamaara milan mumkin nahi ye tumhe bhi hai pata,
bewajah tum mere kareeb aane ki koshish na karo,

ab tumhaari zindagi sirf tumhaari nahi rahi,
tum yun kisi aur ki zindagi kharaab na karo,

chahta hai wo bhi tumhe apni jaan se badhkar,
tum uski mohabbat ko mere liye ruswa na karo,

ab uske sang kai aur rishte jud gaye hain tumse,
tum un rishton ko aaj yun qurbaan na karo,

bhool jao tum ki kabhi mile bhi the hum tum,
tum un barsaat ke dino ko ab yaad na karo...

Sunday, August 8, 2010

Shikaayat

kya shikayat karein us khuda se jise humne kabhi dekha hi nahi,
apne dil ka haal use kya sunaate ho jiska koi wajood hi nahi,
kasoor to hamaare kismat ka hi hai bas jo hamara na ho saka,
shikayat humein hamaare kismat se hai us parvardigaar se nahi...

Tanhayiyon se dil behlaata hoon

aaj bhi barsaat ki har boond se mujhe teri mehek aati hai,
ye gili barsaatein mujhe aaj bhi bas teri yaad dilaati hai,

bheege huye patton ko dekh main aaj bhi yun saham jata hoon,
par zamaane ki zaalim rasmo k baare me dil ko samjhaata hoon,

wo rut ab na aayegi wapas jisme hum saath bheega karte the,
koi aur mil jaayegi ye bol main apne dil ko behlaata hoon,

ye barsaatein aaj sirf meri hain ya sirf teri hain,
ye hamaari nahi ho sakti ye khud ko batlaata hoon,

ye tanha baarish ki boondein, aur bas meri tanhaayi hai,
aaj apni tanhaayion se hi main apna dil behlaata hoon....

Kisi aur duniya me le jaunga tumhe

maine thaama hai tumhaara haath umra bhar ke liye,
na main chhodunga tumhaara saath pal bhar ke liye,

julfon ke saaye me tumhaare apna ghar main s
apne baahon ke aagosh me hi ab main tumhe sulaunga,

chaahke bhi na tum dur kabhi ja paogi mujhse,
chahat me is qadar ab tum bandh jaogi mujhse,

mohabbat ki sej pe khushiyon ki maala pehnaunga tumhe,
is duniya se dur kisi aur duniya me le jaunga tumhe...


Maine chot khaya bahut hai

mere dil me apno ke liye jagah bahut hai,
par mere kareeb apno ki kami bahut hai,

koi bhi muskuraake dil me bas jaata hai mere,
yahi wajah hai ki mera dil tuta bahut hai,

aadat meri hai har kisi ko gale lagaane ki,
shayad isi wajah se maine chot khaya bahut hai,

aajao tum bhi bas ke mere dil me use tod do fir ek baar,
mere dil ko baar baar tutke judne ki taaqat bahut hai,

aajao aake mujhe firse muskuraana sikha do,
mere jeewan me khushiyon ki kami bahut hai...